Zaid Bin Saabit Ansaari(R.A.) ne bayan kiya ki jang me (Kaari - TopicsExpress



          

Zaid Bin Saabit Ansaari(R.A.) ne bayan kiya ki jang me (Kaari logon ke zyada taadaad) me shaheed hone ke baad Abu Bakr Siddiq(R.A.) ne mujhe bulwa bheja. Mai haazir hua to us waqt Umar (R.A.) bhi maujood the. Abu Bakr(R.A.) mujhse kehne lage ki dekho, ye Umar mere paas aaye hain aur keh rahe hain ki yamaama ki jang me bahut zyada taadaad me Quran ke kaari shaheed ho gaye hain. Isi tarah agar ye kaafiron ke saath jangon me shareek ho kar shaheed hote rahe to inki taadaad bahut kam ho jaayegi (Aur ye fikr ki baat hai) isliye Quran ko kitaabi shakl dene ka hukm dein. Is par maine Umar se kaha: Aap aisa kaam kyun karenge jise Nabi kareem (S.A.W.) ne (Apni zindagi me)nahi kiya? Is par Umar ne kaha: Allah ki kasam! (Ye koi bura to nahi hai) achchha hi kaam hai. Aur Umar ne is baat ko itni martaba dohraaya ki Allah paak ne bhi mere dil me baat baitha di aur mai bhi unki raaye se muttafiq ho gaya. Zaid(R.A.) ne bayan kiya ki fir Abu Bakr ne mujhse kaha: Aap jawaan hain, hoshiyaar aur akalmand hain, aap par koi ilzaam bhi nahi lag sakta kyunki aap Rasoolullah ki wahi likhte rahe hain, isliye aap talaash karke ikattha kar dein. Saabit(R.A.) ne kaha: Allah ki kasam! Agar aap log mujhse pahaad(Mountain) hataane ko kehte to ye mere liye itna mushkil na hota jitna Quran paak ka jama karna hai. Chunanche maine Abu Bakr se kaha: Aap log aisa kaam karne kyun jaa rahe hain jise khud Nabi kareem(S.A.W.) ne nahi kiya? Abu Bakr(R.A.) ne is par kaha: Mere bhai ye bhi to ek nek kaam hi hai. Unhone ise itni baar dohraaya ki mujhe bhi Umar aur Abu Bakr ki tarah itminaan ho gaya. Fir maine Quran majeed(Jo alag-alag cheezon par likha hua tha) ki khoj shuru kar di, fir unhe khojoor ki shaakhon, paththar (Stone) ki patli silliyon aur logon ke seenon ki madad se jama karne me lag gaya. Is darmiyaan mujhe Surah Tauba ki aakhiri do aayatein Abu Khujaima Ansaari ke paas likhi hui mili, ye aayatein likhit taur pe sirf unhi ke paas hi thi(Aur logon ko zubaani yaad thi). Inhe kitaabi shakl me ikattha karne ke baad ye kitaab Abu Bakr(R.A.) ke paas rahi, unke intekaal ke baad Umar(R.A.) ke paas rahi, fir Umar(R.A.) ki beti Hafsa(R.A.) ne apne paas rakh li. Sahih Al-Bukhari(Hadees no.4986) Faida: Quran Paak Nabi Kareem (S.A.W.) ke waqt hi me mukammal likha hua maujood tha, lekin alag-alag tukdon me tha, fir Usmaan(R.A.) ne uski nakal tayyar kara ke chaaron taraf bhej di. Sooraton ki tarteeb(Sequenc e) sabhi jaante the, Rasoolullah(S.A .W.) ne aakhiri ramzaan me Jibra’eel ko do baar suna tha. Sahaaba jo haafiz the in sab ko sooraton ki tarteeb maaloom thi. Baad me logon ne ye izaafa kiya ki is ko 30 paaron me banaaya, ruku ke nishaan banaaye, Quran ke beech me theherne ke nishaan banaaye, eraab lagaaye.
Posted on: Tue, 29 Oct 2013 17:41:08 +0000

Trending Topics



Desde este punto de vista lejano, la Tierra puede no parecer de
As I sit here watching my Precious Daughter Sleep... Im thinking
PERSONAL SUPPORT WORKERS, CAUGHT IN THE MIDDLE. Posted on August
Cyber Monday Deals $$ SoDo Tek TM Replacment AC Adapter Power
Toni Garcia shares: As many of you see.. Plexus has COMPLETELY

Recently Viewed Topics




© 2015