jab bacha is dunya main kadam rakhta hai to usky maa baap kitny - TopicsExpress



          

jab bacha is dunya main kadam rakhta hai to usky maa baap kitny khush hoty hai uska khayal rakhty hai,usko apni hasiyat k mutabiq tamam cheezien farham krty hain,uski parhai,khilony sab cheez behtreen dany ki kohish krty hain,uski parwarish krty krty apne burrhapy main pounhach jaty hain,usko ek kabil namona bana dety hain,to dosri taraf. . .. ...bacha kehta,girta,parhta hai,apna bachpana guzaar deta hain is baat se anjaan ho kr k us k ird gird kiya ho raha hai,mehnat krta kuch kr dikhany k liye aur hamesha apny maa baap ka sarr unchaan krne k liye arri chotti ka zorr laga deta hai,apny dost se milta baat krta hasi mazak krta,ek dosre se apni baaten share krta hai,apny zindagi k mushkil aur kathin halaat sy guzarta hai,paper ki tension,result ki tension aur is jsy kai halaat,sab usky maa baap,dost,janny wale,rishty darr sab bohat usse khush hoty hain,chunacha wo ek karyal,kabil nojawan ban jata hai,apny ghar k wahid kafeel hota hai,.............phir ek din wo apny mamool k mutabiq apny ghar sy nikalta hai kuch dor hi jata hai k ek dan danati hoi goli usky seeny main ched krti hoi usse parr ho jati hai,log uski mout ka tamasha dekhty hain koi bachany nahi ata koi bolta nahi is zulm k khilaf k kahin unko na sula diya jaye,aur phir wo log bhol jaty hain ek kissa samajh kr...............ek hasta khelta ghar tabah ho jata hai bina kissi waja aur kuch logon ki na ahli ki waja sy,itny salon ki mehnat sirf ek goli sy khatam ho jati hai............ye hai dastan mera sheher Karachi ki..aur usky soye hoye logon ki aur meri...........han main hon karachi ka wasi aur ye hai meri kahani..........................
Posted on: Tue, 03 Sep 2013 10:15:57 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015