Uttrakhand me jo hua wo bhayawah tha kash na hua hota par jo ab ho - TopicsExpress



          

Uttrakhand me jo hua wo bhayawah tha kash na hua hota par jo ab ho raha wo usse bhi jada khatarnak hai. 1 taraf fauj ka afsar keh raha hai ki hum tak madad karenge jab tak har jinda vyakti ko surakhshit na nikal le aur doosari taraf CM apni samvedanheenta ki parakashtha ko langh chuke hai lagta to yahi hai jaise wo kisi ko bachana hi nahi chahta hai. Sochne wali bat ye hai fauji aur neta dono ki pehli jimmedari humare prati hai. army to apna farz nibha rahi hai par netao ko apne dharm ka bodh hi nahi hai......hum sab kehte hai ki humare desh ke neta samvedanheen hai par darasal samvedanheen to hum khud apne prati hai jo desh ki kaman aise logo ko saup rahe hai jinhe humari koi chinta hi nahi hai ye aise log hai jo sab kuch hote hue bhi hath khade kar dete hai........kudrat se ladne ke liye ichashakti chahiyd jo humare desh ke raj netao ke pas nahi hai. dhanya hai sena ke jawan jo aj bhi kartavyaparayan hai aur apni jan ko jokhim me dal ke logo ko bacha rahe hai.....hum sab dua kare!!
Posted on: Fri, 21 Jun 2013 17:20:07 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015