Upyogi Vichar - Hamari life mein itni zyada problems kyu he? Kaise - TopicsExpress



          

Upyogi Vichar - Hamari life mein itni zyada problems kyu he? Kaise solve hogi? In problems ka sabse bada reason he anavashyak virodh karna. Kai log kehte he mujhse galat baat bilkul sehan nahi hoti. Bhagwan Mahavir kehte he asatya kuch bhi nahi means galat kuch bhi nahi, to virodh kyu? Kiska? Logic samjhe, Jaise hi aapke Mann mein complaint ya virodh aaya aapka mangal & shani grah active ho jata he, jo apke mind ko disturb karta he aur apke decision galat ho jate he. Mujhe train mein ek Bhai saab mile jo government ko bhala-boora keh rahe the. Sab corrupt he, beimaan he, chor he. Poochne par pata chala unke shoe mfg factory he. Jab meine kaha ki aapke yaha sales tax, income tax ki bahut pareshani hogi to wo surprised hue. Tab mein unhe samjaya ki jab aap govt. ko itni galiye denge to aap unse cooperation kaise expect kar sakte he. lekin jo galat he uska virodh karna kaha galat he. Konse time mein sab perfect tha.Bhagwan Mahavir ke time mein Rajkumari Chandana bechi gayi. Us time bhi chori hoti thi. Raja Ka itna terror tha, wo jab chahe jise chahe Uthwa leta or punish kar deta. Vaastav mein badlaav kabhi virodh se possible nahi wo prem se hi hoga. Virodh se Dwesh hi badhega, Apki problems badhegi. Koi sahi ho ya galat agar aap uska virodh karte he to uska willpower apko takleef dega hi. Notice kijiyega jo sadhu sant doosro ka virodh karte he wo aksar beemar rehte he. Isliye life ka pehla sutra- Kisi ka virodh mat kijiye ,kar sake to sehyog kare. Mahavir ne Arjun Maali aur Buddh ne Angulimaal jaise logo ko change kiya Lekin prem se. Isliye sabse Pehle criticise or virodh karna band kijiye to apki life mein problems kam hogi. Bhagwan Mahavir ke anekantwaad ko geharaai se samajhiye. Phir apni pragya se nirnay le. Aapke life me sahyog or sehkaarita badhe, yahi dua. Text by Jyotishacharya Shri Vinay Jain +917791816040
Posted on: Mon, 07 Apr 2014 04:59:14 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015