The Imperfect Mismatch CHAPTER-1 [DIWAN MANSION] A lady with the - TopicsExpress



          

The Imperfect Mismatch CHAPTER-1 [DIWAN MANSION] A lady with the aarti thaali was moving around the house,giving the aarti and singing a song.At first,she knocked the door of an elderly couple.The room was of Shekhar Diwan,the owner of DM and his wife Simi Diwan.She went towards them and took their blessings.They both woke up as soon as,she entered.Shekhar said,”God bless you my darling.”Simi said,”Jeeti reh beta.Sach agar tu nehi hoti to pata nehi is ghar ka kya hota.Tu to is ghar ki lakshmi hai.”Shekhar said,”Pata hai,maine hamesha bhagwaan se ek beti maangi,par unhone mujhe do do bete de diye.Main pehle thora dukhi rehta tha,par ab lagta hai,achcha hua.Asal mein unhe tujhe jo hamaare ghar mein bhejna tha.”Simi said,”Abhi ja,jaake apne laadle dewar ko utha.Usey uske kumbhkarn jaise neend se to tere alava koi aur utha nehi sakta.”Shekhar added,”Ha Payal,sach mein,vo naalaayak tere alava kisi aur ki baat bhi to nehi sunta.”Payal Sameer Diwan,Sameer’s wife and the eldest daughter in law of Diwan Mansion.She made a face,”Mummyji,papaji,ye bilkul bhi thik baat nehi hai.Aap sab hamesha Rishi ke peeche par jaate ho.Achcha ab aap log fresh ho jaiye main breakfast lagaati hu.”Saying so,she left with the thaali.Simi gave a sigh and sadly said,”5 saal ho gaye hai,isey is ghar mein shaadi karke aaye huye.Kitni nishtha se puja paath karti hai,lekin bhagwaan ne aajtak isey ma banne ka such nehi diya.”Shekhar put his hand on her shoulder and said,”Dukhi mat ho Simi.Ek din bhagwaan hamari zarur sunenge aur is ghar mein bhi bachche kilkaariya zarur gunjegi.” Payal entered her room and found her husband Sameer,the eldest son of Diwan Family,was as usual busy on his laptop.They had an arranged marriage.She forwarded the thaali towards him.Sameer,with a loving smile took the aarti.She was about to go,when he grabbed her hand from behind and said,”Kabhi kabhi apne is bichaare pati pe bhi nazar daal liya karo yaar,jab dekho tab us Rishi ke peeche lagi rehti ho.Tumhaare laad pyar se bilkul bigar gaya hai vo.”Payal made a face,”Abhi aap bhi shuru mat ho jaiye.Chaliye mujhe choriye aur jaldi se tayyar ho jaiye.Mujhe abhi Rishi ko uthaana hai aur breakfast bhi banana hai.”She forcefully freed her hand and left their room. Now,there comes our main protagonist Rishi,the youngest and the spoilt brat of Diwan Family and was adored by Payal,the most.He was sleeing on his stomach,with opened mouth and in a diagonal posture in his bed.He often comes late at night from parties,discos,rides with his friends.Last night also,he came late.He was sleeping in such a way as if he had closed his eyes after two decades.His bedroom was like a hygienic dustbin and no one except Payal was allowed to enter without knocking.She entered and at first removed the curtains of the window,due to which the sunlight fall on his room,on his face,disturbing his sleep.He said,in an annoying voice,”Kya bhabhi aap bhi na.Itni subhe subhe meri neend tor di.”While cleaning up the mess,she said,”Subhe ke 8 baj chuke hai Rishi aur mujhe tera raat ko yu late aana bilkul nehi pasand hai.Teri vajah se mujhe har roz mummyji aur papaji ki daat sunni parti hai.Thori si to responsibility laa apne andar.”She pointed towards his room and said,”Aur ye kya hai?Apne room ko bhi saaf nehi rakh sakta.Ek bhi cheez apne jagah pe nehi hai.”Rishi raised his head a bit and said,”Kya bhabhi,ab aap bhi mom,dad