aik ladka tha shyam.. wo lagbhag 18 sal ka tha aur 12 pass karke - TopicsExpress



          

aik ladka tha shyam.. wo lagbhag 18 sal ka tha aur 12 pass karke delhi mai padhne k liye apne dur k chacha k yaha gaya.. shyam padhne mai bahut hoshiyar tha hamesha avval aata tha uska admission delhi clg mai ho gaya aur wo apne dur k chacha k yah rahne laga uske chacha k yaha chacha chachi aur do bhai they jinme sai aik ka nam piyush aur dusre ka amit.. amit 23 sal ka aik gore rang ka thoda akdu sa ladka tha jabki piyush 25 sal ka sanwla rang liye lekin hansmukh aur har pal shyam ka sath dene wala ladka tha usi nai shyam k admission k liye clg ki bhagdaud ki thi.. shyam piyush ko pahle din sai pasand karne laga tha aur amit sai darne laga tha... jab amit shyam k samne aata tha to shyam ki hawa kharab ho jati thi wahi piyush k ane sai shyam k chehre par muskurahat aa jati thi.. piyush hamesha usko support karta tha ki wo apni padhai par dhyan de.. shyam ko na jane kab kab mai piyush sai pyar ho gaya usehar pal piyush k sath rahne ka man karta tha aur uske sath k liye wo usse padhai k bahane ya kisi problem ko suljhane k bahane dhundta rahta tha..... dheere dheere pal beette gaye uska pyar uska junoon banta ja raha tha wo us pal ka intezar kar raha tha ki kab wo apne dil ki bat piyush ko bataye...... aik bar shyam k chacha ki family ko banglore shadi mai jana tha lekin wo log sochne lage ki shyam ki padhai h aur wo use akele bhi nahi chhod sakte they kyunki wo apni padhai karega ya ghar mai rahega jab koi vikalp nahi bacha to piyush nai kaha ki ap sab chale jao mai yaha shyam k pas rukta hu..... sab ko piyush ki bat sahi lagi aur unhone piyush ko rukne ki izazat de di.. shyam k chacha chachi aur amit bhaiya chale gaye shyam to jaise isi mauke ko dhund raha tha wo andar hi andar bahut khus hua ki aj wo apne dil ki bat piyush bhaiya sai kahega.... us din to shyam kuch nahi kah paya lekin usne than liya ki wo agle din jarur kahega... agle din piyush nai shyam ko subah uske clg choda phir apne kam par chale gaye aur kuch dino k liye half chutti ka leave le liya aur dopahr ko aate huye shyam ko bhi le aaye aur khana khakar ghar aake so gaye shyam nai aj rat ka plan bana liya tha ki aj use sab kuch kahna h.... sham ko usne piyush sai kaha ki wo ghumne jana chahta h to piyush man gaya aur wo dono ghumne chale gaye....... ghumte huye shyam nai aik bhi mauka nahi choda jisme wo piyush ko touch kar sakta tha... ghum gham kar wo log rat hone sai pahle ghar a gaye aur khana order karke maga liya aur kha liya.... khana khakar wo log sone k liye bed par late halaki dono alag alag sote they par shyam nai bahana bana kar piyush k pas hi sone ki icha jahir ki jise akhir kar piyush ko manni padi aur wo piyush k bagal mai late gaya usne piyush sai bahut sari bate ki jisme piyush ki pasand na pasand k bare mai hi bat thi.... shyam piyush ko bahut chahta tha par wo kabhi bhi piyush sai apne pyar ka izhar nahi kar paya.. wo din bhi aise hi nikalte ja rahe they aur wo din bhi aa gaya jab uske chacha chachi wapis aa gaye.... udhar amit tharki aur jhagdalu type ka ladka tha aur sabse bat bat par jhagda karta tha wo har rat ko nasha karta tha aur der rat ko ghar aata tha jisse uske gharwale pareshan they.. par koi usse kuch kah nahi pata tha. amit aik no ka aiyash th use har roz bistar par koi na ki chahiye tha chahe wo ladki ho ya ladka use apni hawas mitani hoti thi...... uski gandi najar shyam par bhi thi aur wo aik aisa mauka dhund raha tha jab wo apni hawas mita sake... .. DARD BHARI DASTAN 2 amit apni gandi neeyat ki wajah sai aise mauke dhundne laga jab wo shyam ko akela paye