Ye ab khula hai ki koi bhi manzar mera na tha main jis mein reh - TopicsExpress



          

Ye ab khula hai ki koi bhi manzar mera na tha main jis mein reh raha tha wohi ghar mera na tha main jis ko ek umr sambhale phira kiya matti bata rahi wo paikar mera na tha mauj-e-hava-e-shahar-e-muqaddar javab de dariya mere na the ki samandar mera na tha phir bhi to sangsar kiya ja raha hun main kahate hain naam tak sar-e-mahazar mera na tha sab log apne apne qabilon ke sath the ek main hi tha ki koi bhi lashkar mera na tha
Posted on: Sat, 13 Jul 2013 11:20:52 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015