ZAKHM (This poem describes the state of mind of a person who - TopicsExpress



          

ZAKHM (This poem describes the state of mind of a person who recently realised that he has been cheated by his close friend ) Zakhm dil pe yu na khaya hota, Teri choukhat pe jo naa aya hota. Jis Dard ne rulaya dino raat, Kaun jaane doston se paya tha. Ek chardiwari si jo kheenchi, apne hee ird gird yuun humne, Ki nigaah na uthi Kabhi, tere paar na dekha humne. Pyaar se na pucha kyu hai, Bas tumko hi sab jaan baithe, Ye sila doge Kabhi socha hota, To pathar se dosti kar li hoti. Dhokha dete jo gair, zhel jata dil-e-nadaan, Apno ka to kankad bhi, Jaise toot pade aasmaan. Kasar kya rahi mujhse, Chahne me tujhe aeey dost, Kyu badal di wo dosti, Wo dillagi aey dost. -vipin khatri
Posted on: Sun, 11 Aug 2013 00:50:24 +0000

Trending Topics



s="stbody" style="min-height:30px;">
William Black was a Jewish immigrant from Russia who sold nuts in

Recently Viewed Topics




© 2015