aur bhaiya ki tarah shuru mat karo.Aap to meri favourate ho na,kamsekam aap to mujhe samjho.”Payal,after making the room to look like someone’s room,sat beside him and lovingly rubbed his head,”Achcha thik hai,kuch nehi bolungi.Apne liye na sahi par mere liye to thora sudhaar sakta hai na apne aap ko.Pata hai na tujhe jab vo log tujhe nalaayak bolte hai,to kitna bura lagta hai mujhe.”Rishi sat on his bed and said,”I know bhabhi ke agar is ghar mein mujhe koi honestly pyar karta hai to vo sirf aap ho.Aap to mere liye sab kuch ho.”Saying so,he put his head on her lap.Payal kept on patting his back and said,”Pyar tujhse is ghar mein sab karte hai Rishi.Sab bas itna hi chahte hai ke tu thora matured behave kar,zimmedaar ban apne bhaiya jaise.Thik hai tujhe kaam karna pasand nehi,par kamsekam office mein unka haath to bataa sakta hai na.Engineer hai aur America se MBA ki degree laake aise hi ghar mein betha hua hai.Kamsekam apne degree ka istemaal to kar hi sakta hai na.”Rishi again sat on the bed and said,”Bhabhi,mujhe hamare office mein kaam karne ka bilkul bhi iraada nehi hai.Main na apna khud ka kuch karna chahta hu,jaha mujhe koi order karne waala nehi hoga,sirf main hi sabko order karunga.”Payal encouraged him,”Zarur kar.Sab to yehi chahte hai,ke jo bhi karna hai kar,par kuch to kar.Mujhe pata hai,agar tu apna kuch karega bhi,to sab is baat se khush hi honge.Tu kahe to main tere bhaiya se baat karu?Vo isme teri madat zarur karenge.”He lazily hugged Payal and put his head on her shoulder and said,”Abhi nehi bhabhi,baad mein.Abhi to main dudh peeta bachcha hu na.”Payal asked,”Abhi nehi to kab?”He replied,”Mujhe aap ek saal ka time dedo.Agar us time mein kuch nehi kar paaya to aap log jaisa kahoge vaisa hi karunga.”Payal asked,”Promise?”He broke the hug and said,”Pakka promise.”She smiled,”Achcha thik hai,abhi tayyar ho jaa aur jaldi neeche aa.Main breakfast banaane ja rahi hu.”Rishi,with a smile saluted her,”Jo hukum Rani Saheba.”She gave him the aarti and left. At the breakfast table,all are sitting and Payal was serving the food.Sameer looked at his father,but with a taunting tone towards Rishi asked,”Papa,hamare yaha to 10 baje se pehle suraj hi nehi ugta,phir aaj kaise ug gaya?”Rishi,just gave a bite in his paraatha and looked very harshly towards Sameer.Payal slapped lightly on Sameer’s hand and pointed towards his own food.Shekhar replied,”Ha mujhe lagta hai ke suraj kabhi kabhi galti se time se pehle hi ug jaata hai.”Now Rishi folded his lips and looked at Payal.She came towards and defended him.She angrily said,”Bas bohot ho gaya.Aap sabko na sirf ek bahaana chahiye,mere Rishi ko tang karne ka.Khaane bhi nehi dete usey.”She cared Rishi’s face and very lovingly said,”Chal mera bachcha,khaana khaale.Main tere liye ek aur paraatha lekar aati hu.”She went inside the kitchen and returned with another paraatha and then gave it to Rishi.He hugged her by her waist and then said,”Meri pyaari bhabhi.Agar aap nehi hoti na,to main purey ghar mein anaath ho jaata.”She,very lovingly kissed on his head.Sameet,on seeing the scene said,”Payal,jitna pyar is nikamme pe lutaati ho na,usse aadha pyar hum pe bhi lutaa diya karo.Hum to usime dhanya ho jaayenge.”Hearing this Shekhar and Simi started laughing.Rishi said,”Bhabhi,bhaiya ko jalan ho rahi hai.”Payal was really very embarrassed,though it was nothing new to her,but still making a straight face replied,”Zyaada na baate banaane ki zarurat nehi hai aur khabardaar agar Rishi ko ek bhi