aur apni hawas mita sake.. isi tarah din nikalte ja rahe they aur amit ki bekarari badhti ja rahi thi udhar shyam ki bekarari bhi badhti ja rahi thi ki wo kab piyush sai apne pyar ka izhar karega... isi tarah sab kuch chlta raha aur aik bar piyush ko kuch dino k liye office k kam sai bahar jana pada aur piyush k jane sai shyam nirash ho gaya kyunki use piyush ka sath bahut accha lagta tha... aik bar dopahar ko shyam apne clg sai wapas ghar aa raha tha sanyog wash amit bhi udhar sai ja raha tha shyam nai amit ko nahi dekha tha par amit nai jaise hi shyam ko dekha uski manmangi murad mil gayi ho jaise usne shyam k ekdum najdik jakar bike rok di aur ekdum sai chilla kar bola ki kaha ghum raha h amit ko dekhna tha ki shyam ki dar k mare halat kharab ho gayi aur hadbadate huye wo kuch bhi dhang sai nahi bol paya bas itna kaha ki ghar ja raha hu amit nai jor awaz mai kaha ki sare din ghumta rahta h chal mai ghar hi ja raha hu tjhe chhod dunga amit ko shyam na nahi kar paya aur chupchap uske peeche baith gaya jab amit shyam ko lekar wo chala to amit jan kar bar bar break laga deta jisse shyam ka sharir amit k sharir sai touch ho jata aur amit ki hawas bar bar bhadak jati usne tay kar liya ki aj chahe jo ho jaye wo shyam k sath apni hawas mita kar rahega... usne aik restaurent k bahar bike rok di sanyog wash us restaurent mai jyada bheed nahi thi usne bhukh lagne ka bahana banakar shyam ko bhi insist kiya ki wo restaurent mai chale shyam to waise bhi mana nahi kar pata tha amit sai darta jo tha.... wo restaurent mai sabse kone ki table par jake baithe jisse unhe koi disturb na kar sake, amit nai msg karke apne aik frnd ko bhi bula liya jo uske galat kamo mai uska sath deta tha aur usse nashe ki goliyan bhi mangwa likuch der mai uska dost bhi waha aa gaya unhone sabne milke khana khaya aur last mai colddrink bhi order ki usne shyam ko apni baton mai lagaya aur apne dost ko ishara karke shyam ki colddrink mai nashe ki goliyan dalne ko kaha jo amit k dot nai dal di aur bad mai teeno nai apni apni colddrink khatm ki uske bad teeno chal diye teeno aik bike par hi baith gaye they amit bike chala raha tha aur shyam ko beech mai bitha liya aur last mai amit ka dost baith gaya raste mai shyam ko chakkar aane lage kyunki goliyo nai apna asar shuru kar diya tha amit shyam ko apne dost k farm house par le gaya jo aik shant ilake mai tha jaha koi parinda tak par nahi mar sakta tha fa house pahunchte pahuncte shyam to behosh ho chuka tha.. farm house pahunch kar amit aur uska dost shyam ko pakad kar andar le gaye aur sabhi darwaje aur khidki acchi tarah sai chek kar li ki sab band h na unhone shyam ko sofe par bitha kar apna darubaji ka daur shuru karne lage amit nai sabse pahla kam ye kiya ki usne apne ghar phone karke ye kah diya ki shyam ka phone aaya tha ki uske colg mai koi projectwrk h jiske karan shyam ko der ho jayegi aane mai, uske bad unhone sharab jam kar pee ske bad un par shyam k badan ko kapdo sai alag kiya use aikdum nagn kar diya shyam sundar to tha hi sath hi uska sharir bhi bahut komal tha uske sharir par aik bhi royan tak nahi tha siway guptango ko chodkar kahi bhi kisi prakar ka koi nishan nahi tha wo dono shyam k nagn sharir ko dekhkar apna hosh kho baithe theyshyam k sath unhone barir bari sai apni hawas mitayi aur apni hawas mai wo ye tak bhul gaye ki wo kya kar rahe h unhone apni hawas ko shyam k sharir k sath na jane kitni der tak mitaya wo to bas shyam par cha gaye they aur usko apne neeche aik gulab k phul ki tarah raund dala masal dala............ .. DARD BHARI DASTAN 3 jab amit aur uske dost ki hawas ka tufan thama tab tak bahut der ho chuki thi shyam ko hosh aa chuka tha.... aur use apne ap par bahut ghin aa rahi thi use bahut dard bhi ho raha tha use ummeed bhi nahi thi ki amit uske sath aisa karega use amit sai itni nafrat ho gayi ki jitni sayad wo apne dushman sai bhi na karega... shyam ko hosh mai dekhkar aik pal ko to amit ko laga ki ab wo sabse kah dega aur buri tarah sai fans jayega lekin tabhi use jane kya sujha usne ulta shyam ko dara dhamka kar badnami ki dhamki dekar use chup rahne ko kaha aur use samjhaya ki use ghar par kya kahna h shyam bhi bechara kya karta usko amit ki bat manni padi lekin usne man hi man than liya ki wo kabhi bhi uski surat nahi dekhega.. usse chala nahi ja raha tha par wo phir bhi apna dard sah kar bhi chal aur road par aakar auto karke ghar gaya lekin wo is halat mai tha ki usse apna dard bardast k bahar tha jab wo ghar pahuncha to uski chachi ghar par ...thi shyam ko dekha to uski halat dekhkar pareshan ho gayi kyunki shyam sai chala nahi ja raha tha aur uski halat bhi kharab thi unhone shyam sai pucha ki kya bat h to shyam nai bat talte huye kaha ki uska aik chota sa accident ho gaya h accident ka nam sunke chaci thoda pareshan ho gayi aur use aaram karne ka kah kar uske liye haldi wala doodh le aayi aur use shyam ko pilaya uske bad shyam ko sahara dekar use uske room mai chodkar aayi aur use aaram karne ko kah k doctor ko bulaya doctor aaya to shyam ko unhone pain killer de di aur rest karne ki shakt hidayat de di... doctor chala gaya lekin shyam k man mai jo toofan chal raha tha wo kabhi nahi jane wala tha.....use apne ap sai bahut nafrat ho gayi thi wo sari rat so na saka udhar dusri taraf amit ko bhi apne kiye par pachtawa ho raha tha kyunki use ab tak jitno k sath hawas ka khel khela tha un sabme shyam k sath usne bahut galat kam kiya tha usne shyam sai kayi bar mafi mangni chahi par shyam amit ka chehra tak dekhna nahi chahta tha... kayi dino tak shyam ki halat aisi hi rahi aur dheere dheere uska dard jata raha par jo dard uske dil mai laga tha wo pal pal badhta gaya kuch dino mai piyush bhi wapis aa gaya aur jab use shyam k accident ka pata chala to usne shyam ko bade pyar sai samjhaya ki sab thik ho jayega par aj uske kuch kahne sai shyam k man par kuch khas fark nahi pada shyam sara din khoya khoysa rahta aur uske man kisi bhi kam mai nahi lagta tha piyush ko kuch ajeeb sa lagne laga wo pahle sai jyada hyam ka dhyan rakhne laga par uska kuch khas asar nahi pada usne than liya ki shyam ki pareshani wo dur karke rahega... .. DARD BHARI DASTAN 4 piyush nai shyam ki halat ko dekhkar andaja laga liya tha ki koi na koi bat jarur h jisse shyam ka behavier change ho gaya h wo pahle ki tarah bat nahi karta tha thik sai khata nahi tha clg ka wrk bhi sahi nahi karta tha... piyush nai man mai than liya tha ki wo shyamk chehre par muskurahat lake rahega piyush jyada sai jyada samay shyam ko dene laga uske sath bate karna uske sath games khela use jokes sunana use ghumane le jana, dheere dheere shyam ki hansi lautne lagi kyunki uska pyar uske sath kafi samay jo bitata tha par kahi na kahi aik tees jo man mai hamesha k liye ghar kar gayi thi kyunki din mai aik bar to shyam ko us jallad ka chehra dikh hi jata tha aur uske dard phir badh jata tha.... par wo kisi ko apna dard jahir na hone deta tha... kuch dino k bad piyush ko office wrk sai bahar jana pada par wo is bar shyam ko apne sath le gaya, piyush nai apne kam k sath sath ye bhi dhyan rakha ki kisi bhi tarah sai shyam ko koi taklif na ho usne waha shyam ko kisi bhi cheez ki kami mahsus nahi hone di har pal use apne sath rakha usne aik rat usse akhir puch liya ki shyam akhir bat kya h jab sai tumhara accident