Yeh na thee hamari Qismat K wisaal E yaar hota Agar aur jeete - TopicsExpress



          

Yeh na thee hamari Qismat K wisaal E yaar hota Agar aur jeete rahtay, yehi intezaar hota [Visaal-e-yaar = to meet the beloved] Ye msaile tasuuf, ye tera bayane ghalib! Tujhe hum wali samajhte, jo na badai khuar hota [masail -e - tasavvuf = maxims of mysticism , wali= saint, badahkhvar=wine drinker] Kehte hain jeete hain umeed pe log humein toh jeene ki bhi umeed nahi Koi Ummeed Bar Nahin Aati Dil-e-nadan Tujhe Hua Kya Hai Akhir Is Dard Ki Dawa Kya Hai [Dil-e-nadan=Immature heart] hamko unse wafa ki hai ummeed jo naheeN jaante wafa kya hai [wafa= loyalty] Koi Ummeed Bar Nahin Aati Baskih dushwaar hai har kaam ka aasaan hona Admi ko bhi mayassar nahin insaan hona [baskih=whereas/though dushvar=difficult, mayassar=affordable] Girya chahai hai kharabi mere kashane ki Dar-o-diwar se tapke hai biyaban hona [girya=crying, kashana=home, dar-o-divar=doors and walls, bayaban=wilderness] Koi Ummeed Bar Nahin Aati hai khabar garm unke aane kee aaj hee ghar meiN boriya na huaa ! [boriya=rug] ghar hamara, jo na rote bhi, to wiran hota bahr gar bahr na hota to bayaban hota [viran=desolate, bahar=ocean, bayaban=desert] Koi Veerani si Veerani Hai... Dasht Ko Dekh Kar Ghar Yaad Aaya [veerani=desolation, dasht=desert] ham kahan ke daanaa the?kis hunar mein yaktaa the? be-sabab huaa GHalib dushman aasmaan apna.. [daanaa=wise, yaktaa=matchless, besabab=without a cause, asmaan=heaven] ranj se khugar hua insan to mit jata hai ranj mushkilein mujh par pari itni ke asan ho gain [ranj=grieves, khugar=habitual] yun hi gar rota raha ‘Ghalib’, to ae ahl-e-jahan dekhna in bastiyon ko tum ki wiran ho gain [ahl-e-jahan=people of the world, viraan=desolate] Jab tawaqqo hi uth gayi Ghalib kyon kisi ka gila kare koi [tawaqqo=hope, gila=complain] chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ? [lahoo=blood, pairaahan=attire, jeb=pocket, haajat-e-rafu= need for darning] jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ? [kuredte=sifting, raakh=ashes, justjoo=search] ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ? [ragon=veins, qaayal=worth] rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ? [taaqat-e-guftaar=strength to speak, aarzoo=desire] Koi Soorat Nazar Nahin Aati maut ka ek din muayyan hai [muayyan = definite] Qaid e heyaat-o-band-e gham asal me dono ek hain maut se pehle aadmi gham se nizaat paye kyu [Qaid-e-hayaat=bondage of life, band-e-gham=succession of sorrow, nizaat=salvation] maut ka ek din muayyan hai kahun kis se main ke kya hai, shab-e-gham buri bala hai mujhe kya bura tha marna agar ek bar hotaa. [shab-e-gham=nights full of grief, bala=affliction] hue mar ke ham jo ruswa, hue kyon na gharq-e-daryaa, na kabhi janaazah uThtaa, na kahin mazaar hotaa. [rusva=disgrace, gharq-e-dariya= drown in a river, janaza=a type of open coffin, mazaar=shrine] maut ka ek din muayyan hai Jaan di, di hui usi ki thi haq to yun hai ke haq adaa na huaa [haq=truth/god, adaa=pay] phir mujhe diidaa-e-tar yaad aayaa dil jigar tashnaa-e-Fariyaad aayaa [diidaa-e-tar=vet eyes, jigar tashnaa= intense longing, fariyad=cry] dam liyaa thaa na qayaamat ne hanoz phir teraa vaqt-e-safar yaad aayaa [qayaamat=doomsday, hanoz=yet, waqt-e-safar=time of travel] zindagi mein to wo mehfil se uTha daytay thay dekhooN ab mer gaye, per kon uThata hai mujhay mohabbat me nahi hai fark, jeene aur marne ka usi ko dekh kar jeete hain, jis kafir pe dum nikle [kaafir=infidel] zara kar zor seene par, ki teere-pur-sitam nikle jo wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dum nikle [teer-e--pursitam=pain giving arrow] Ki Mere Qatal Ke Baad Us Ne Jafa Se Toba Haye Is Zood Pashaiman Ka Pashaiman Hona [jafa=anguish, tauba=repented, zood pashaiman=who repents readily] maut ka ek din muayyan hai neend kyon raat bhar naheen aatee ? jaanta hoon sawab-e-taat- o-zohad [savaab=Heavenly reward, taat-o-zohad=praying and piety] imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr kaaba mere peeche hai kaleesa mere aage [imaan=belief, kufr=disbelief, kaaba=shrine, kaleesa=church] humko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin dil ko khusH rakHne ko GHalib ye khayaal achcha hai Had chahiye saza mein, aqoobat ke waste Aakhir gunah gaar hon kafir nahin hon main [had=limit, uqoobat=harshness, gunahgaar=criminal, kafir=disbeliever] KHuda ke waaste parda na kaabe se uThaa zaalim kaheeN eisa na ho yaaN bhee wohee kaafir sanam nikle kahaaN maiKHaane ka darwaaza GHalib aur kahaaN waaiz par itana jaante haiN kal wo jaata tha ke ham nikle [maikhana=tavern, waaiz=preacher] jaanta hoon sawab-e-taat- o-zohad par tabiyat ab idhar nahi aati Hai Kuch Aisi Hi Baat jo Chup Hun Warna Kya Baat kar Nhi Ati Hum vahaN haiN jahaN se hum ko BHee KuCCHH hamari KHabar nahiN aati phir tere kuche ko jata hai khayal dil-e-gumgashta magar yad aya [koocha = a narrow street/lane, dil-e-gumgashta = missing] Bana ke fakiron ka hum bhes ghalib, Tamasha E ahle karam dekhte hain. [tamasha=display, ahl-e-karam =generous people] ae saknan-e-kucha-e-dildar dekhna tum ko kahin jo Ghalib-e-ashufta sar mile [sakinan=inhabitants, kucha=small alley, ashufta=lunatic] Bak raha hoon junoon mein kya kya kuch Kuch na samjhe khuda kare koi Hum vahaN haiN jahaN se hum ko BHee KuCCHH hamari KHabar nahiN aati marte haiN aarzoo meiN marne ki maut aatee hai par naheeN aatee kaabaa kis muNh se jaaoge GHalib sharm tumko magar naheeN aatee Koi umeed bar nahin aati koi surat nazar nahin aati
Posted on: Wed, 13 Nov 2013 19:16:22 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015