ulti seedhi gaali di to aur ha jaldi apna breakfast khatam kijiye varna abhi plate uthaakar le jaaungi.”Sameer after that didn’t waste a single second and started eating. After the breakfast,Sameer returned to his room,to get ready for his office.Before Sameer shouts for his belongings,Payal,like everyday,gives his wallet,handkerchief,mobile etc in his hand.Sameer pulled her towards him and seductively said,”Suno na,vo abhi to koi aayega nehi yaha,to ek kiss kardo na please.”Saying,he was about to kiss,when Payal covered his lips with her hand and before she could say something,Rishi interrupted.He annoyingly said,”Aap dono ko agar romance karna hai to shaukh se karo,par kamsekam darwaaza to bandh kar liya karo.”Payal blushed and left from there.He immediately changed the topic and stretched his hand to Sameer,”Bhaiya zaraa kuch paise dena.”Sameer asked,”Paise???Kal hi to 5000 rupiye liye the,aaj phir se paise chahiye?Maine aur papa ne kya koi private bank khola hai ya paiso ka per lagaya hai garden mein?”Rishi replied,”Kya bhaiya sirf 5000 rupiyo ke liye itna suna rahe ho.Abhi jaldi mujhe 20000 rupiye do,mujhe abhi bahaar jaana hai.”Sameer shockingly asked,”20000???”He lightly knocked on Rishi’s head and said,”Abey 1000 rupiye kamaane ki to aukaad hai nehi teri aur tu 20000 maang raha hai?Sharam nehi aati?”Rishi shamelessly replied,”Aapse paise maangne mein kaisi sharam???Aap to mere bhaiya ho na.”Sameer said,”Ek bhi paisa nehi dunga main tujhe aaj.Jab dekho tu apne un awaara dosto pe paise lutaata rehta hai.Agar fizul kharchi karne ka itna shaukh hai to apne expenses khud bear kiya kar.”At that moment,Payal entered with Sameer’s lunch packet.She irritatingly said to Sameer,”Uff!Aap bhi na.Subhe subhe bichaare pe chilla rahe ho.”She looked at Rishi and asked,”Bol Rishi,kya chahiye?”Rishi made a face,”Dekho na bhabhi,sirf 20000 rupiyo ke liye bhaiya mujhe kitna suna rahe hai.”Payal looked at Sameer,”20000???Bas?Itne se paiso ke liye aap cheek cheek kar rahe the?Cheee.Ek baat bataiye,aap itne saare paise kamaake agar apne chote bhai ke chote mote demands hi purey na kar sako to phir itne saare paiso ka kya faayda?”Before Sameer could say anything,she snatched the wallet from his hand and gave one of his credit cards to Rishi.He,very happily took it,thanked Payal and left from there.Sameer,got very disturbed,”Ye kya kiya tumne Payal?Main kya uska dushman hu?Arey aaj ye akela hai to hum sab iske bachpane ko nazarandaaz kar rahe hai.Par kal ko jab iski shaadi hogi,iski biwi ghar mein aayegi tab?Tab bhi kya vo aise hi bekaar betha rahega?”Payal held his hand and said,”Main sab samajhti hu aur sab maanti bhi hu.Par aaj usne khud mujhe waada kiya hai ke vo ek saal ke andar andar kuch na kuch zarur karega aur agar nehi kar paaya to aap log jaisa kahenge vo bilkul vaisa hi karega.I trust him.Vo mujhse kiya hua waada kabhi nehi torega.”Sameer turned his face out of anger.Payal cared his face and said,”Jaha itna waqt guzar chuka hai,vaha ek aur saal to aap usey de hi sakte ho na.”Sameer helplessly nodded his head and said,”Tum uske pyar mein bilkul andhi ho chuki ho Payal.Main to bas us larki ke baare mein soch kar dukhi ho jaata hu,jiske saath uski shaadi hogi.Kehte hai na loha-lohe ko aur zeher-zeher ko kath ta hai,usi tarah I pray ke is larke ko aisi larki miley jo isey isike andaaz mein seedha kar sake.” [SHARMA NIWAS] A girl is sleeping by covering upto head with the blanket,in the most beautifully decorated bedroom of the house.A