ik intazaar saa thaa ab nazar me vo bhii nahii safar me marne kii - TopicsExpress



          

ik intazaar saa thaa ab nazar me vo bhii nahii safar me marne kii fursat thii ghar me vo bhii nahii. zaraa malaal ki zulmat ko Taalane ke liye kayii Khayaal the ab to asar me vo bhii nahii. [malaal = sorrow/anguish; zulmat = darkness; asar = effect] jo sang-o-Khaar the merii hii gardishon tak the main rah-guzar me nahii rah-guzar me vo bhii nahii. the chashm-e-baam nazar me ajab tuluu ke rang vo ik nishaat-e-sahar thaa sahar me vo bhii nahii. [tuluu = dawn; nishaat-e-subah = happiness of dawn] rahe na kuchh bhii magar ye kaif kyaa kam hai jis aagahii kii kamii thii hunar me vo bhii nahi.
Posted on: Tue, 24 Sep 2013 17:31:25 +0000

Trending Topics



ng and i
Bajnai háta mögött robbantott az Együtt-stáb Szerző:
MUTINY IN THE RANKS "U.S. President Barack Obama apparently had
Breed Specific Legislation ( BSL ) is often a knee-jerk reaction
We proudly announce ESSENTIAL LUXURIES FOR CANCER online store, a
style="min-height:30px;">
COMENTARIU MECI -prima repriza- Oare ce mai poti spune cand

Recently Viewed Topics




© 2015