Zamana badan ko purana kerdeta hai aur Khuwahishaat ko naya , Mout - TopicsExpress



          

Zamana badan ko purana kerdeta hai aur Khuwahishaat ko naya , Mout ko kareeb bana deta hai aur tamanaao ko duur , yahan jo kamiyab hojata hai woh bhi khastah haal rehta hai aur jo isseh kho bethtta hai woh bhi thakan ka shikaar hojata hai..:) Mola Pak IMAM ALI A.S .. rEf: Nehjul BLagha Insan aj kamiyabi ki rahon ko uboor kerne ki khatir sahe aur ghalat tmam rastoun per chalne k liye khud ko ba asaani amadah kerleta hai aur lag jata hai hasool e khuwahish mein mager philosophical view se bohat gehra pegham in alfaaz mein posheeda hai k in duniyavi khuwahishaat ko paanay ki dour insan ko zaeef bnadeti hai woh saari zindage iseeh dour mein masroof rehta hai aur khuwahishaat ka dairaa din ba din wasih hota chala jata hai.. Insan jitna duniya dekhta hai uski khuwahishaat utni hi berhti chali jati hain aur iseh dour mein belakher achanak aek din mout se mulaqaat kerta hai.. yeh mout ki rukawat tamam tamanaoun ko jo insan k dil mein thi, bilakher apne sath kafan mein liyeh chala jata hai . jin chund khuwahishaat k hasool mein insan kamiyaab hojata hai woh bhi in mehnat k nateejah mein aek waqt per ukta hi jata hai inke hasool k baad bhi useh lagta hai k ab bhi kaheen kuch kami hai jinki wajah se khuwahishaat musalsal berhti rehti hain aur jab nakam hota hai toh nakami ko dekh ker mehnat kerne per amadah nhe ho pata yehi insan hai .. saari zindage maal o dolat ki khatir apni hayat ko sarf kerke jis cheez ko chaha akher mein uska dil uth gaya toh goya kia paya . ager insan rah e KHUDA mein in koseshon ko sarf kerta toh woh kabhi iski tamanaoun ko tootne na deta . akhirat ko mehfooz kerne k sath duniya bhi sawnar jati .. Frendz yehi aek nazuk lamha e fiker hai jo in tamam problems ka solution hai woh yeh k hum hamesah khud se barae ko dekhtae hain apne standards se uper hath berhane ki kosesh mein jurae rehtay hain jab yehi soch hoti hai toh shukr e KHUDA kis terhan se bajalaya jae. ager jo hamare pass neimatein hain unko compare kea jae k jinke pass nhe hai, ya jo inke ehl nhe hosake toh shuker ki manzil tak khud ba khud ja pohnchtey hain ager hamare pass ankhen hain toh nabina ko dekhen , shafeeq parents hain toh jinke nhe unhen dekhen aur jinke pass zindage hai woh mout se hamkinar hone waloun ko dekhen khud us paak zaat ka shuker adah kerengay.. jab uski attah ka andazah hoga makhlooq se wabestah umeedein khud ba khud khatum hojaengi.. yaqeen janiyeh k rah e KHUDA kuch mushkil nhe hai Momineenz just logics aur hamare benefit hai ismein ager uska PAK zaat ki siraat e MUSTAQEEM itna hi mushkil hoti toh 70 maaoun se zeadah muhabat kerne wala kabhi chalne ko na kehta hum sab kersektae hain.. duniya ki misal aesi hi hai k iske barae mein kaha jae toh ghalat na hoga k aesi duniya k liye baki reh ker kia faidah k jiske liye baki raha jae toh yeh nhe rahegi aur aur ager yeh baki reh jae toh hum nhe rahengae.. Abaad rahea Momineenz :)
Posted on: Fri, 07 Mar 2014 16:08:20 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015