~¤ Very Very Important Question ¤~ Bahot bada msg hai magar apna - TopicsExpress



          

~¤ Very Very Important Question ¤~ Bahot bada msg hai magar apna Imaan bachane ke liye is post ke baare me pata hona har musalman ke liye zaroori hai. Question-> Yeh "Biddat" kya hoti hai ? aaj kal bahut yeh lafz sunai mein aaraha hai Answer-> Ji bhai yeh lafz zayada aaj kal chal raha hai ki kuch bad-Aqeeda log hum Ahle-Sunnat ke har kaamon ko biddat karar de kar humein gumraah sabit karna chah rahi hai.. Aur bhai Biddat ke hawaley sey yeh post perh lein: Bidat k sharai meaning yeh hain k jo kaam Hazoorﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ k dour main na tha ab ejaad hua. Bidat ki kai types hain: -Biddat-e-Hasana: Aisi biddat jisko kerna jaiz ho aur jis ko kerny sey sawab bhi milly. -Biddat-e-MUBAHA: Aisi biddat jissy kerna tou jaiz ho laikin es per na he sawab milly na he gunah ho. -Biddat-e-Dalala; Aisi biddat jisko kerna najaiz-o-gunah ho. -Bidat-e-hasana ka quran sey saboot ): ﺍﺑﺘﺪﻋﻮﻩﺍ ﻣﺎ ﮐﺘﺒﻨﻬﺎ ( ) Sura Hadeed, Verse:27) terjuma:"Tou yeh baat deen main unho ney apni taraf sey nikal, hum ney in per muqarer na ki thi, han yeh bidat unho ney ALLAH ki raza chahney ko peida ki, tou hum ney eman walo ko eska sawab atta kia".Ouper wali ayat sey saaf zahir hai k bidat- e-hasana quran sey sabit hai, ap yeh kehna k her bidat he buri hoti hai eska koi sharai jawaz nahi. Es ayat sey saaf zahir hai k bidat-e-hasana jaiz hai bal k achi niyat sey ki gai tou us per sawab hai, Ab baat yeh atti hai ke hadees main hai k "yakeenan her biddat gumrahi hai", tou aetraz yeh hua k yeh hadith aur quran ki ayat apus main ikhtilaf ker rahi hain, baat samjhny ki yeh hai k hadees quran ki ayat sey ikhtilaaf nahi ker rahi bal k hadees k meaning sahi smjhy nahi ja rahy, AAQA ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ k matlub es hadees main bidat- e-dalala hai wo bidat wo fitna phelany k liyay ki gai ho. Eski daleel main ahadees yeh hain: -"Jub quran ko aik kitab ki shakal main mehfooz kerny ka Hazrat Abu Bakr ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮧ k dour main faisla hua tou yeh tajweez Hazrat Umer ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮧ ney di thi, es per khalifa-e-awl ney fermaya k aisa kaam kyu kia jai jo AAQA ney apny dour main nahi kia, Hazrat Umer ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮧ ney jawab dia k kaam tou naya hai laikin acha hai(yaani hai tou bidat laikin hasana hai). (Sahi Bukhari:1720) Dosri hadees k mutabiq jub taravi main IMAM muqarer kernay ka faisla hua tou aik SAHABI ney yehi aetraz kia k wo kaam kyu kerty ho jo AAQA ney nahi kia, Hazrat Umer ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮧ ney yehi jawab dia k kaam tou naya hai laikin acha hai(yaani hai tou bidat laikin hasana hai) (Sahi Bukhari:2629) -Bidat-e-hasana aik aur jaga ai hai.(Jamei-ul- tirimzi:3103)-"Jiss ney bhi deen main koi naya (acha) kaam nikala esko bhi aur jo esko apnai ka dono ko eska ajr milta rahy ga". (Sahih Muslim, Book:34, Number 6466) Eska jawab k her bidat he buri hoti hai: -Ager her bidat buri hoti hai tou eska jawab dijiyay k her musalman ka aqeeda hai k ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ k 99 names main sey her naam paak hai, inhe naamo main sey aik naam hai "ﯾَﺎﺑَﺪِﯼُّ " yani naya peida kerny wala, aql sey soocha jai tou kya ALLAH apna naam aik aisa kalima rukhain gy jo SHARIAT main mamno ho. Lehaza jo hadees main kaha gaya hai k her bidat gumrahi hai wo bidat-e-dalala k liyay kaha gaya hai.Kya Biddat sirf Deen k kaam main he hoti hai: Eska jawab yeh hai k quran aur hadees main kahi bhi dikha dain jahan likha ho k "DEEN" main naya kaam bidat hai dunyani kaamo main new changes lana bidat nahi". Hamara yeh dawa hai k bidat SHARIAT main deen aur dunia dono kaa mo main hoti hai, es k mutaliq hadees yeh hai: Hazrat Ayesha Siddiqa ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮩﺎ fermati hain:" Sarkar ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭ ﺳﻠَّﻢ k wisal-e-zahiri k baad sub sey pehli bidat pait bher ker khany ki peida hui, jub logon k pait bher jaty tou in k nufs duniya ki taraf serkash hojaty(es qool mainbidat-e-has ana murad hai)" .(Quwat-ul-quloob, V:2, Pg:327). Ab mera yeh sawal hai k es hadees main pait bhr k khaany ko bidat kaha gaya hai, ager dunyawi kaamo main bidat nahi hooti tou es hadith ka kya matlub hai . ﺟﺰﺍﻙ ﺍﻟﻠﻪ ﺧﻴﺮﺍ Aur simple example 1-Quran mein zeir,zabar,aur pesh lagana. 2-Fajar ki Azaan mein kehna As-sallatu-khairum-minan-naum. 3-Namaz-e-Jumaa mein do
Posted on: Sat, 29 Jun 2013 21:31:23 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015