bismillahhirahnirraheem Bade Afsos ki baat hai ummat e muslima ki - TopicsExpress



          

bismillahhirahnirraheem Bade Afsos ki baat hai ummat e muslima ki aksariyat Allah ke duhsmanoo ki naqali mai Gulami ki haad ko bhi phalangti ja rahi hai . hamari naujawan nasal , har chees ko yahudioo aur kaferoo jaisi banane mai faqar mehsoso karti hai . allah farmate hai 60.01 Aey woh logo jo eman laye ho! Meray aur (khud) apney dushmanon ko apna dost na banao tum to dosti say unn ki taraf payghaam bhejtay ho aur woh iss haq kay sath jo tumharay pass aa chuka hai kufur kertay hain payghumbar ko aur khud tumhen bhi mehaz iss waja say jila watan kertay hain kay tum apney rab per eman rakhtay ho agar tum meri raah mein jihad kay liye aur meri raza mandi ki talab mein nikaltay ho ( to inn say dostiyan na kero) tum inn kay pass mohabbat ka paygham posheeda posheeda bhejtay ho aur mujhay khoob maloom hai jo tum ney chupaya aur woh bhi jo tum ney zahir kiya tum mein say jo bhi iss kaam ko keray ga woh yaqeenan raah-e-raast say behak jaye ga. lekin hara rad e amal Ibadat , Addat , Mamlat , siyasat , hukumat ,Maishiyat , Maushirat , Saqafat , Sirat , Sorat ,Iqtesad , Thezib , tamadun ,rahen sahen , chal chalan , Soch , fikar , libas , Hajamat , Shadi , gham ,Gharo ki tazain wo arayesh , har chees mai Musalman aur gair muslim ka immtiyaz mit chukka hai . Hamari naujawan nasal yahudioo aur hindoo se mutasir hoti hai in ke idea yahudi , isai , hindo hai , inhe dahi aur pardhe se nafrat , inhe Obama aur Adwani Jaise logo ke chare pasand hai , na ke Allah ke Rasool (s.a.w.s.) aur sahaba karam jaise. agar koi banda buniyad parast musalman hai tu ise atankwadi ki nigha se dekha jata hai ,pata nahi kiya hogaya hai in ke aqaloo ko . Aye musalman zara soch tu in cheeso mai faqr mehsos karta hai ladkioo se ishq bazi mai , ceenimaoo ke bahr line lagane mai , cluboo mai nachne mai, headphone dal ke gane sone mai ,rastoo pe raat 2 baje tak baithne mai . Allah be deen musalman naujawanoo ko hidayat de ameeeen ya rab
Posted on: Thu, 25 Jul 2013 07:31:33 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015