chahta hu woh jo milta nahin, mila hai woh jisse kabhi chaha - TopicsExpress



          

chahta hu woh jo milta nahin, mila hai woh jisse kabhi chaha nahi. lagta hai iss jahan me koi apna nahi, samjhau kya usse jo samjhta nahi. door hokar bhi mujhse door jata nahi, yaad kya dilau usse jisse kuch yaad aata nahi. uske bina iss dil ko koi bhata nahi, kaise pyar kar paunga usse jise kabhi chaha nahi. iss jahan me manjil k bina koi b nahi, fir b kyu lagta hai apne pas koi manjil hi nahi. ja raha hu zindagi ke safar me kaha pahuchunga pata nahi, piche mud k dekhta hu to apne piche koi b nahi. lagta hai kia hai gunaah maine kahi na kahin, par gunaah k bina is dunia me to khuda b nahi. sochta hu laut jaunga apne watan kbhi na kbhi, par roj wo train chut jati h aur mai rh jata hu yhi k yhi. dil me dard kai h pr bhula nhi muskurana kbhi, jis din baya karunga us din ro dnge sbhi k sbhi. jee krta hai de du jan nhi jina abhi, lekn yad aa jati hai us maa ki jo roj puchti hai beta lautega na kbhi. Shubham
Posted on: Sun, 08 Sep 2013 11:20:45 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015