there are ten famous incarnations(avatar ) of - TopicsExpress



          

there are ten famous incarnations(avatar ) of vishnuji 1)matsya 2)kurma 3)varaha 4)narasimha 5)vaman 6)parshuram 7)RAM 8) krishna 9)buddha 10)kalki so i am writing a poem on vishnujis dashabatar.bcz it is a poem i couldnt include all details.it is based on as far as my knowledge on vishnujis avatars. if i have mistake anywhere pls forgive me. hope u like the poem HERES a small poem ON VISHNUS DASHABATAR pratham rup matsyadhar aaye pralay se dharti ko bachaye manu sang ki veda ki raksha saptarshi ko diya suraksha rup matsya ati pabankari rup dhare prabhu mangalkari he natha narayan vasudeb duja me dhare prabhukurmavatar pith pe dharli bhari mandar deb danab kare sagar manthan mandar dhare kacchap bane sree narayan jab asur amrit chin le jaye mohini rup dhare prabhu aaye debo ko amrit ka bhag dilaye rahu ne ki chal to chaturbhuj bane une danda dilaye tisravaraharup mangalkari jisme dharti danta me dhare sari varaha rup ka mahima apar varaha rup le taranhar hiranyaksha asur atyachari sagartale chupaye dharti hamari us dharti ko bachane prabhu aaye brahma ke naak se varaha garjaye ki dushta asur ka prabhu ne dalan gaye gungeet sare jagjan prithbi ko aapne danta par dhare varaha rup ka kare jai jag sare chauthanarasingharup he bhishan bhayarta rup dhare sree narayan bhakta prahlad ke raksha hetu singha aur nar ka ho gaya mishran aisa na rup jag ne dekh paye thar thar kap sab rahe jaye aapne nakho siya kiya dusht daman hiranyakashyap ko mare bhagwan bhakto pe jab sankat aaye bhari rup anek dhare jagadhari rupo ka barnan he anupam dekho singha aur nar dono ka huya sangam panchamvamanrup manhari chote se baman ka rup dhare giridhari bali ka karne ahang ka mardan vaman rup me aaye narayan teen pag bhumi bali se mang jaye do pag me hi dharti saresamaye teesra pag bali mastak par rakhe sutal lok ka raja banaye bali ka jiban dhanya ho jaye narayan ka charan ka parash jo paye jo na pa sake gyani sare uo subha charan mathe par dhare sashtha rupparshuramdhare aaye ahankari ka ahankar mitaye liyo parshu hato me prabhubar kshatriya ka daman kar jaye ikkisbar ki kshatriya mardan jamadagni ka nandan parshuram bhagwan sahasra bahu sahasrarjun ka jhute abhiman ko mitaye saptam rup he sabse nyari jis rup me dharma pale prabhu sari ramhe rup ue mangalkari us rup ka kare bandan bhakta sari dasharath ka he rajnandan kaushalya ka he prano ka spandan sare awadh ke rajdulare ram rup li hriday jeet sare janaki ma ko swayambar me jeeta ram ki ban gayi lakshmi ma sita narayan lakshmi milan ho jaye sare jag unpar pushp barshaye pita ka bachan ko dene jo man lakhan siya sang ban chale bhagwan putra ka dharma jagat ko sikhaye putra dharma ka adarsh pheyelaye ravan ne ki ma sita ka haran na jane paapi ye mrityu ka karan paapi ka raghubar daman kar aaye samul ravan ka naash karaye banar sang ki sagar par sang chale hanuman shiv-avatar bhakta sreshtha bane hanuman ram kripa ka ras chakh jaye ram-rajya awadh me chaye ram ka jay geet sare jag gaye bolo jai ram,jai siya jai lakhan ashish denge swayam bhagwan ashtam rup bhi he bare pyari kanha hamarekrishnamurari debaki mata ke ashtam garbha me karagar me janme giridhari janam se hi chaye jo mahima leela aisa ki jiska na upama kansa ke rakshas mare sare nanda ke gharme kanha bare jin nahe hato se makhan khaye uo hato se dusht ko mar bhagaye aapne chote se mukhmandal me maa ko biswa ka darshan karaye nanhe hato se uthaya gobardhan kaliya ke sar me kare prabhu nrityan radharani sang prem barsaye prem ka siksha ras se dilaye dharma ka kiya prabhu ne jo sthapan kansa sang dushta ka kiya mardan gita ka path jagat ko sikaye karma ka diksha jagat ko dilaye kahe prabhu jab adharm jag me bare tab bhinna samay bibhidha rup hum dhare nana samay nana rup hum liyo santo ka hum udhhar kare nabam he santi ka rup anupam buddharup dhare deb narayan raja ka beta ho kar bhi ghar chore santi ka jag me kiya jo sthapan peepal ke tale moksh paye bodh-gaya pavan dham ban jaye buddha uo anupam rup jo sare jag me shanti dhaja phayalaye buddha rup ka geet gaye jag aarti bandan unka kar jaye anta me kalki rup pavankari kali ke anta me dhare sree murari jab adharama ka palla ho bhari hinsha aur dwesh se bhare jag sari pralay ke purbkalkirup aye dharma ka dhwaja dharti par phayalaye paap ko punya me badalta jaye sukh santi ka sthapan jo karaye
Posted on: Sun, 28 Sep 2014 13:23:14 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015