dunya aur khusosan hamaray mulk mai pai janay wali jahalat, la - TopicsExpress



          

dunya aur khusosan hamaray mulk mai pai janay wali jahalat, la ilmi bunyad parasti aur roshan khyali ilm sey mhbt aur haq k liey dat janay ka naam Malala hai Malala koi pehli shakhsiyat bhi nahi jis pe iss tarah mughlizat baki jarhi hain fakhar undlus Ibn Rushd nay jab apnay afkar ka izhar kya tu usay iss say bhi ziada ilzamat aur fatwo ka samna karna para tha uss waqt k kuch mullo nay Ibn Rushd ko yahodio ka agent qarar dya aur kuch nay yahodi hi qarar day dya phir usya (2nd class citizen) yahodio ki basti mai qaid kar dya gya aur fatwa jari hua k jo shakhs Ibn Rushd say milay ga usko bhi yahodi samjha jai ga aur uskay sath bhi yahodio (2nd class citizen)wala sulook hoga. British India mai jab Sir Syed Ahmed khan nay aik aisa school qayam kia jahan jadid taleem aur angraizi zaban parhai jati thi tu Sir syed ko bhi aisay hi ilzamt ka smna karna para kuch mullo nay india k iss qabil fakhar muslim sapoot ko angraizo ka agent qarar dya tu kuch nay kristan aur phir unkay muashrati bycott ki appeal sath fatwa jari hua k Sir syed kristan hogya hai aur jo bhi uskay school mai talim hasil karay ga ya angraizi talim hasil karay ga wo bhi kristan ho jai ga magar phir hua kya na Ibn Rushd k afkar ko dabaya ja saka na sir Syed ki jalai hui ilm ki shama ko bujhaya ja ska aur aaj log unn mullo k naam pe thoktay hain jinho nay aisi fatwa bazi ki thi, aaj Malala ko jitni chahoo galiyan do ilzamat lagao fatwa jari karo magar yaad rakhna kal aisay tamam log apnay peshroo mullo ki tarah tareekh hatho zalil o ruswa zaroor hongay
Posted on: Tue, 15 Oct 2013 06:09:32 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015