Upyogi Vichar- Hamara thought process (Soch) hi hamara purusharth - TopicsExpress



          

Upyogi Vichar- Hamara thought process (Soch) hi hamara purusharth he. Lekin aaveg ke samay hamara dimag kaam hi nahi karta. Us time Krodh, jealousy,complaints jaisi feelings aa hi jati he? Aise time hum kya kare? I agree. Aaveg ke time koi Soch kaam nahi karti. Lekin hamara mind 9 grah ke prabhav mein he.For example mangal grah ke prabhav se aapko krodh aata he, aap irritate hote ho. To dhyan de,Apke paas uske viprit ek aise grah ka prabhav hoga hi jo uska rok sakta ho. Har person ke paas har moment me khushi or dukh dono option hote hi he. Generally grah-gati ke hisab se yeh naturally hota he, Lekin kai baar jab apke sare circumstances negative ho to aap apne andar chupe huye Positive grah ki shakti ko jagrit kar sakte he. Uske liye aap hamesha free he. Agar kisi time apki apni wife se nahi banti to us waqt aap apna dhyan business mein, friends mein lagaiye. Kyuki us waqt sirf wife hi Apke dukh ka nimitt ho sakti he. Ek sath sabhi nimitt negative nahi ho sakte, kisi waqt brothers se misunderstanding ho rahi he, to unse thoda space rakhe, apna mind divert kare, unke touch mein kam rahe. Taki unki rays apke aaveg ka nimitt nahi bane. Kyuki nimitt ka apna mahatva he. Wo apke us grah ko active kar deta he . Kal meine ek kundali dekhi. Mein us Ladki se kaha tum bahar ghumne means restaurant, Mall, Hill station, kam jaya karo, kyuki tumhara Venus nich ka he. Sunne me thoda ajeeb laga use par phir usne bataya ki wo jitni baar bhi outing ke liye jati hai, waha bimar ho jati he,ya koi problem ho jati he. Meine usse kaha ki tumhara Shukra (venus) ashubh he, isliye Jaise hi tum unse related nimitt- jaise multiplex, Hotel, Tourist places etc par jaogi to negative energy aayegi. Iske viprit jinka Venus shubh hota hai mein unko kehta hu khub enjoy karo Kyuki is se unki positive energy badhegi. Mein nahi kehta maano, Experience karo aur jaano. Text by Jyotishacharya Shri Vinay Jain +917791816040
Posted on: Thu, 27 Mar 2014 10:33:28 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015