مین بیبس ھون کھ میرے Khaliq ne mairi takhliq - TopicsExpress



          

مین بیبس ھون کھ میرے Khaliq ne mairi takhliq kuch issterah ki hey ke mairey aamal mairy programming se tjawiz nahin Kersaktey.Kabhi mairey instincts muj per hawi ho jatey hein orkabhi mairy khudghrazi mairey aarey aajati hein.kabhi mahole ka jaber.kabhi muhabbat ka jaber orkabhi nafrat ka ghulam bun jatahun.kabhi chahney ke bawajud kisihaseen ko eik phul bhi nahein deysakta.Kabhi eik haqeer si chees bhi aham hojaati hey.kisi ko eik phul dekar samajhta hun ke pura gulistan dedia hey.Gulistan mein dey bhi kaisey sakta hun.Mujey uska husn,uski chaun,thandi hawaien or laziz phal ,titlun kibe awaz rangbkhairy hui perwaz orprindon ka chehchana buhat azia hey.Khuda ne mujey kamzore orkhudgharaz bnaya hey or marey under ka khudhifazti nazam qurbani dainey se roktey hein.Ye eik khudker nzam hey jo laashauri torper masruf e kar ho jata hey. Khuda ne jisterah se mairy takhliq ki hey mein majbur e mehz bun krreh raha hun.Usney mairi programming kerkey mairey under eik chipdal dihey jissey bahir mein nikal hi nahwin sakta.khud mukhtari tou eik tohmat si lagti hey.panchi ko upney pinjrey se hi manus hona perta hey. Lekin in majburion ke bawajud aapke under ek muhtasib bitha diagia hey jisey hum zameer kehtey hein.ye monitor aapki khushion ka intikhab bhi khudhi kerta hey or mairi or aapki jbilltun kaser kchulna bhi isi ki duty hey.Mujhey ziada ghum issi beraham ney diey hein . Apna gham,tera gham, kaienat ka gham Khana e dil mein phir bhi kion werani hey. Begunah log khudkush hamlun mein,kemiaiee hathyaron se,bhuk or aflas se ,nainsafi or zulm se,behissi or khudgharzi se,bemari or lachari se log upney upney almiun or bebusun mein pisey ja raheyhein or merey ja rehey hein.Mein shikwa e zumate shab bhi kerta hun or upna dia bhijlana chahta hun magar in aandion ka kia karun jo kabhi mairey underse or kabhi bahir se uthti hein. Kabhi sochta hun kedil pe jmey shabnum ke qatrey kitney weranun ko serab kersaktey hein. BUS YEHI MERA ALMIA HEY.
Posted on: Thu, 29 Aug 2013 16:33:41 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015