Urs Mubarak SAYYEDUS SAALIKIN ZUBDATUL KAAMILIN SIRAJUL ULMA - TopicsExpress



          

Urs Mubarak SAYYEDUS SAALIKIN ZUBDATUL KAAMILIN SIRAJUL ULMA HAZRAT MIR SAYYED SHAH FAZLULLAH KALPAVI radiyallahu anhu (Urs :- 14, Zilqa’ad, Mazar :- Kalpi Sharif, U.P.)~~~~~ >> SAYYEDUS SAALIKIN, ZUBDATUL KAAMILIN, SIRAJUL ULMAA, REHBARE FUZLAA, HAZRAT SAYYEDNA MIR FAZLULLAH KALPAVI Radiyallahu Anhu. Aap Silsilae Aaliya Qadriya, Barkatiya, Razviya, Hamidiya, Habibiya Ke 32 ve Imam Va Shaikh e Tariqat He. >> VILADAT :- Aapki Viladat sharif Kalpi sheher Me Hui Aur Vahi Nasho Numaa Hui. > TAALIM O TARBIYAT :- Aapne Apni Mukammal Taalimo Tarbiyat Vaalid e Majid HAZRAT SAYYEDNA SHAH MIR AHMED KALPAVI Radiyallahu Anhu Ke Zere Nigraani Mukammal Farmai. Aap Apne Waqt Ke Azim Mashaikh Me Se The. Aap Jaameul Ilm Va Daanishe Zahir o Batin The Aur Zohdo Taqva Ibadat va Riyazat Me Mumtaaz The. TAVAJJOH ME AJIB TAASIR THI :- Ek Roz Aapki Khidmat Me 4 Shakhs Haazir Hue Aur Arz Kiya Ke Huzur ! Ham Logoke Dil Duniya Ki Mohabbat Ki Vajah Se Paththar Ho Gae He Aur Kabhi Hamari Aankho Me Aansoo Nahi Aate. Aapka Naam Sunkar Bahot Door Se Ham Aae He Us Waqt Aap Ek Khat Apne Watan Jalandhar Ko Likh Rahe The Yaha Tak Ke aapne Khat Likhna Band Kar Diya Aur Phir Aisi Tavajjoh Farmai Ke Wo Charo (4) Shakhs Murg e Bismil Ki Tarah Tadapne Lage. >> Aapke Mubarak Chehre Se Ek Roshni Nikli Aur Sutoon (Piller) se Takrai Aur Aaine Ki Tarah Chamakne Lagi Uske Sath Hi Wo Charo shakhs Haalate Be Khudi Me Behosh Pade Rahe. Phir Jab Unko Ifaqa Hua To Aapke Daste Haq Parast Par Bait Ka Sharf Hasil Kiya. Isi Tarah Beshoomar Log Aapki Zaate Baa Barkat Se Faziyaab Hue. VISAAL SHARIF :- Aapka Visaal Mubarak 14 Zilqaad Ko Shaam Ke Waqt Hua. Aapka Mazar e Aqdas U.P. Ke Shaher Kalpi Me Ziyarat Gaahe Khaso Aam He. DE MUHAMMED KE LIYE ROZI KAR AHMED KE LIYE KHWANE FAZLULLAH SE HISSA GADAA KE WASTE (AALA HAZRAT IMAM AHMED RAZA FAZILE BARELVI radiyallahu anhu) (Tazkira e Mashaikh e Qadriya Barkatiya Razviya)
Posted on: Sun, 14 Sep 2014 02:19:07 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015