Ya nabi aapke jalwon mein wo ranaayi hai Dekhne par bhi meri - TopicsExpress



          

Ya nabi aapke jalwon mein wo ranaayi hai Dekhne par bhi meri aankh tamannayi hai Haq-taala bhi kareem, aur Mohammed bhi kareem Do kareemon mein gunahgaar ki bann aayi hai Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein Dukh dard-o-alam gham katt- tay hain Hasnain ke sadqay batt-tay hain Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein Khaday huwe hain sar-e- rehguzar madinay mein Hazaaron shamme hazaaron qamar madinay mein Sataale jitna sataaye mujhe gham-e-doori Nikaal dhoop mein saari kasar, Mohammed ke shaher mein Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein Kuch aisi bheed lagjaati hai shah-e-deen ke rozay par Hawaa ko raasta mushkil se milta hai Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein Hawaayen bhi adab ke saath chalti hain Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein Ghamon se jab bhi tabiyet malool hoti hai Toh shaabgaam banaam-e- rasool hoti hai Khud is duwa mein Mohammed ka waasta shaamil Huzoor-e-haq mein yakeenan qubool hoti hai Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein Haath mein tasbeeh baghal mein musalla Lab pe jaari Allah Allah Kehti hui pohunchi Baitullah Aur pukaari aye mere Allah Too gada ko jo nawaaze toh shahenshah banay Aur yateemon ko jo chahe toh payyambar karde Aye mere Allah (Toh sadaa parde se aayi) Mere parde mein wehdat ke siwa kya hai Jo toh tujhe lena hai lay Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein Kyun aa ke ro raha hai, Mohammed ke shaher mein Kyun aa ke ro raha hai, Mohammed ke shaher mein Har dard ki dawaa hai, Mohammed ke shaher mein Har dard ki dawaa hai, Mohammed ke shaher mein Aao gunahgaaron chalo sarr ke ball chalen Chalo sarr ke ball chalen Wo bargaah-e-naaz-e-rasool-e- arabi hain Palkon ka jhapakna bhi wahan pe adab hi hai Chalo sarr ke ball chalen Wahan sarr jhukaate hain Auliya Wahan paon rakhna rawaan nahi Nazaan hai jis pe husn wo husn-e-rasool hai Ye kehkashaan toh aapke kadmon ki dhool hai Taiba ke raaste ka toh kaanta bhi phool hai Aye rehrawaan-e-shaukh chalo sarr ke ball chalen Chalo sarr ke ball chalen Begaana-e-irfaan ko haqeeqat ki khabar kya Jo aapse waakif na ho, wo ahl-e-nazar kya Manzoor-e-nazar kaun hua iski khabar kya Wo fazl pe ajaye toh phir aib- o-hunar kya Taamil ko darr-e-yaar ke sajdon se na roko Qurbaan jahan dil ho, wahan keemat-e-sarr kya Chalo sarr ke ball chalen Aao gunahgaaron chalo sarr ke ball chalen Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya Teri nigaah se jalwe bhi mehr- o-maah banay Jagaye besar-o-samaan jahan panaah banay Huzoor hi ki karam mein diye tasalli bhi Huzoor hi mere gham mein meri panaah bane Wohi maqaam mohabbat ke jalwa-gaah banay Jahaan jahaan se wo guzre jahan jahan pohunchay Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya Mitti bhi Keeniya hai, Mohammed ke shaher mein Mitti bhi Keeniya hai, Mohammed ke shaher mein Sadqa lutaa raha hai, Khuda unke naam ka Sona nikal raha hai, Mohammed ke shaher mein Sona nikal raha hai, Mohammed ke shaher mein Sab toh jhuke hain khana-e- kaaba ke saamne Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein Hajiyon aao shahenshaah ka roza dekho Kaaba ko dekh chuke kaabe ka kaaba dekho Madina wo hai ke ye ja ja ke sajda karta hai Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein Phool gulaab ka aapke chehre jaisa lagta hai Aur chamakta chaand nabi ka talwa lagta hai Kaaba khud taiba ki jaanib jhukta lagta hai Kaabe ke kaaba sarkaar ka roza lagta hai Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein Saaya nahi hai gumbad-e- khizra ka abidi Khicha kuch is milaal-i-shaan se naksha Mohammed ka Ke naqqash-e-azal bhi hogaya shaida Mohammed ka Koi kya dekhta aks-e-kadd-e- wala Mohammed ka Saraapa noor tha wo kaamat- e-sebaa Mohammed ka Kisi waaiz nazar aata na tha sayaa Mohammed ka Saaya nahi hai gumbad-e- khizra ka abidi Zinda ye mojeza hai Mohammed ke shaher mein Aye ‘Raaz’ too toh HIND mein maujood hai magar Din raath padh raha hai Mohammed ke shaher mein Poocho usi se kya hai Mohammed ke shaher mein Ek baar jo gaya hai Mohammed ke shaher mein Taalib hain unse auliya aur ambiya tamaam Bakshish karam ataa hai Mohammed ke shaher mein Sairaab kar rahi hai jo saare jaahan ko Rahmat ki wo ghata hai Mohammed ke shaher mein Duniya ke khaak chaanke jo kuch na paa saka Sab kuch usay mila hai, Mohammed ke shaher mein Sab kuch usay mila hai, Mohammed ke shaher mein Tanweer kibriya hai Mohammed ke shaher mein Jalwon ka silsila hai Mohammed ke shaher mein Laazim hai ehteraam ke nazron se dekhna Kya jaane koun kya hai Mohammed ke shaher mein Har shaks ki zubaan se dauraan-e-guftgoo Quraan bolta hai Mohammed ke shaher mein Quraan bolta hai Mohammed ke shaher mein Baab-e-asar khula hai Mohammed ke shaher mein Maqbool har dua hai Mohammed ke shaher mein Dhoka fareb jhoot dagha aur kalaam badd Koi na jaanta hai Mohammed ka sheher mein Behre salaam aate hain hardam malayeka Jaari ye silsila hai, Mohammed ke shaher mein Dhoonda khuda ko dhoondne waalon ne har jagah Lekin khuda mila hai, Mohammed ke shaher mein Lekin khuda mila hai, Mohammed ke shaher mein Allah Abu Turaab ke sajda ke ehmiyat Suraj palat raha hai, Mohammed ke shaher mein Suraj palat raha hai, Mohammed ke shaher mein Ek roz ibrahim se namrood ye kehne laga Sab toh kehte hain mujhe, too kyun nahi kehta khuda Bole ibrahim pehle waada kar is baath ka Maghrib se suraj ko utha, beshak too phir mera khuda Ek roz ka hai waqiya, aye mominon sunna zara Zaanon pe sarr rakh ke ALI ke so rahe thay Mustafa Waqt-e-asar jaata raha, maghrib ka waqt aane laga Is fikr mein sher-e-khuda ronay lagay Ansoo rooh-e-Mohammed par giray Uththay Mohammed Mustafa, bole Mohammed Mustafa Rotay ho kyun sher-e-khuda Ranjh hai tumhe kis baath ka Bole Ali-e-murtaza, waqt-e- asar jaata raha Kaise karoon sajda adaa Bole Mohammed Mustafa, aao idhar sher-e-khuda Ungli shahadat ki utha, maghrib ki jaanib ko kiya Maghrib se suraj phir utha, waqt-e-asar phir hogaya Allah Abu Turaab ke sajda ke ehmiyat Suraj palat raha hai, Mohammed ke shaher mein Suraj palat raha hai, Mohammed ke shaher mein
Posted on: Fri, 19 Jul 2013 23:05:21 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015