This poem by Dr.Bashir Badar is one of my favourite...hope You may - TopicsExpress



          

This poem by Dr.Bashir Badar is one of my favourite...hope You may like it... Umeed abhi kuch baqi hai Ek basti basne wali hai, Jis basti me koi zulm na ho or jeena koi jurm na ho, wahan phool khushi ke khilte hon, or Mausam saare miltay hon, Bus rang o noor barastay hon or saare hanste bastay hon, Umeed hai aisi basti ki Jahan jhoot ka karobar na ho, Dehshat ka bazar na ho Jeena bhi dushwar na ho, Marna bhi aazar na ho Ye basti kash tumhari ho ye basti kash hamari ho, Wahan Khoon ki holi aam na ho us aangan gham ki shaam na ho, Jahan munsif se insaaf mile Dil sab ka sab se saaf mile, Ik aas hai aisi basti ho Jahan ROTI zehar se sasti ho, Umeed abhi kuch baqi hai Ek basti basne wali hai... Dr. Bashir Badars house was burned down in a communal riot in Meerut city...all his citation, awards, trophies was reduced to ashes...that post is about that incident...it has left a deep impression on his mind...
Posted on: Sun, 25 Jan 2015 17:26:26 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015