ai aiman walo na mardo ko mardo per hansna chahiye kiya aajab hai - TopicsExpress



          

ai aiman walo na mardo ko mardo per hansna chahiye kiya aajab hai keh(jin per hanste hain)woh in(hansne walo)se(khuda ke nazdeek)behtar ho aur na auraton ko auraton per hansna chahiye kiya aajab hai keh woh un se behtar hon aur na aik dosre ko taanea do aur na aik dosre ko bure laqab se pukaro aiman lane ke baad gonah ka naam lagna hi bora hai aur jo in harkaton se baaz na awenge to woh zulam karne wale hain ai aiman walo bahot se gomano se bacha karo kiyonkeh baaze goman gonah hote hain aur saragh mat lagaya karo aur koyi kisi ki ghaibat bhi na kiya kare kiya tum main se koyi es baat ko pasand karta hai keh apne mare hoye bai ka gosht kaye es ko to tum nagawara samajhte ho aur khuda se darte raho...alhejrat11ta13_musulman to saab bai bai hain so apne do baion ke darmiyan sulah kara diya karo aur khuda se darte raho takeh tum per rahmat ki jai.alhejrat10_aur ham ne insan ko paida kiya hai aur us ke ji main jo khialat ate hain ham unko jante hain aur ham insan ke es qadar qareeb hain keh uski rag gardan se bhi zeyada.qaa16
Posted on: Thu, 29 Aug 2013 05:56:10 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015