makaan--- Kaifi Azmi aaj kii raat bahut garm havaa chalatii hai - TopicsExpress



          

makaan--- Kaifi Azmi aaj kii raat bahut garm havaa chalatii hai aaj kii raat na fut-paath pe niind aa_egii sab uTho, mai.n bii uThuu.N, tum bhii uTho, tum bhii uTho ko_ii khi.Dakii isii diivaar me.n khul jaa_egii ye zamiin tab bhii nigal lene pe aamaadaa thii paa.Nv jab TuuTii shaaKho.n se utaare ham ne in makaano.n ko Khabar hai na makiino.n ko Khabar un dino.n kii jo gufaao.n me.n guzaare ham ne [nigalanaa=to swallow; aamaadaa=prepared/ready] [makiin=resident; gufaa=cave] haath Dhalate gaye saa.Nche me.n to thakate kaise naqsh ke baad naye naqsh nikhaare ham ne kii ye diivaar buland, aur buland, aur buland baam-o-dar aur zaraa, aur sa.Nvaare ham ne [buland=high/lofty; baam=terrace/roof; dar=door] aa.Ndhiyaa.N to.D liyaa karatii thii.n shamo.n kii lau_e.n ja.D diye is liye bijalii ke sitaare ham ne ban gayaa qasr to pahare pe ko_ii baiTh gayaa so rahe Khaak pe ham shorish-e-taamiir liye [lau=flame; qasr=mansion; paharaa=guard] [Khaak=dust/earth; shorish=chaos/tumult; taamiir=construction] apanii nas-nas me.n liye mehanat-e-paiham kii thakan band aa.Nkho.n me.n isii qasr kii tasviir liye din phighalataa hai isii tarah saro.n par ab tak raat aa.Nkho.n me.n KhaTakatii hai syaah tiir liye [mehanat-e-paiham=continuous work/effort] [thakan=fatigue; syaah=dark/black] aaj kii raat bahut garm havaa chalatii hai aaj kii raat na fut-paath pe niind aayegii sab uTho mai.n bii uThuu.N tum bhii uTho tum bhii uTho ko_ii khi.Dakii isii diivaar me.n khul jaayegii
Posted on: Sun, 01 Sep 2013 13:44:26 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015