[Enter Post Title Here] Hamari bibah 27, Nov.1997. bibaha ke - TopicsExpress



          

[Enter Post Title Here] Hamari bibah 27, Nov.1997. bibaha ke bad bhabio ne eb dosto ne bhi salah diya ki honeymoon ke liye jane chahiye. Bastav me mai akela kamane wala koila khan me ek 2 ketagari ka mazdoor sadhi me itna kharch ke bad hanimoon ka kharch mere bajat me kuch jama nahi.uske bad mujhe pata hai ki mere sadi aye huye mere bua ji ko mujhe hi pahucane ki babastha karna hai aisi samashao ko dekhte huye mai hanimoon ka program ko nirast kiya baran apne patni ko kaha ki ajkal hanimoon me jane ke liye log ka sahara lena parega ajkal loge me to bisan khatra hai. Isi tartamya me unse kaha calo ham bua ji ko ham khud pahucane ka bahane me west-bengal ki yatra karte hai, jaha gow me mata iccha mai ka pooja hogi puja me bhi samil honge aur Jodi me kooldevata ka bhi pooja archana kar ayenge ye jaruri bhi hai bhbisya me baibahik shanty, uha man gai. Phir kya tha mai rail arakshan puja archana ki tithi ka samanvai karke kar dala. Ushi duran mera musi door ka par pravasi hone ki nate aur najdik ho gaya ushne bhi jid karne laga ki ushne bhi jayenge badme unka bhi arakshan kiya to waiting mil gaya fhir shocha thik hai janha hamara rijervesan hai to manej ho jayega. Ham log sab milke nikle sham 7.00 baje tarikh tha 25, Jan 1998. Chirimiri relwey station se gadi char ke bilaspur ke liye rawana hua chirimiri se coch me jada log nahi tha agla station manendragarh se kuch log charne ke bad yasa laga ki kuch log safar kar rahe hai fir kuch acha lagne laga manendra garh me ham sab dinner kiya uske bad sab sone chale gaye dhire dhire train pura bhar gaya train anuppur pahucha sab log so gaye kuch log to nak ki tarah taraha awaj nikal rahi thi ham dono nahi so pa rahe the nai nai bidhi wat Jodi ki umang lagbhag ratko teen baje tak masti kiye uske bad unhone boli kal aur parso bhi safar karni hai chalo so jate hai. Ham log sone cale gaye kuch der bad jab ham logo ki nind aai maine to sote hi nak se garjan hone lagi mera patni muje jaga kar boli thora aste. Mai samajh nahi paya to unhone kaha ki ham bichar kar rahe the ki nak ki awaj ka are aap to jeet gaye dekiye jitna naak bajanewala sab utke baith gaye yaha kumbhakaran bhi hota to uth bithta.unke kathan se to thora pan-pani mahasus hua lekin unka kaments se mai mugdha hua.thori der bad sab koi so gaye subaha jab ankh khuli tab bilaspur pahuch rahe the, maal sab ikattha kar sabko jagaya ki hame gadi chorna hai bas ham bilaspur pahuchte hi gadi se utarne lage, utarne ke bad ham sab waiting hall ke taraf rawana hua janha pahuch kar saman rakh kar niche chadar bichya baithne ke liye. Sab milkar baith gayeaur bola do do kar brush kar letrin sanadi kar le fir aram kare.sabke ek sath hi chai nasta karene. Un dono thare vidhwa jis karan unhone kaha ki hamlog chai piynge par nasta nahi karenge. hamare pass nasta hai ham ohi le lenge. Hamne kaha phir dekha jaye ga pahale frash to ho jaye. Jaise un dono ne nitya karma samapt kiya ham dono cale gaye andar bahut bhir thi jis karan thori der hui . phir ham ldono chai nasta lene platform me chale gaye chai nasta me kuch fal khride aur chale aye. Ek sath baith kar nasta kiye picnic ki taraha. Hamari train lagbhag 1.45 P.M. dopohar ko thi to samay bitane ke liye platform par dono jakar baith gaye.wohaek ke bad ek gari ata jai aur jata jai lagatar dekhta raha har exprex gari lagbhag ek jaisa. Suru me ingin uske bad ek yea dojanral ek SLR fir a/c 1st class II tear uske bad III tear uske bad 9-14 S/L class fir 1yea 2 janral SLR mal carrage. sabhi train ko dekhta raha dekhta raha train me carhte huye logo ko. Ek