mujhe tujhse ishq nahin nahin magar ae hasina-e-naaznin tu - TopicsExpress



          

mujhe tujhse ishq nahin nahin magar ae hasina-e-naaznin tu ho mujhse door agar kabhi tujhe dhhondti ho nazar kabhi to jigar me uthta hai dard sa mera rang rehta hai zard sa magar ae hasina-e-naaznin mujhe tujhse ……. mujhe tujhse ishq nahin nahin magar ae hasina-e-naaznin tu kahin ho majma-e-aam me kisi khel me kisi kaam me to main chhup ke door hi door se tujhe dekhta hoon ghuroor se magar ae hasina-e-naaznin. ….. Mujhe tujhse ishq nahin nahin magar ae hasina-e-naaznin tu kahe ye mujhse agar kabhi hamen laa do laal-o-gauhar kabhi to main door door ki soch loon main falak se taare bhi noch loon woh suboot-e-shauq- e-kamaal doon tere paon me unhe daal doon magar ae hasina-e-naaznin mujhe tujhse ishq nahin nahin
Posted on: Fri, 25 Oct 2013 12:54:00 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015