Suraj(Sun) Doobta Hai Toh Kaha Jata Hai? …. » Hadees : Hazrat - TopicsExpress



          

Suraj(Sun) Doobta Hai Toh Kaha Jata Hai? …. » Hadees : Hazrat Abuzar (Razi Allahu Anhu) Kahte Hai Ke Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Aye Abuzar ! Tum Ko Maloom Hai Hai Ke Jab Suraj(Sun) Doobta Hai Toh Kaha Jata Hai? Hazrat Abuzar Ne Arz Kiya, “Ya Rasool’Allah!! Allah Aur Uska Rasool Behtar Jante Hai..” Sarakar (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Suraj (Arsh Aazam) Ke Qareeb Jakar Sajdah Karta Hai, Aur Fir Nikalne Ki Ijazat Mangta Hai, Aur Usko Ijazat Di Jaati Hai… Lekin Anqareeb Aisa Waqt Bhi Aane Wala Hai Ke Suraj Sajdah Kare Aur Sajdah Qubool Naa Ho, Aur Tuloo (Nikalne) Ki Ijazat Naa Di Jaay, Bulke Allah Tabarak Wa Ta’ala Ka Hukm Hoga Ke Jaa Tu Jaha Se Aaya Hai Wahi Ko Palat Jaa. Lihaza! Magrib Ki Janib Se (Tuloo) Nikle Ga. Isi Ke Muta’alliq Se Allah Ta’ala Ne (Sureh Yasin-Ayat-No-38) Me Farmaya, “Washshamsu Tajri Limus Taqarril Laha” {ﻭﺍﻟﺸﻤﺲ ﺗﺠﺮﻯ ﻟﻤﺴﺘﻘﺮﻟﻬﺎ } Tarjuma : Suraj Ka Istaqrar Arsh Aazam Ke Neeche Hai. - (Sahih Bukhari Volume 004, Book 054, Hadith Number 421) English Reference Mere Azeez Bhaiyon Aur Behno ! Ye Suraj Ka Magrib Se Nikalna Qiyamat Ki Badi Nishani Hai Aur Anqareeb Aane Wali Hai, Abhi Tauba Ka Darwaza Khula Huwa Hai… Jis Din Suraj Magrib Se Niklega Uss Din Tauba Ka Darwaza Band Kardiya Jayega, Fir Uss Waqt Jo Bhi Tauba Karega Qubool Nahi Hogi. Allah Ta’ala Tamaam Emaanwalo Ko Sahi Ma’ano Me Apne Gunaaho Se Sachchi Aur Pakki Tauba Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye. Aameen !!!
Posted on: Mon, 02 Sep 2013 17:27:15 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015