mola hamain koe abu bakar jaisa dai day...koe hamain umar jaisa - TopicsExpress



          

mola hamain koe abu bakar jaisa dai day...koe hamain umar jaisa daiday jo aaj kay zulm aur sitam ko dafan kerday ...umer tou kuttay kay piyasay mar janay per bhi aanson bhahata tha ...ALLAH nay hamain kin kay hawalay kerdiya jo hamaray masoom bachon kay traptay lashay daikh ker muskuratay hain ...yar hum tou es qabil nahi kay umar jaisa hamain milay magar maira ALLAH es qabil hai jo hamain umer jaisa daide jo aaj kay zulm aur sitam ko dafan kerday ...waqaee hamaray amal es qabil nahi kay hum ussay es terhan kay sawal karain magar uski rehmat es qabil hai kay ....itni badi ataat se hamari jholi bhar de...yar hum 65 baras se en zalimon kay hathoon khilona banay huway hain ...har aanay wali sham gehri tareek aae..yar har aanay wala din pahlay se siyah aaya yar har utnay wali aandhi pehlay taiz thi ...har uthnay wali moj pehlay se ziyada khon khwar aur toofani thi ...hum gareeb aur kamzoor log en zalimon kay hathon khilona bantay rahay ...yar enhonay hamaray bachoon kay mou se niwaly cheen kar apnay dasterkhawanon ko sajaya ...hamari maaon bahnon kay sar se dupattay utar ker apnay gharoon ko perdon se sajay...hum logon kay gharoon per bildozar phair kar ishrat kaday tameer karay ...yar hamari zaroorton ka khoon kerkay enhonay bud kday tameer karay......tou nay tou har zamanay kay firoonon ko pakra aay ALLAH hamray firoonon ko bhi pakar lay ...yar en ko buhat lambi muhlat de digaee hai
Posted on: Fri, 02 Aug 2013 19:20:54 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015