hua h tab sai tum bahut change ho gaye ho pahle ki tarah bilkul bhi nahi ho akhir bat kya h shyam mjhe batao mai sayad tumhari koi madad kar du, mjhe itna to pata h jarur koi na koi bat jarur h jo tumhe man hi man khaye ja rahi h shyam kya apne bhai ko nhai bataoge.. aik pal ko shyam ko laga ki wo abhi sab kuch apne pyare piyush bhaiya sai sab kuch kahde phir aik pal ko badnami k dar k karan chehre par banawati hansi banate huye bola nahi to bhaiya aisi koi bat nahi h apko koi galatfahmi huyi h agar aisa kuch hota to kya mai apko nahi batata..... piyush k bar bar puchne par jab shyam kuch nahi bola to akhir mai piyush nai achanak hi shyam ka hath pakad k use apne seene sai laga liya aur uske mathe ko chumte huye bade pyar sai uski ankho mai ankhe dalke bola-shyam dekho plz mjhe jo bhi bat h wo bata do mai tumhe is kadar dukhi nahi dekh sakta hu kyunki tum nahi jante ki mai tumhe kitna.... ye kahte huye achanak piyush ruk gaya aur bat palatte huye bola ki shyam plz jab tak mai zinda hu tumhe kisi bhi tarah ka koi dukh nahi hone dunga par plz mjhe batao ki aisa kaun sa dukh h jo tum apne andar samete huye ho mai tumhe is kadar dukhi nahi dekh sakta hu plz agar mjhe kuch bhi mante ho to mjhe batao..... sham piyush ki bate sunkar bhauchakka sa use dkhta raha uske aankho sai aansu bahne lage they aur na jane wo kaun si sammohan shakti thi ki wo apne pyar apne piyush bhai k gale sai lipat kar apne ap ko rok nahi paya aur apne dard ki dastan apne piyush bhai ko suna di....... piyush ye sab sun k thaga sa rah gaya aur phir sambhal kar bola is amit ko mai nahi chorunga use uske kiye ki saza milke rahegi lekin tabhi shyam nai kaha ki nahi bhaiya ap aisa kuch bhi nahi karenge kyunki isse hume pachtawe k siwa kuch nahi milega par piyush nahi mana lekin shyam nai use apni kasam dekar chup kara diya..... khair piyush ko to chup kara diya shyam nai par uske man mai aik bat rah gayi ki akhir aisi kaun si bat piyush bhaiya kahte kahte ruk gaye aur unhone bat palat di...... .. DARD BHARI DASTAN 5 yahi sochte huye ki piyush bhaiya kya kahte huye ruk gaye aur bat ko palat diya shyam nai ekdum sai piyush bhaiya sai sawal kar diya ki bhaiya maine to apko apna dard bata diya par ap mjhse aik bat kahte kahte ruk gaye they wo kya bat h shyam k is sawal sai piyush ekdum jhenp sa gaya usne bat ko talna chaha ki kuch nahi shyam wo to tumhari fikar ho rahi thi bas aur kuch nahi par wo shyam ko apne jawab sai santust nahi kar paya aur shyam nai apne pyar ka izhar karne k liye piyush sai kaha ki bhaiya ap mjhe kuch kahe ya na kahe par mjhe apse kuch kahna h kuch aisa jise sunkar sayad apko pata nahi ajeeb lage par wo sach h par phir bhi mai wo bat apse kahna chahta hu aur ye bat kahne k liye mai kabse wait kar raha tha par samay nai mera muh band kar diya tha aur aj mai apse apne dil ki bat kahna chahta hu piyush uski bat sunkar kuch kahna chah raha tha par shyam nai uske muh par hath rakh ke use chup rahne ko bola aur kahne laga ki aj ap tab tak kuch mat bolna jab tak mai na bol du bade dino sai intzar tha is din ka aur aj mai ye kahke rahunga sayad apko ajeeb lage par mjhe apse pyar ho gaya h ye kab hua mai khud nahi janta par mjhe apse pyar ho gaya h mai kabse apse apne pyar ka izhar karne ko mare ja raha tha par sayad bhagwan ko bhi ye majur nahi tha par aj mai apse kahta hu ki mjhe apse pyar h apko sayad bura lag raha ho par jab ap sath hote ho to mai apne apko akela mahsus nahi karta.. maine apna ye tan man kabka apko saunp diya h apne man mai par mjhe amit bhaiya nai apke layak nahi choda h mai nahi janta hu ki ap mjhe mere is dard k sath apnayenge ya nahi par mai apka hu