Superb Poem !!...!! . Ek bachpan ka zamana tha.. jisme - TopicsExpress



          

Superb Poem !!...!! . Ek bachpan ka zamana tha.. jisme khushiyon ka khazana tha.. chahat chand ko paane ki thi.. par dil titli ka deewana tha.. Khabar na thi kuch subah ki.. na shaam ka thikana tha.. thak haarke aana school se.. par khelne bhi jaana tha.. Maa ki kahani thi.. pariyon ko fasana tha.. barish mein kagaz ki naav thi.. har mausam suhana tha.. Har khel mein saathi the.. har rishta nibhana tha.. gum ki zuban na hoti thi.. na zakhmon ka paimana tha.. Rone ki wajah na thi.. na hansne ka bahana tha.. kyon ho gaye hum itne bade.. isse achha to , woh bachpan ka zamana tha.... . . Why i becom so big ? ? ? #zk
Posted on: Fri, 15 Nov 2013 08:28:06 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015