» 1400 SaalPahle Insani 360 Haddiyon KaZikr « ■ Hadees: Hazrat - TopicsExpress



          

» 1400 SaalPahle Insani 360 Haddiyon KaZikr « ■ Hadees: Hazrat Ayesha (Radiyallaahu Anha) Se Riwayat Hai Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya: “Har Insan Ki Takhleeq Me 360 Jod (Jointsof Bones) Banaye Gaye Hain, So Jis Ne Allahu Akbar Kaha, Alhamdulillah Kaha, La’ilaha Illa’llah Kaha, Subhanallah Kaha, Astagfirullah Kaha, Raaste Se Patthar Ya Kanta Ya HaddiHatadi, Acchi Baat Ka Huqm Diya Ya Buri Baat Se Roka Toh Ye Teen So Saath (360) Jodon (Joints) Ki Ginti Ke Barabar (ShukrAda Karne Ki Tarah) Hai Aur Goya Wo Shaksh Uss DinApne Aap Ko Jahannam Se Aazad Karwa Kar Chal Phir Raha Hai”. -:(Sahih Muslim, Book 5,Hadith 2199) ■ Science Aproval: 1400 Years Years Pahle NaScience Thi Aurnaa Hi Koi IsaniJism Ko Scan Karne Ka Koi Jarya, Rasoolallah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne (Wahi Ilahi Ke Noor Se) InsaniHaddiyon Aur Jodon Ki Ta’dad Muta’yyan (Exact) Tor ParTeen So Saath (360) Bayan Farmadi, Aaj Medical ScienceMe Insani Haddiyon Aur Jodon Ke Liye Ek Mustaqil Shoba AnatomyWujood Me Aa Chuka Hai Aur Iss Sho’be Ke Muhaq’qiqeen Ka Tasleem Karna Hai Ke Insani Jodon Ki Ta’dad Teen So Saath (360) Hi Hain
Posted on: Sat, 17 Aug 2013 10:37:14 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015