Tu hai gar mujh se khafa khud se khafa hun main bhi mujh ko - TopicsExpress



          

Tu hai gar mujh se khafa khud se khafa hun main bhi mujh ko pehchan ki teri hi ada hun main bhi ek tujh se hi nahi fasl-e-tamanna shadab wohi mausam hun wohi aab-o-hava hun main bhi sabt hun dast-e-khamoshi pe hina ke surat nashunida hi sahi tera kaha hun main bhi chand ban kar tere aangan mein utar hi jaun raat ke pichale pahar mangi dua hun main bhi yun na murjha ki mujhe khud pe bharosa na rahe pichale mausam mein tere sath khila hun main bhi jane kis reh chalun kon se rukh mud jaun mujh se mat mil ki zamane ke hawa hun main bhi.......
Posted on: Thu, 25 Jul 2013 16:59:19 +0000

Trending Topics



>
Hey all Im looking for a cheap car (under 3000) would like a
On a Reformed list, they have praised R.C. Sproul Jr. as a very

Recently Viewed Topics




© 2015