Yeh incident mere bhaiya (i mean bhaiya ke friend) ke saath hua. - TopicsExpress



          

Yeh incident mere bhaiya (i mean bhaiya ke friend) ke saath hua. its around 7-8 years old. Place is Rajouri, near Jammu, which is my mothers hometown. Rajouri mei 1 samadhi hai, known as Balidan Bhavan, called so because its a memorial to all those who lost their lives in d Hindu-muslim riots post independance. Wahan pe 1 well tha, jahan pe bahut se logo ko kaat kar phenk diya tha Pakistanis ne. men, women, children.. none was spared. around 100 feet gehra well tha, n it was filled upto the top with dead people. Later on it was covered n fir wahin pe memorial bana diya gaya, aur wahan aaj bhi roz satsang hota hai. Toh hua yeh ki Bhaiya was coming home after a party. it ws around 2 a.m and he was in a jolly mood. But he never drank. He was quite fearless at that time. uske haath mei koi heroine ka poster tha. Sab kehte hain ki Balidan Bhavan is haunted but he didnt believe that. So pata nahi bhaiya ke dimaag mei kya aaya, wo Samadhi ke gate pe poster chipkane laga. Wo lane bahut deserted thi and raat ke time wese bhi koi bahar nahi hota tha. Bhaiya was also alone. suddenly he heard some footsteps along with a knocking voice.. like some old man with a walking stick. He looked around, there was no one. Samadhi mei wese bhi raat ko koi nahi rehta n Light bhi nahi hoti. he started wondering awaaz kahan se aa rahi hai. fir he heard someone saying. ae besharam ladke. bhaag yahan se. kya kar raha hai yeh. sharam nahi hai. he looked inside.. someone was walking down the stairs inside the samadhi. It was an old man wearing Dhoti kurta and a turban, with a walking stick in the hand. Bhaiya was shocked. usse laga yeh toh bhoot ke siwa aur koi ho hi nahi sakta. He couldnt move at all. but this wasnt all. Wo banda chalte chalte ekdum gate ke paas aa gaya. Bhaiya ne dekha ki Banda hai hi nahi, bas kapde n stick dikh rahe hain. it was like an invisible man wearing clothes. but the whole time he kept talking, aajkal ke bacho ko sharam hi nahi hai, sanskaar nahi hain etc etc. Bhaiya was so shocked, he fainted and fell there itself. In d morning someone noticed him lying on the road and helped him get home. He was numb and motionless. sabne pucha toh unhone puri story batayi. And maybe the reason Bhaiya was safe is because wo bhoot gate ke andar tha. maybe he was trapped in the venue. Jo bhi tha, Bhaiya ka kya haal hua hoga, yeh soch ke mujhe bhi dar lag jata hai. uske baad 2-3 months ta bhaiya beemar rahe. Aaj bhi wo baat mention karne pe unka mood kharb ho jata hai.
Posted on: Tue, 11 Nov 2014 18:13:49 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015