want to talk about , i`ve got 137 friends , and i thing thats what - TopicsExpress



          

want to talk about , i`ve got 137 friends , and i thing thats what facebook or friendship is all about ...sharing views ..samaj ke ek warg ...jinhe `hijda`...`transgenger`...just hope the names are not offending ...par yehi sabd sekhe hain ...unka aisa hona unke hath mein nahi tha ...wo bhi bhagwan..kam se kam ye to keh sakte hain ki nature ka hi roop hai ...., suna hai .jo shedule cast hain ..unhe agar unki jati se bulaya jaye to jail...saja ho sakti hai....phir transgender ko ...itna undekha kyo kiya jata hai...maine dekha hai ...jab shadi ya bacha paida hone par wo ate hain to izzadar log dor cale jate hain...sharam ke wajah se ...par samaj ne unhe aur koi jagah de hi kahan hai..kya wo naukari kar sakte hai ..jaise ab aurate karti hain ...samaj mein har ek cause ke liye koi yojana ya ngo hai ...par shayad inke liye kuch nahi socha gaya hai....ye bhi to har desh ki sachayi hai...is organized wyawastha main ..unke bare kya nahi sochna chahiye ...ya phir unka wahi kam bacha hai ... shadi mein ..ya kisi ke cacha paida hone pe paisa mangna ...meri kabhi one to one baat nahi huyi hai kisi se par sana hai dil ke bahut ache hote hai....documentaries mein jo khul kar aye hain unka turmoil mehsoos karna ...jab shareer ko wo pehchan nahi pate ...relate nahi kar pate jab ki ma-baap ne ladke ki tarah ya ladki ki tahar pala hai ...par unka shareer koi aur shredi mein ata hain...phir wo darr ...wo sharam...maa-baap ka suport na karna ...maine padha hai ...ki jayada tar ye addiction mein ya in logon ki suicide rate jyada hota hai..mere kyayal se to wo bhagwan ka roop hai , purn admi aur aurat dono...try loving them too ...abhi to wo aise kaam ya profesion mein phanse hain ki tumhe lutne ya paisa lene ki koshish karenge ...par kam se kam hum apna najariya to badal sakte hain....hain main ye keh raha tha ki kisi so called shedule caste ko uski jati se pukaro to jail bhi ho sakti hai...par phir inke liye ....samaj ne to majak bana rakha hain...kaise aam bhasha ya film mein bhi ...kisi ko gali dene ke like `shakka` ya ` hijda use karte hain...,kya unhone khud banaya hai apne ko aisa ,, janwaar tak ke liye ....itne movements hai ...wo to insaan hai..kab tak undekha karenge ...koi extinct bhi nahi hone wale ... ane wale salo sal..sadiyo tak wo paida honge ...shayad hamare ya tumhare ghar mein ...tehi milega kya samaj se unhe ...bajaye support ke....what a topic ... hum baat karte huye bhi sharmate hain unke bare ...lets see you would like it or comment to correct or add more to it
Posted on: Thu, 14 Nov 2013 17:32:30 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015