Tasvir teri dil mera bahala na sakegi ye teri tarah mujh se to - TopicsExpress



          

Tasvir teri dil mera bahala na sakegi ye teri tarah mujh se to sharma na sakegi main baat karunga to ye khamosh rahegi sine se laga lunga to ye kuch na kahegi aaram wo kya degi jo tadapa na sakegi ye aankhen hain tahari huin chanchal wo nigahen ye hath hain sahame huye aur mast wo bahen parachai to insan ke kam aa na sakegi in honton ko “faiyyaz” main kuch de na sakunga is zulf ko main hath mein bhi le na sakunga ulajhi hui raton ko ye sulajha na sakegi
Posted on: Sat, 03 Aug 2013 19:54:30 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015