Wataniyat (وطنیت) Patriotism Iss Dour Mein Mai Aur Hai, Jaam - TopicsExpress



          

Wataniyat (وطنیت) Patriotism Iss Dour Mein Mai Aur Hai, Jaam Aur Hai Jam Aur Saqi Ne Bina Ki Rawish-e-Lutf-o-Sitam Aur In this age the wine, the cup, even Jam is different The cup‐bearer started different ways of grace and tyranny Muslim Ne Bhi Tameer Kiya Apna Haram Aur Tehzeeb Ke Azar Ne Tarshawaye Sanam Aur The Muslim also constructed a different harem of his own The Azar of civilization made different idols of his own In Taza Khudaon Mein Bara Sub Se Watan Hai Jo Pairhan Iss Ka Hai, Woh Mazhab Ka Kafan Hai Country, is the biggest among these new gods! What is its shirt is the shroud of Deen (Religion) Ye But Ke Tarashida-e-Tehzeeb-e-Nawi Hai Gharatgar-e-Kashana-e-Deen-e-Nabwi Hai This idol which is the product of the new civilization Is the plunderer of the structure of the Holy Prophet’s Deen (Religion) Bazu Tera Touheed Ki Quwwat Se Qawi Hai Islam Tera Dais Hai, Tu Mustafavi Hai Your arm is enforced with the strength of the Divine Unity You are the followers of Mustafa, your country is Islam Nazzara-e-Dairina Zamane Ko Dikha De Ae Mustafavi Khak Mein Iss Butt Ko Mila De! You should show the old panorama to the world O Mustafaa’s follower! You should destroy this idol Ho Qaid-e-Maqami To Nateeja Hai Tabahi Reh Behar Mein Azad-e-Watan Soorat-e-Mahi The limitation to country results in destruction Live like the fish in the ocean free from country Hai Tark-e-Watan Sunnat-e-Mehboob (S.A.W.)-e-Elahi De Tu Bhi Nabuwwat Ki Sadaqat Pe Gawahi Renouncing the country is the way of the God’s Beloved (PBUH) You should also testify to the Prophethood’s Truth by similar action Guftar-e-Siasat Mein Watan Aur Hi Kuch Hai Irshad-e-Nabuwwat Mein Watan Aur Hi Kuch Hai In political parlance country is something different In Prophet’s command country is something different Aqwam-e-Jahan Mein Hai Raqabat To Issi Se Taskheer Hai Maqsood-e-Tajarat To Issi Se The antagonism among world’s nations is created by this alone Subjugation as the goal of commerce is created by this alone Khali Hai Sadaqat Se Siasat To Issi Se Kamzor Ka Ghar Hota Hai Gharat To Issi Se Politics have become bereft of sincerity is by this alone The destruction of the home of the weak is by this alone Aqwam Mein Makhlooq-e-Khuda Batti Hai Iss Se Qoumiat-e-Islam Ki Jar Katti Hai Iss Se God’s creation is unjustly divided among nations by it The Islamic concept of nationality is uprooted by it By Allama Iqbal
Posted on: Thu, 14 Aug 2014 08:55:39 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015