mai aapko meri love story batana chahata hu .. Mai aaj se 3 sal - TopicsExpress



          

mai aapko meri love story batana chahata hu .. Mai aaj se 3 sal pahale 11th class me tha. Jab mai ek ladki se love karne laga. Uska name punam tha Wo bhi mujhe pasand karti thi. Mere taraf dekhti thi aur smile karti thi. Ek din mai school se bahar nikla to wo gate par akeli thi. To maine use h!! bola to usne bhi h!! bola. Maine usse kaha ki mai aapse bahot pyaar karta hu mai aapke bagair jee nahi sakta to usne kaha ki mai kal aapko jawab dungi.mai kal jaldi se school pahuch gaya . To maine kaha aapka jawab kya hai to usne kaha mai bhi aapse bahot pyaar karti hu . Ye sunkar mai bahut khush hua. Phir hum ek dusre se har time bat karte the mai bahut happy tha mai uske liye jaan tak dene ke liye tayar tha. Mai use har time call karta tha aur wo bhi mujhe har time call ya msg karti thi. Phir 1 sal tak hamara love thik se chalta raha. Phir kuch dino bad hamara milna band ho gaya aur usne uska no. Change kar diya aur galti se mere bhi no. Change ho gaya. Phir uske bad hamara contact cut ho gaya. magar mai usse hi pyaar karta tha. Aur utna hi pyaar karta tha jitna pahale karta tha. But maine ye nahi socha ki wo mere bare me galat soch rahi hogi. Phir ek din maine uski friend se uska no. Liya aur use call kiya to uske bat karne ka andaj hi change ho gaya. Usne kaha ki itne din meri yaad nahi aayi kya ab mai tumse pyaar nahi karti kyoki tumhari zindagi me koi aur aa gayi hogi aaj ke bad mujhe call mat karna aur milne ki koshish bhi mat karna. Maine use samjane ki bahut koshish ki but wo nahi mani. Us din se maine hasna hi chod diya maine use bahut call kiye par usne recieve nahi kiya maine msg kiye to bhi reply nahi kiya mai uski yaad me har din marta raha par usne mujhase nata hi tod diya phir usne mujhe minimum 11month ke bed call kiya to phir maine kaha ki punam mai aaj bhi tujhe utna hi pyaar karta hu jitna pahle karta tha to usne bola ki mai tujhe ab only frd manti hu isse jyada kuch nahi to maine usse pucha ki tu kisi aur se pyaar karti hai kya to usne bola ki wo kisise se pyaar nahi karti. Aur call cut kar diya phir mai usi se pyaar karta tha bcoz mujhe mere pyaar par bharosa tha ke ek na ek din to mera pyaar mujhe milega yahi soch kar jee raha tha lekin ek din mujhe pata chala ke wo kisi aur se pyaar karti hai to naine use bahut call kiya tab usne call uthaya to maine usse pucha ke tu kisse pyaar karti hai to usne kaha ha mai usse pyar karti hu to maine bola punam meri kya galti hai to usne kaha ke tum bhi kisi aur se pyaar kar lo kyoki mai ab tumse pyaar nahi karti aur usne call cut kar diya. Ab mai uski yaad me hi jee raha tha aur use bhulne ki koshish kar raha tha par mujhe ye nahi pata tha ke wo phir se mujhe mere past me le ke jayegi. 1st january 2013 ko usne mujhe call kiya aur wish kiya HAPPY NEW YAER MAINE BHI USE WISH KAR DIYA aur bola mai aaj bhi tujhse pyaar karta hu par usne kaha mai tumse pyaar nahi karti mai kisi aur se pyaar karti hu. To maine usse pucha ki itna to bata de ki maine aisi konsi galti ki thi jiski tune mujhe itni badi saja di. Par usne meri bat nahi suni aur call kat diya,dosto aaj bhi mujhe mere sawalo ka jawab nahi mila ki meri kya galti thi bhagwan ne mere hi sath aisa kyo kiya mujhe mera pyaar kyo nahi mila aaj bhi yahi soch kar rota hu ki meri kya galti hai… plz dosto aap hi batao mai kya karu itni himmat bhi nahi hai ke mar jau.......... Jul 29, 2013 So sad Good morning
Posted on: Sat, 15 Mar 2014 04:06:33 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015