middle aged woman entered her room to wake her up.She called the sleeping girl,”Indira beta,uth ja abhi,aur kitna soyegi?”Indira Sharma,the one and only daughter of the SF and the main protagonist of the story.Indira replied,”Sone do na ma.Kal bohot raat ho gayi thi company ke accounts check karne mein.”Kutumb Sharma,Indira’s mother nodded her head and said,”Ek to saara din hotel mein kaam karke ghar waapas aati hai,uspar tujhe kya zarurat hai,raat raat bhar jag kar ye sab kaam karne ki?”Indira got up on the bed and said,”Ma main ye kaam apne khushi se karti hu.Mujhe achcha lagta hai ye kaam karna.”Kutumb sat beside her and said,”Par tu apne company ke accounts check karne ke paise kyu leti hai?Jo kuch bhi hai,vo tum teeno bhai behno ka hi to hai,aur main to kehti hu ke tujhe kaam karne ki hi kya zarurat hai?Bhagwaan ke kripa se kisi bhi cheez ki to koi kami nehi hai yaha.”Indira said,”Arey ma vo company to papa ka hai,aur main jo paise leti hu vo to apne personal kharcho ke liye leti hu.Tumhe to pata hai na ma,ke mujhe muftkhori bilkul bhi pasand nehi hai.”She looked towards the roof and said,”Mera to ek hi sapna hai ke main apne naam pe ek bara sa resort kholu,’INDIRA HOTELS AND RESORTS’,aur uske liye paise bhi to chahiye.Main jo hotel mein job kar rahi hu vo to experience ke liye kar rahi hu aur saari salary savings pe daal rahi hu,after all meri is hotel management ki degree ko bhi to kisi kaam aana chahiye ke nehi.”Kutumb said,”Main sab jaanti hu beta aur ab tu apne resort se bahaar nikal aur naashta karne neeche aaja,uske baad tujhe bhi to kaam par jaana hai.”Saying so,Kutumb left. In the breakfast table,Indira gave the accounts paper to Inder,her father and the owner of SN as well as their company ‘SHARMA TEXTILES’.She then stretched her hand and asked,”Papa mere paise.”Inder smiled and handed her over the money,”Ye le purey 3000 rupiye.Ab khush?”Indira happily nodded her head.Munna,Indira’s eldest brother asked,”Mujhe ek baat samajh mein nehi aati ke agar kaam karne mein tujhe itna mazaa aata hai to tu hamaare company mein kaam kyu nehi karti?”Indira replied,”Meri qualification aapke company ke kis kaam aayegi?Bataiye?”Munna remained silent.Vidit,the 2nd eldest brother of Indira said,”Ye aur iska hotel.Humne kitni baar kaha hai ke hum banwa dete hai tera hotel,par nehi,isey to apna hotel apne khud ke kamaaye huye paiso se banwaana hai.”Indira replied,”Ha bhaiya.Mujhe apna sapna apne balbute par hi pura karna hai.”Both the brothers now look after the company after Inder retired.”Arey ab bas bhi kijiye aap log.Agar baate hi karte rahenge to khana kab khaayenge?”Sunaina,Munna’s wife said,while coming with the tray containing tea.She put her hand on Indira’s shoulder and addressed everyone,”Isey jo karna hai karne dijiye na.Aap sab ko to ispe fakr hona chahiye.”Kutumb agreed,”Vo to hamesha se hi hai.”Indira quickly finished her breakfast and said,”Arey ma,main tumhe bataana bhul gayi ke aaj mere hotel mein raat ko ek party hai,to isiliye meri night duty hai,to aaj main shaam ko hotel jaaungi.Tum mera raat ka khaana pack karwa dena.”Saying she returned to her room and again came downstair fully dressed up.Kutumb asked,”Abhi kaha ja rahi hai?”She replied,”Vo ma main shopping pe ja rahi hu,apne friends ke saath.”Ishaan,Munna and Sunaina’s only son said,”Bua mere sports shoes laana mat bhulna.”She said,”Yes Boss!”Saying so,she left.
Posted on: Sat, 14 Sep 2013 04:37:01 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015