aj kal musalmano me aapas me jang\ jhagara lagane ki saazish chal - TopicsExpress



          

aj kal musalmano me aapas me jang\ jhagara lagane ki saazish chal rahi hai.... poori dunya me har sheher me musalman dusre musalman ko kaafir bol raha hai... akalmand wohi hai k agar jo is bath ko samjhe.. or musalman aapas me mohobbat kare.. mae sunni hu.... mae shiya huu... mae hanafi... ARRE NADAAN MUSALMAAN TUJE KYA HO GAYA HAI ???? TU MUSALMAAN HAI... JAB QABR ME UTARA JAEGA TO FARISHTE POOCHENGE K TERA DEEN KYA HAI ?? JAWAB HOGA DEEN E ISLAM SUNNI,SHIYA,HANAFI, ETC NAHI.. MUSALMAAN KO AAPAS ME MOHOBBAT KARNA CHAIYE.. GROUP BANAKE ALAG ALAG NA HONA CHAIYE.. JO EESA KARTE HAI WO ISLAAM K DUSHMAN HAI... MUSALMAAN K DUSHMAN HAI.. AGAR KOI MUSLIM BHAI GALAT KAAM KAR RAHA HAI TO USSE SAMJHANA CHAIYE. MUSALMAAN AAPAS ME BHAI BHAI HAI... NAAKE USSE GHAGRA KARNA OR YE KEHNA K SUNNI BURE HAI,, SHIYA BURE HAI..JAMATI BUTE HAI... ZARA GORR KARE IS BATH PE>>> Huzoor s.a.w jub Gair muslim badshaho ko islam ki dawat dene k liye khutoot likhwate the, to un khutoot me surah al-imran ki 64 wi Aayat bhi shamil karwate the: “aye nabi! Kaho ahle kitab Aao aisi baat ki taraf jo hamare aur tumhare darmiyan yaksa hai, ye k hum Allah k siwa kisi ki bandagi na kare, us k sath kisi ko shareek na tehraye aur hum me se koi Allah k siwa kisi ko apna rub na bana le, is dawat ko qabool karne se agar wo muh mode to saf keh do k gawah raho hum to muslim (sirf khuda ki bandagi wo ita’at karne wale) hai”. Baaz log (firqo ki) daleel me Huzoor s.a.w ki aik hadees paish karte hai jo sanan abudawood me (hadees no 4879) riwayat ki gai hai, is hadees me huzoor s.a.w se ye irshad riwayat kya gaya hai: “meri ummat tiryatter (73) firqo me taqseem ho jaye gi”.. Is Hadees se wazeh hota hai k Rasool s.a.w ne musalmano me 73 Firqe banne ki paish goi farmadi thi, lekin Huzoor s.a.w ne har giz ye nahi farmaya k Musalmano ko firqo me batne k liye sargarm hojana chahiye, Quran pak hame hukum deta hai k hum firqo me taqseem na hon, wo log jo Quran pak aur mustanad Ahadees ki talimat per aml paira ho aur firqe na banaye, wahi log sahi raste per hai. Tirmizi shareef me marwi hai (171) hadees me Huzoor s.a.w ka qoul marwi hai: “meri ummat 73 friqo me taqseem ho jaye gi aur wo sub k sub jahannm ki aag me jalenge, siwaye aik firqe k”, Sahaba ekram (Raziallah tala alaihim ajmaeen) ne is per Rasool s.a.w se sawal kiya k wo koun sa guruh hoga (jo jannat me jayega) to Aap s.a.w ne jawab diya “sirf wo jo meri aur mere Ashab ki itte’ba karega”. Quran pak ki muta’addad Aayat me “Allah ki, aur Allah k Rasool ki itte’ab karo” ka hukum diya gaya hai, lehaza aik sacche musalman ko sirf Quran pak aur mustanad Ahadees hi ki pairwi (itte’ba) karni chahiye. Wo kisi aalim k noqte nazar se ittefaq bhi rakh sakta hai, jub tak k wo Quran aur Ahadees (Mustana Ahadees) ki Talimat se mutabiqat me rahe, agr (us aalim k) ye Khayalat (noqta nazar) Allah Tala k ehkamat aur Rasool s.a.w ki sunnat k khilaf ho to un me koi wazan nahi, chahe unhe kitne hi bade aur Jayyad Aalim ne kyu na paish kiya ho. Agr Tamam Musalman Quran pak ka mutala samajh ker hi karlen aur Mustanad Ahadees ki itte’ba kare to Inshaallah Tala ye tmama Ekhtelafat hal hojayenge, aur hum aik bar phir Sahi mano me Aik muttahida Ummate Muslima ban jayenge
Posted on: Wed, 20 Nov 2013 08:34:38 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015