bat bises tha ki sabhi train ek jisa janral me bhir itni ki carhna bohut hi kathin isliye log sayad III tear ki taraf bhag rahe the aur pariwar lekar jo call rahe the unke liye majbori thi ki oha III tear par char jaye to safar asan rahega kintu usme fine lagne ka jokhim to hai kintu kare to kya? Bas safar me nikla to safar karne ki majboori bhi to hai. Han chalo safar kar lete hai fine lagega to fir hath jor ke chhma yachna kar lenge nahi mane to bas jo hoga dekha jayega. Un gadio ko dekh raha tha man me yehi chinta daur rahi thi. Samay ki gari bhi dourti ja rahi thi kintu koi khail hi na raha. Aur bich bich me bate karta raha. Magar dhan tuti to ghari ki or nigah dali to dekha ghari me 11.30 baj gaya. Hamne uth kar restaurant gaya lunch liya fir loute to dekha 12.45 ho gaya jaise he ham dono bua aur mousi ke pas phuche unhone pucha itni der kaha the? Idhar udhar ghumke sab dikha rahe the phr lunch lene gaye lunch lekar abhi loute. Uplog lunch liye ki nahi? Ha liye, kya khaye? Unhone kaha ki chura kela khayi. Bas ham bole ab to platform me chalna padega unhone chaddar ko lapetkar bag me dale maine saman uthakar unsabhi ko sath lekar platform par akar baith gaye. Nirdhrit samay par gadi ai ham log carh gaye. Gari me jab apratyasit bhir dekha to hairat hui hamne apne bearth ke pas pahuch kar hamara jagaha khali karne ke liye jab kaha to unhone kaha ki TTE se bat karo mine kaha ki kya bat karu ye barth arakchit hai hamare nam to unhone koi uttar na diya na hi jara sarak kar bithne diya. Bibasta purbak TTE se bat karne gaya to TTE bole chalo mai ata hun mai chala aya thori der bad jab TTE akar pucha kya bat hai hamne sari bat bola to TTE asafal prayas kiye fir hamse bole ki aaj 26,JAN. ganatantra diwas hai iska fida utha rahe hai ye log. Mai samajh gaya ki inko koi dar aj nahi hai kisi prakar ki saja nahi ho sakti thyithak kar sochne laga kya kiya jai ki problem solve ho. Udas khara ho gaya. Bibasta jhalak raha tha cehere par. Tabhi achanak ek admi bola jara tharo inko buddi se mat deni pdegi chinta nako beta tumlogo ki bap yaha hai yad karoge kisi admi se palapada. Mai soca ki o to tab dekha jayega asar kitni hogi muha se kuch nahi bola. Bas sochta raha, bicarta raha acanak ek youkti sujhi bas try karke dekhte hai sayed isi se kam ho jaye pahale yojna banaya yojna ki tahat bade hi binamrata purbak khade hokar pucha, Sir ap log kaha tak jaenge? Unme se ek ne jabab diya, hamlog Tatanagarh tak jayenge. Are o to bahut door hai tabtak kya hamlog you hi khare hokar safar karenge? Thik hai jisi aap logo ki iccha. Lekin Sir jara sochye dusra din hota to ya app log regervation karke safar karte isi III tear par ya janral par hi na? unhone kaha bilkul. .. Ye to mouke ki bat hai. Maine kaha thik kaha rahe hai, par sir is taraha se ham log sabhi aam log hai. Agar jor hota to ham bhi A/C me safar karte. Lekin aaplog bahut bahadur hai itni badi himmat juta pate hai, kanun sambidhan ka jankar bhi hai mere hisab se bahadur to hai par apne hi mand par are bhai jor dikhana hai to apne se unche log ko dikhiye kamjor ko satane se yas nahi milta bhai bagal me A/C hai jo unche log hai oha prabes kar jao balwan bhi kahalaoge sukun se safar bhi karoge. Ye sunte hi wh uth khara hua apne ladko ke sath kya khusur fusur kiya aur bole baith jaiye sir. Kuch samay tak to laga ki ladke aur jada paresan na kare ya fir marpit-hathapai bhi kar sakte hajehan me dar to tha. Karib 2 station bad unme se ek ladka akar puchha ki Sir sab thik hai? Tab bhay mukt huya aur ascarya bhi hua aur ek bat dimak me aye ki ladke ek ace pariwar se hai dosto ki sangat unhe prapta hai jiska parinam swrup aisi kam kar raha