♥Ek Shaks Ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Se Ek Baat - TopicsExpress



          

♥Ek Shaks Ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Se Ek Baat Ki Shikayat Ki Jise Sunkar Aap Sakht Naraz Huway Aur Farmaya Aye Logo Tum Mein Se Kuch Log Logo Ko Deen Se Dur Karne Wale Hai♥ Hadith: Jo Shakhs Bhi Logo Ko Namaz Padhaye To Mukhtasar Padhaye Kyunki Namaziyon Mein Koi Beemar Hota Hai …… Bismillah Hir Rahman Nir Rahim Abu masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek shaksh Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hokar arz kiya ki main falah imam ki wajah se subah ki namz jamat ke saath nahi padhta kyunki wo bahut lambi namaz padhate hain , ravi kahtey hain ki us din mainey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko naseehat karne mein jitna naaraz dekha us se pahle kabhi nahi dekha ,Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya eh logo tum mein se kuch log logo ko (deen se) dur Karne wale hain , jo shakhs bhi logo ko namaz padhaye to mukhtasar padhaye kyunki namaziyon mein koi beemar hota hai , koi budha hota hai aur koi hajatmand hota hai (Sahih Bukhari, Vol 7, 6110) English Translation: Narrated Abu Masud Radi Allahu Anhu A man came to the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam and said I keep away from the morning prayer only because such and such person prolongs the prayer when he leads us in it. The narrator added: I had never seen Allahs Apostle more furious in giving advice than he was on that day. He said, O people! There are some among you who make others dislike good deeds) cause the others to have aversion (to congregational prayers). Beware! Whoever among you leads the people in prayer should not prolong it, because among them there are the sick, the old, and the needy. (Sahih Bukhari, Vol. 8, Book 73, Hadith 131) Note: Deen Mein Aasani Rakho Sakhti Mat Karo Warna Log Deen Se Dur Ho Jayenge Sakhti Jo Hai Jin Baaton Ko Allah Ne Haram Qarar Diya Us Se Bachne Mein Honi Chahiye, Kabirah Gunaho (Major Sins) Se Bachne Mein Honi Chahiye.
Posted on: Mon, 11 Aug 2014 08:37:45 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015