Unko qatl ka hukam jho zakat ke munkir hai:: Sahih Bukhari wa - TopicsExpress



          

Unko qatl ka hukam jho zakat ke munkir hai:: Sahih Bukhari wa Muslim me Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi ke HUZOOR ke baad jab Hazrate Sayyiduna Siddiq e Akbar رضي الله عنه khalifa huwe tou us daur me kuch log kafir ho gaye (yani zakat ki farziyat se inkar kar baithe) Siddiq e akbar ne un par jehad ka hukam diya, (tab) Amirul Mu’aminin Farooq e aazam رضي الله عنه ne kaha ki unse aap kyonkar qatal karte hai ki RASOOLALLAH صلى الله تعالى عليه واله وسلم ne tou ye farmaya hai ki muje hukam hai ki logo se ladu yaha tak ki لَآ اِلٰہَ اِلَّا اللہُ kahe aur jisne لَآ اِلٰہَ اِلَّا اللہُ keh liya usne apni jaan aur maal bacha liya magar haq islam hai aur uska hisab ALLAH ke zimme hai, (yani ye log tou لَآ اِلٰہَ اِلَّا اللہُ kehne wale hai, tou un par kaise jehad kiya jaye). Tab siddiq e akbar ne farmaya KHUDA ki kasam me us se jehad karunga jho namaz wa zakat me tafrik kare (yani namaz ko tou farz mane aur zakat ki farziyat ka inkar kare) zakat haqqul Iman hai, KHUDA ki kasam bakri ka bachcha jho RASOOLALLAH صلى الله تعالى عليه واله وسلم ke paas hazir kiya karte the, agar muje dene se inkar karenge tou us par unse jehad karunga, Farooq e aazam farmate hai, Wallah maine dekha ki ALLAH TA’ALA ne siddiq ka sina khol diya hai. Us waqt maine bhi pehchan liya ki wahi haq hai. [Sahih Bukhari, Kitab ul Ehtisham, Baab ul Iqtida Basnun Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, Jild 4, Page No. 500, Hadith No. 7284] Is hadees se fiqhi masle ka pata chalta hai saath saath ye bhi ma’alum huwa ki nari kalma goi islam ke liye kafi nahi, jab tak tamam zarooriyat e deen ka ikrar na kare aur amirul Mu’aminin Farooq e aazam radiyallahu anhu ka bahas karna is wajah se tha ki unke ilm me pehle ye baat na thi, ki woh farziyat ke munkir the balke ye khayal tha ki zakat dete nahi is wajah se gunehgar huwe, kafir tou na huwe ki unpar jehad kaim kiya jaye, magar jab ma’alum ho gaya tou farmate hai ki maine pehchan liya ki wahi haq hai jho siddiq ne samja aur kiya.
Posted on: Sun, 14 Jul 2013 12:30:00 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015