hai. Jo bhi ho ham aswast huye. Yaisa karte huya sham ho gayi ascharya ki bat hai ki ek bhi chai wale howker train me nahi dikh raha hai, kafi der intajar ke bad bhi tab faishla kiya ki platform se hi chai khridne parenge. Kafi der bad station aya to platform me ghumne wale chai wale ko awaj lagakar bulaya aur chai liya. Chai pine ke bad apas me milkar batchit karne lage. Dhire dhire rat hui penti car wale koi bhi dinner ke liye puchne nahi aya tab hamne socha ki aaj platform se hi dinner lena padega jaise hi train station par ruki maine utar kar pawroti aur kela kharid kar aya jaise hi train me carh kar apne jagah par baitha train move karne lagi. Upar nigaha durai to dekha ki train lagbhag khali ho gaya kebal unhi log dikh rahe the jinke rigervation hai ya das – barah log atirikkt.oh bhi agle station tak khali ho gaya. Tabhi TTE punah sudh lene coch par aya to maine unke pas jakar pucha hamara ek ticket waiting hai aur bohut bujurk mahila hai yadi conform ho to subidha hogi to unhone kaha ticket dikhie to unka alag se ticket tha use age kar diya. TTE sahab bole ey to ek ticket hai. To maine hamara ticket bhi age kar diya, jo pura ticket canfrom tha usne kaha ki ek sath tikit nahi liya kya? To maine kaha ki inka koi program nahi tha kintu hamare program aur ticket banana ke bad jid pakar li ki mujhe bhi jana hai to dubara ticket lene gaye to cnfrom nahi mila. Thik hai kahakar unhone pure chart par nigahe dura kar uthkar hamare bearth ke najdik ek bakti ko bola are bhai sorry aap 42 par cale jaiye jo upper hai inko ye bearth de dijiye. Oha sajjan ek bat par raji ho gaya aur jo bistar bichye the uthakar le kar chale gaye. Maine unhe dhannabad kiya. us samay lagbhag rat 10 baj gaya tha hamlogo ne pawroti aur kela se dinner kiya. Sabka bistar lagaya sab sone chale gaye. Ham dono Jodi khusur fusur karte karte rahe lagbhag rat teen baj gaya to ham dono bhi sone chale gaye. Kab subaha hui kuch pta nahicala achanak chai chai ki awaj se nind gafur ho gaya dekha ki Ashman me thodi si rosni dikh rahi thi pratidin ki bhati chai wale hawker chai bech rahe the sabkuch ekdam samanya ho gaya. Mai niche side bearth par charan kamalo ke pas khali jagaha me baith kar khirki ka bahar nihara to dekha bahar sabkuch saf-saf dikhne laga dekha ki ham Paschim bangla ke dharti me sarpat daur rahe hai Rail line ke kinare dur dur dekha to dekha ki jahatak nigahe jati dhan ka khet na khatma hone wale, door door kahi kahi tad aur naruyal ped me chipe jhopria jo gaon ka nisan jhalakta hai aur tabhi acanak badi, unchi, chatai wale ghar makan, choti bari talab, football ground magar ek bat saman thi oha hai ki unchi unchi gaganchumbi tad eb nariyal ka ped, kabhi kinare pakki chowri sadak sadak pad daurti chamak dar rang birangi buse jisme bade bade akcharo se devata, pakchi, kathin katin manoranjak nam ankit hai. Dekhte dekhte chote chote station ke yatri ko tata karte rafter pubak nikal jata. Fir station par karte hi ohi najara aisa lagta hai jaise action replay ho raha hai. Acanak jab train jab dhimi hoti hai tab purbabhas hone lagta hai kikoi badi station ya junction ane wali hai aur aisa hi hota hai. Pata nahi ye sab dekh kar anand aur umang se bibhor hokar najane kab behoshi cha gayi ki mai sab bhul hi gaya ki mera bibaha ho gai in anando me mujhe mera patni ko bhi sath leta to kitna accha hota kintu lagta hai ki in mantramugdha najara mera dharma- patni ko sath lene ki ijajat nahi diya. Bahar hal mai ek badi junction me akar gadi ruki najane kyu log idha udhar bhag rahe the? Kyu log itna paresan dikh rahe the? Itna chilamchilli kar rahe the? Firbhi dekh kar bada maja aa raha tha har logo ki har