aur ap chahe to mjhe apnaye aur na chahe to mat apnaye par apna ye dosti ka rishta kabhi bhi mjhse mat todiyega mai apse dur hoke nahi rah paunga..... agar ap mjhe apnayenge to ye meri khusnasibi hogi..... itna kahke usne piyush bhaiya sai kaha ki ab ap bol sakte h... piyush nai shyam ki bat sunke bola shyam tum janna chahte they na ki mai kya kahte kahte ruk gaya gaya tha wo yahi tha ki mai tumse bahut bahut pyar karta hu tum jis din sai humare ghar aye they us din sai tum mere dil ko bha gaye they mjhe tumse pyar kab kab mai ho gaya ye mai khud bhi nahi janta aur kisne kaha ki m tumhe nahi apnaunga kya amit nai jo kiya wo tumhari galti thi nahi shyam usne jo kiya usme tumhari koi galti nahi h balki sari galti uski hi h mai tumhe tumhare sare dardo k sath apnana chahta hu aur hamesha mai tumhare sath rahna chahta hu mai tumhe apne sai dur nahi hone dunga shyam mai tumse bahut pyar karta hu kya tum mere life partner banna pasand karoge aur ye kabhi mat sochna ki tum ande ho gaye ho ganda to amit h tum hamesha mere liye pavitra rahoge aur humara ye rista bhi pavitra rahega.... shyam ki annkho sai ye sab sunke khushi k aansu jhalak pade jinhe piyush nai apne hoton sai peete huye kaha ki shyam ab tumhe mere hote huye rone ki jarurat nahi h mai tumhari aankhon mai ansu nahi dekhna chahta hu..... itna sunte hi shyam nai piyush ko gale sai laga liya aur dono aik aise jaha mai pahunch gaye jaha wo do jism sai aik jan banke hi wapas aaye unke pyar ka gawah wo chand bhi tha jo khidki sai dikhayi de raha tha.... shyam ko apna pyar mil gaya tha aur wo apne pyar ko khona nahi chahta tha.... jitne din ka piyush ka kam tha uske alawa bhi piyush kuch din aur wahi raha aur apne shyam ko apne pyar k aagosh mai chipaye rakha ..... .. DARD BHARI DASTAN 6 shyam k sath pyar k palo ko jeete huye kab unhe ghar sai dur huye bees din ho gaye unhe pata tak nahi chala gharwalo k roz phone ane lage ki shyam ka clg miss ho raha h akhir unhe man mar kar aana pada waise unka bas chalta to wo kabhi wapas ate hi nahi... khair unke wapis aane k bad wahi amit ka chehra shyam ko aur piyush ko dikh jata tha lekin dono usse kuch nahi kah sakte they shyam to pata hi h ki kyu kuch nahi kah raha tha par piyush ko shyam nai kasam deka bandh diya tha..... halaki amit nai bahut koshish ki ki apni galti( galti nahi gunah ) ki mafi mange shyam sai par shyam to usse bat tak karna pasand nahi karta tha.... khair din nikalte gaye aik din shyam jab apne clg sai laut raha tha to uska accident ho gaya tha aur use bahut chote ayi jiske bad as pas k logo nai police ki madad sai use hospital mai admit karwaya aur clg sai uske cntact lekar uske chacha k yaha khabar kar di ki uska accident ho gaya h sanyog sai is bar piyush delhi mai nahi tha to hospital k liye amit ko jana pada amit to kab sai chah hi raha tha ki use uska prayaschit karne ka mauka mile par wo ye nahi chahta tha ki is tarah par bhagwan jo chahte h uske age kiski chali h... amit hospital gaya tab tak shyam ka treetment chal raha tha jab treetment khatm hua uske bad doctor nai kaha ki sab thik h bas kuch din hospital mai rahna padega... amit nai hospital ki sari formality puri ki fees dawaiyan wagairah... shyam behosh tha use ward mai shift kar diya gaya amit sare time uske pas hi raha udhar dusri taraf uske chacha chachi pareshan they unko amit nai phone karke kah diya ki sab thik h aur kuch din hospital mai rahna padega aur shyam k khane k liye bhi kah diya ki bana k rakhe wo ake le jayega aur ye bhi kah diya ki piyush ko kuch na bataye varna wo pareshan ho jayega... amit ghar aake shyam k liye khana leke pahuncha jab tak shyam ko hosh aa chuka