Ek garib kutiya main--------------- Patni: Ye paise kahaan se - TopicsExpress



          

Ek garib kutiya main--------------- Patni: Ye paise kahaan se aaye? Pati: Tum aur tumhara baccha kya itna sara ration kha jaoge? Ghar aane se pehle maine adha ration baiich diya. Patni: Thick hai. Iss paise se kucch sabjiyan le aao. Pati: Hum garib hain. Sabjiyan nahin kha sakte. Mirch aur namak se kam chala lo. Patni: Toh phir pyaaz ke pakode kyun mangaaye Ramu ke dukaan se? Pati: Chakhnne ke saath do ghunt lene se mazaa aa zaata hai. Patni: Tumhare liye pyaaz ke pakode aur hum namak lagakar roti kha lein?? Pati: Apni mardaangi jagaane ke liye do ghunt toh daalni padti hai. Patni: Tumhari mardaangi kisi kaam ki nahin. Ye paise rakho, Munne ke liye dawai layenge. Pati: Are! Sarkari dawakhane main eelaaj muft main hoti hai. Munne ko wohaan le jao. Patni: Munne ki kitaabon ke liye toh ye paise rakh lo! Pati: Are murakh tujhe nahin pataa? Sarkari schoolon main padhaai bhi muft hoti hai. Munne ka daakhilaa wohaan karwa denge. Patni: (jhaadu uthaake) Muaan sarkaar ki bajah se tu beudaa ban gaya. Mere maa baap ne meri saadi sarkaar se nahin tere se karwai thi aur dahej bhi tujhe hi diya tha. Phir bhi sarkaar hi sab kucch karegaa toh tujhe mardaangi dikhaane ki kya jaroorat hai? Deta hai woh paise, ya phir maaroon jhaadu se? Dawakhaane main dakatar nahin milte, na hi ischool main master! Ye kehta hai munne ko wahaan le jao! Mardaangi dikhakar baap ban saktaa hai par jimmedaari nahin uthaasakata??? Haramzada kahinka!!!! Paise leke patni andar chali jati hai. Andar se……: Jao jaldi kaam pe, nahin toh khaane ke badle jhadu milegi.
Posted on: Mon, 02 Sep 2013 08:22:52 +0000

Trending Topics




GRACIAS A DIOS. QUE ME ILUMINA Y A MI FAMILIA QUE ME APOYA,
Race The Tube - Hong Kong One crazy runner in London decided to

Recently Viewed Topics




© 2015