bat jo suai de raha tha samajhme aaraha tha.bahar se itni thandi hawa log kap rahe the mujhe bilkul mahasus nahi ho raha tha. Yaisa lagta tha ki mere sarir ka sabhi sensher sunya ho gaya hai. Na jane kab mara patni uth ke baith gai mujhe pata hi nahi cala. Jab unke taraf dhayan gaya to dekha ki mera patni baithkar mujhe nihar rahi hai, aur pata lagane ki kosis kar rahi hai ki mai kya kar raha hun. Maine bina samay gawate huye pucha ki kya bat hai? Jabab me mujhse prasnakiya kab ute? maine jabab diya bahut der pahale. Sathme bola kitna sundar hai har drisya fir chaiwala aya to maine pucha chai pioge? Ushne kaha ‘hun’ maine chai bolke awaj lagaya to mera bua mousi bhi jag gaye dekhkar sabke liye chai ka order diya chai liya chai piker mai tolet ki taraf chalagaya fress hokar mai apne patni se pest aur brush lekar fir jakar brush karke akar pani piya aur fir ohi kidki se bahar niharne laga ye dekhkar mera patni, bua moushi sab ek sath milkar pest brush lekar tolet ki taraf chale gaye karib ek ghanta ke bad un log sab loute tabhi bhi mai bahar ka drisya nihar raha tha. sab akar apne apne jagah par baith gaye par mujhe kuch nahi kaha. Acanak mai apne kalai par ghari me nigaha durai to patachala 6.30 baj gaya hai jabki 6.00 baje hawrah pahuch jana tha. Maine kaha ki gadi let chal rahi hai. Bagal se ek admi wola ki karib derh ghanta let hai. Phir mai chup hokar bahar niharne laga mera patni bua aur mousi se pucha ki chai ek bar aur hogi kaya? Unhone hana me uttar diya tabhi ek chaiwala prabesh kiya to maine fir char chai ka order diya to ushne jo chai diya wo chai bahut hi testy tha. Chaiwala chai diya paisa liya chal diya. Chai pine ke bad mera patni woli bha bahut testy chai maine sahamati jataya. Dekhte dekhte kab adha ghanta bit gaya to maine apne patni se kaha ki bistar samet kar bag me dal lo pata nahi kitna samay milega agli train ke liye. Ushne aysa hi kiya. Thodi der bad achanak train dhimi hui dhire dhire reng rahi thi kuch dur jakar ruk gai fir dhire dhire sarakne lagi fir kuch der rengta hua jakar aste se ruk jati kuch piche ki or khisakkar ruk jati dekha kinare athaha rail line bicha hua hai ek jhalak dekh hi paya ki kinare ek aur train akar ruk gai. Kinare wale train ke kidki se dekha to ek local train khari hai.hamare ulte taraf nigah dala to paya ki ek aur local train khad hai. Turant pahale wale train ko dekha to yaisa laga jaise wah local train ek patri door khisak gaya hai. Idhar palat ke deka to wahi hal hai lagattar yehi hota raha mai yehi dekhta raha, yaisa lagta raha ki koi adrsya sakti train ko is patri aur us patri badal raha hai. ghanto yehi sab niharta raha samay kab train ke rafter se bit jar aha tha ki kuch pata nahi. Achanak ghari dekha to pryah do ghanta bit gaya tabhi ek nariyal pani wala aya to mai pucha ki kitne ka hai ? to bola 5 rupaye maine kaha do usne ek dab ko dhar wala daw se jor sekut mara aur ek streep laga kar de diya bua ji streep khich kar mere taraf isara ki boli bas aur nahi chahie. Fir wole beta kaha se laye ho ye fal? Jara sarm karo ham roj pite hai yelog naya hai isliye maine pahale liya aur jaldi se piker dekhaleo beta paisa lo aur jao. Itna sunte hi wo sidha train se utar gaya. Janta hai ki train me aur koi nahi kharidega.age jakar kisi aur compertment me charh gaya. Ise hi fhir train ki taraf dekhta raha. Jab bhi koi local train ata koi train thoda ruk kar chala jata koi local train sarpat age barh jata ham ya hamara train ghanto pratiksha karta raha. Par hamara train ke liye koi jagaha hi nahi.karib sadhe das baj gaya thodi thodi pasina mathe par chamak rahi thi kyoki jitna shit us janwari mahina me waha hai utna tochttish