TAQLEED KA ISBAT QURAN SE : (1)AE MOMINO ! ALLAH KI AUR US KE - TopicsExpress



          

TAQLEED KA ISBAT QURAN SE : (1)AE MOMINO ! ALLAH KI AUR US KE RASOOL KI ITAT KARO AUR TUM MAI JO SAHIB AMAR HAIN INKI ITAT KARO.(PARAH 5 SURAH AL IMRAN) IS AYAT MAI 3 CHEZO KA ZIKAR HAI ALLAH KI ATAT AUR NABI KI ATAT AUR OLIYAL AAMR KI ITAT .PEHLE 2 CHEEZO KE MUTALIQ TO AHLE ISLAM MAI KOI IKTILAF NAHI KIYON KE ALLAH AUR RASOOL KI ITAT FARZ AWALEEN HAI JAB IN MAI IKTILAF NAHI TO HAM 3 CHEEZ KA ZIKAR KARTE HAI : SAHIB AMAR KI ITAT KA JOKE HAR MUSALMAN PER ZAROORI HAI AUR SAHIB AMAR MUSLIM HI HO NAKE GHAIR MUSLIM KIYON KE IS MAI MUSALMANO MAI SE KAHA GAYA HAI AUR JAB USKI BAT NAJAIZ WA GUNAH HO TO PHIR INKAR LAZIM HAI . JESA KE NABI ALAISALAM KI HADEES HAI : YANE JAB SAHIB AMAR KI TARAF SE ALLAH AUR USKE RASOOL KE HUKUM KE KILAF HUKUM SADIR HO TO PHIR NA USKI BAT SUNNI JAIZ HAI AUR NA HI USKI ITAT. (BUKHARI JILD 2 1057) AUR JAB SAHIB AMAR JAB ALLAH AUR USKI RASOOL KI ITAT KARE TO PHIR NA SIRF USKI ITAT JAIZ HAI BALKE ALLAH KA HUKUM BI USKI ITAT PER MAJBOOR KARTA HAI AUR NABI ALAISALAM KA SAF IRSHAD HAI : JIS NE MERE AMEER KI ITAT KI TO US NE MERI ITAT KI AUR JIS NE MERE AMEER KI NAFARMANI KI TO US NE MERI NAFARMANI KI . (BUKHARI.JILD2 .1057) AB SAHIB AMAR KI SHARAIT BAYAN HO GAE AB SAHIB AMAR HAI KON? SAHIB AMAR SE SIRF 2 QISAM KE LOG MURAD HAI . 1,ULAMA AUR FUQAHA 2,LASHKAR KE AMEER YA MUTLAQ HUKAAM AB AP PEHLI QISM LE YA DOSRI HAMARA MUDDA SABIT HAI. AB SAHIB AMAR FUQAHA AUR ULAMA HAI IS PER SAHABA KI TAFSEER AUR ULAMA KE AQWAL: HAZRAT JABIR BIN ABDULLAH RZ FARMATE HAI SAHIB AMAR SE MURAD ASHAB FIQA AUR ARBAR KHAIR MURAD HAIN.(MUSTADRAK 1 , 123) HAZRAT ABDULLAH BIN ABBAS RZ JO TARJUMANUL QURAN KE LAQAB SE MASHOOR THAY UNKI TAFSEER HAI : SAHIB AMAR SE MURAD AHLE FIQA AUR AHLE DEEN MURAD HAI (JO LOGO KO AMAR BIL MAROF AUR NAHI ANILMUNKAR KARTE HAI)AUR AGAY KAHA HAI KE ALLAH NE INKI ITAT WAJIB KARDI HAI.( PG 123) AUR ULAMA KA NAZARIYYA SAHABI KI TAFSER KE BARE MAI HAI: SABABI KI TAFSEER MUSNAD HAI (YANE NABI ALAISALAM KA FARMAN HOTA HAI)AUR SAHABI KI TAFSEER HUJAT AUR SAHABI KI TAFSEER MARFO HOTI HAI. (MUSTADRAK,MARI FAT ULOOM UL HADEES,ZADUL MAHAD,TADREBUR RAVI ,ALJUNNA NAWAB SADIQ HASAN KHAN) SAHABA KI TAFSEER SAHIB AMAR KE BARE MAI BAYAN KARDI MENE AUR ISKI SANAD BI SAHI HA IS SE SABIT HOTA HAI KE YE TAFSEER SAHABA NE NABI ALAISALAM SE SUNI HONGI AB AP PER HAI KE AP QABOOL KARTE HAI YA NAHI ? NAWAZ SADIQ HASAN FARMATE HAI : SAHABA KARAM KI TAFSERI AQWAL KA HUKUM HAI KE WO BAD MAI ANE WALE HAZRAT KE AQWAL SE BOHAR ZIADA SAHI HAI .(ALJUNNA 96) ISI TARAH AB TABIEEN KI TAFSEER NAQAL KARDETA HO : HAZRAT ATTAR SE SANAD KE SATH MANQOL HAI : SAHIB AMAR SE AHLE ILM AUR SAHIB FIQA MURAD HAI.(DARIMI 40 PUBLISHED IN HIND/ PG:72 DIMASHQ)
Posted on: Wed, 10 Jul 2013 19:44:34 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015