tha aur jaise hi usne amit ko dekha uska dimag kharab ho gaya aur usne amit ko chale jane ko kah diya lekin amit nai uski aik na suni aur shyam sai amit bola ki shyam tum chahe mjhe jo saja dena chaho mjhe de sakte ho maine jo gunah kiya h wo mafi k kabil to nahi h par phir bhi mai tumse mafi magta hu mai nahi janta ki tum mjhe maf karoge ya nahi par jab sai mai tumhari nafrat jhel raha hu tab sai mjhe ye ehsas ho gaya h ki maine jo kiya wo galat tha aur mjhe us din sai tumhari fikra hone lagi aur us din sai sirf tumhare bare mai sochne laga mai nahi janta ki tum jab ye janoge ki mjhe kab kab mai tumse pyar ho gaya h tum kya react karoge par ye sch h ki mai tumse pyar karne laga hu aur aur tumhe apna banake apni galti ka prayaschit karna chahta hu mjhe tumhari sewa karne ka mauka de do jisse mera pap kuch kam ho sake shyam tum nahi jante ki mai glani ki kis agni mai jal raha hu tmhara bharosha tod k aik pal ko bhi chain nahi mila h aur mai tumhe wo sari khusiyan dena chahta hu jo meri wajah sai tum kahi kho chuke they use kya pata ki shyam ko uska piyush mil gaya h to sari khusiyan o mil gayi h, shyam nai kuch na kaha aur chupchap amit ki bate sunkar use bhi ye ehsas hua ki amit jitna bura dikhta h utna h nahi kahir shyam nai kaha ki amit bhaiya dekhiye apne jo kiya use bhula pana mere liye asan to nahi hoga par apki bat sunke mjhe lag raha h ki apko aik mauka milna chahiye ki jisse ap apni galti ko kam sake ye sab sunke amit ki ankhon mai chamak aa gayi aur wo shyam sai thanks bolke uski sewa mai lag gaya amit roz uske liye khana lata uske pas rahta use subah taiyar karta use koi cheez chahiye hoti to wo lata uske liye isi tarah din beet gaye aur shyam ko hospital sai ghar ki chutti mil gayi ghar aake bhi amit din rat uski sewa mai laga raha... kuch din mai piyush wapis aaya aur jab use pata laga shyam k accident k bare mai wo turant shyam k kamre mai aaya jab wo kamre mai aya to wo dekhta h ki amit shyam ko khana khila raha h piyush ko ye dekhkar bahut gussa aya par wo chup raha khana khilake amit chala gaya aur phir piyush nai shyam ko danta ki ye sabkya h to shyam nai bade pyar sai piyush sai kaha ki amit bhaiya ko unke kiye ka bahut afsos h aur wo sach mai bahut guilty feel kar rahe h aur unhone meri bahit sewa bhi ki h wo sach mai apne kiye par bahut sharminda h maine to unhe maf karne ka soch liya h aur plz meri khatir ap bhi unhe maf kar dijiye bhul jaiye ki kabhi kuch hua h aur mai chahta hu ki hum sab pyar sai rahe ...... ye sunkar piyush nai shyam ko gale laga liya aur bola ki mera shyam kitna samjhdar ho gaya h agar mere shyam ko ye sahi lagta h to yahi sahi aur itna kah ke usne shyam ka matha chum liya aur use sone ka kahke chala gaya next day shyam nai amit ko bulake usse bade pyara sai kaha ki amit bhaiya apne jo kiya so kiya par ab age sai mjhe apse koi shikayat nahi h ur ap bhul jaiye ki kabhi kuch kiya tha apne aur mai bhi bhul jaunga aur aik bat apne jo mjkhe apnane ki bat kahi thi jo kabhi mumkin nahi h kyunki mai kisi aur sai pyar karta hu aur wo bhi mjhe bahut pyar karte h mai apka shukrgujar hamesha rahunga ki apne mjhe mere pyar sai mila diya agar ap mere sath wo na karte to sayad mai kabhi bhi unko na pata aur agar ap mjhe kuch dena chahte h to ap bas apne ap ko family k prati samarpit karde ar kabhi bhi koi galat kam na kare amit nai shyam ki bat man li aur wo bilkul badal chuka tha aur udhar dusri taraf shyam aur piyush apne pyar ka sundar gharonda banke khushi khusi rahne lage aur din b din unka pyar parwan chadta raha............
Posted on: Fri, 19 Jul 2013 06:15:25 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015