Suna hoga buhat tumney, kaheen aankhon ki rim-jhim ka kaheeN - TopicsExpress



          

Suna hoga buhat tumney, kaheen aankhon ki rim-jhim ka kaheeN palkon ki shabnam ka parha hoga buhat tumney, kaheeN lehjey ki baarish ka kaheeN saagar k aansoo ka magar tumney kabhi humdam kaheeN dekhey? kaheeN parkhey? kisi tehreer ke aansoo?…! mujhey teri judaai ney, yehi me’raaj bakhshi hey ke meiN jo lafz likhti hooN.. wuh saarey lafz rotey heiN ke meiN jo harf bunti hooN..wuh sarey bain kartey heiN merey sung is judaai meiN… merey alfaaz martey heiN sabhi Tareef kartey heiN …meri tehreer ki lekin… kabhi koi nahi sunta…merey alfaaz ki siski falak bhi jo hilaa daaley merey lafzoN mein heiN shaamil…ussi taseer ke aansoo kabhi dekho merey humdam meri tehreer ke aansoo…!!!
Posted on: Tue, 02 Jul 2013 10:36:52 +0000

Trending Topics



Meningitis B Vaccine update - One of our overriding objectives
"The great difference between those who succeed and those who fail
I have no idea of what to purchase birthday presents for my best
PATRIOT ACTIVATE CALL: My fellow American Patriots Thank you for
ADMISSION INTO HIGHER NATIONAL DIPLOMA (HND) FULL-TIME TWO (2)

Recently Viewed Topics




© 2015