Yaar jo bhi mila dil jala kar gaya Khaak mein meri hasti mila - TopicsExpress



          

Yaar jo bhi mila dil jala kar gaya Khaak mein meri hasti mila kar gaya Pyaas jiski sada mein bhujata raha Zaher-e-Qatil mujhe woh pila kar gaya Naaz uski wafa par mujhe tha magar Teer woh bhi jigar par chala kar gaya Dhoondta tha kabhi jo mujhe har gali Aankh woh aaj mujhse bacha kar gaya Maanta tha sahara jo hardam mujhe Besahara mujhe woh bana kar gaya Neend aagosh mein jiski aane lagi Maut ki neend mujh ko sula kar gaya Aarzoo thi Yaar jiski mujhe Khwaab mere wahi mita kar gaya
Posted on: Sun, 08 Sep 2013 10:58:31 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015