shehr e riyasat ki kahani..... aaj subo hasbe mamol apney - TopicsExpress



          

shehr e riyasat ki kahani..... aaj subo hasbe mamol apney office ki janib nikla, main raston par jaga jaga containers ki bandish ki waja se mukhtalif raston se hota howa, jub super market se hota howa ayob chowk pahuncha, to wahan se mazid gari janey ka koi imkan baqi nahi tha, q k agey containers hamara moun chara rahey they.... so ek gali me gari khari kar k paidal apney dafter ki janib chal para.....rasten me punjab police ki nafri jaga jaga taaiyonat thi jo khush gapyuon me masrof thay aur yaqinan fikar k asrat un k chihron se numaya they, q k kal anho ne mad e muqabal hona hai........... khair merrot hotel k sath kuch aur containers rastain ko band kiye howey they, jahan se paidal janey walon k liy ek chota sa rasta bana howa tha.....wahan par islamabad police walon ka jumgata laga howa tha.....mere sath paidal janey walo me kuch dost aur bhi sath chal rahey they jo apny apney office duty sar anjam deney ja rahey they.....islamabad p[olice k ek shoukh o chanchal sepahi ne ye hans k kihtey howey humain kaha k naya pakistan......ab khuda janey o bhi naey pakistan yani PTI ka hami tha ya us ne ye sub tanzan bola....me zere lub muskurata howa agey bara.....aur sochta he gaya....sarey shihar me ek ajeeb si udasi, khoo ka alam ar be ronaqi k manzar mere rouh ko cher gaey they ar me sochney laga k kal 14 august ko yahan kya kuch honey wala hai...?? wapsi par ek dost ne kaha k n containers me bht zyada mithi dali gai hai, takey kal k ihtejaj me log n containers ko ba asani apni jaga se hata na sakey......so ye to tey hai k hukumat e waqt ne apney bachao k liy mukamal tayari kar rakhi hai.....ab dekhna ye hai k PTI n challenges ko kis had tak abor kar sakegi.....shehr e reyasat ki ye tabdili mujhe aaney waley waqt me koi achi pesh goi deney ki naveed nahi de sakti.....har shakhs pareshan sa dekhai diya k agar bht dino tak ye khasar raha to unki mamolat e zindagi kis qadar mushkil ho sakti hai....riyasat ki ek march ko rokhney k liye ye sari tayari aisi lag rahi hai kih jaisey hindostan yahan qabza karney aa raha hai..... sarkari mulazmin ki to moujen lagi hoi hain, daftaron me khazri bht kam thi....ar kal se to unki us waqt tak mukamal azadi hai kih jub tuk oont kisi karwat nahi bhety ga.................. jari hai... 13-08-2014
Posted on: Wed, 13 Aug 2014 11:15:55 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015