Us ne door rehney ka mashwara bhi likha ha Sath hi muhabat ka wasta bhi likha ha Us ne ye bhi likha ha mere ghar nahi ana Saaf saaf lafzon main rasta bhi likha ha Kuch haruf likhay hain zabt ki nasihat main Kuch haruf main us nay hosla bhi likha ha Shukrya bhi likha ha dil se yaad karnay ka, Dil se dil ka ha kitna-fasla bhi likha ha, Kiya usay likhen Mohsin Kiya usay kahain Mohsin Jis ne kar k bejaan phir jan-e jan bhi likha Ha. . .
Posted on: Tue, 29 Oct 2013 19:15:23 +0000