garh me chait me rahata hai.pone egaraha baje train thodi si sadakne lagi fir halke se rafter se platform me praves kiya. Ham sab tayar the jaldi se utar kar local train ka platform ke taraf gaye patanahi yadi gadi mil gaya. jakar dekha ki khagraghat/ salar ki taraf ki koi gadi nahi hai to ek jhalak train chart par nazar durai dekha ki subaha 8 baje ke bad koi train nahi hai karib 1.00 baje katwa local fir 4.00 baje ajimganj exp. Jo sidhe salar par karke khagraghat rd. hokar ajimgang jn. Tak jayegihisab karke dekha ki yadi ham katwa tak safar karte hai to dusri gari ki babastha ho sakti hai agar sahi hisab se chale to gadi sahi mil gai to 7.00-7.30 tak salar pahuch jayange last bus ya usse pahale wali bus mil jayegi aur kandi pahuch jayenge age bharh te hai to bhi khagraghat rd. se koi bus nahi milegi. Aur 4.00 baje wali train pakadne paradhi rat ko salar/ ya khagraghat rd. pahuchange bus to bus koi taxi bhi milegi ki nahi bharosa nahi upar semil gai bhi to aysa ret bolega ham jhel hi nahi payenge. Ye sab soch hi raha tha ki achanak bua ji bole ki itna kya soch raha hai? Maine kaha ki kuch nahi 1.30 baje katwa local hai usme challenge katwa tak fhi age ka age socha jaega. Itna kahakar un logo ke sath platform par baith gaya kyonki thakan mahasus hone laga. Baithte hi jaise jhpki lag eek local traindhar dhar kar plat from par aajaye aur chouk kar nind ki jhapki khul jaye tabhi dekhte hai ki rangbirangi hardesh ki log har umra ke log utne lambe platform par khcha khch bhare lakho log pure bystata ki chal se chalet dikha chand minito me na jane kaha bilin ho gaya. Ye sab sochta hi raha ki najane us platform se oha local train kab bilin ho gaya pata nahi. Uske sthan par dusra train train fir wohi lakho log dekhe aur bilin ho gaya. Yehi sab najara dekhta raha bas dekhta raha. Bagal se bua ji bole are jaa na kuch lunch ke liye le aa. Mai chouk ke haa me sar hilaya phir chala gaya bagal ke thele se pawroti kela milk le aya fir mere patni ne sabko bat diya mera dhyan un gadiyo ki tarafmook darshak hokar dekhta aur sochta ki ye log , itne log kaha se ata kaha jata itni bystata kis chij ke liye, kaha kisise nahi sochta hi raha. Meri patni boli ki lunch le lo maine kewak kaha hun bolkar hath aage kar diya lunch lene ke liye aur nigaha kewal aur kewal gario ke taraf. kaise kaise lunch kiya hath dhoya pani piya fhir wohi nigahe kewal gari, log ana aur bilin ho jana yehi dekhtaraha. Dekhte dekhte katwa local platform me in hui hamlog uth kar local train me baith gaye. Amne samne sit hota hai mai aur meri patni dono ek taraf bua aur mousi ek taraf amne- samne muh karke baith gaye. Train chal padi, har teen se pach minit par train kewal 30 sekend ke liye ruktibas chal padti. Abtak platform par logo ko bystata dikh rahi thi, ab patri par daurti train byasta ho gai. Dhire dhire bandel tak ate ate local train khcha-khkch bhar gai. Log train me lagi hangar se almari par latakti sadiyo ki taraha latak rahe the koi latke latke chai nasta howker selekar pi rahe the koi kitabe koi akhwar par rahe the kuch log to kandhe se kandhe me gamcha fila kar tas patti bhi khel rahe the yeha dekh kar bara achambha laga ye dekh kar eisa laga ki badi byastata ke sath bajigar bhi hai.mere kinare mahabidyalay ka ek ladki baithi hui thi ladki ki nak naksh bahut hi sundarankho me gagls mathe par choti si bindi hath kakadhi kiya hua salwar kurta pahana hua gora rang aur bhi nikharti hui. Tin sit par adhe kullu ki jagaha dikhi to bagal me kadi ek ladka ne pucha us ladki ko madam kya jara baithne denge? Ladki tapak se boli sabkuch bhik me nahi milta. Piche ladke ke maa adher umra ki ushne ayeadhe kullu ke jagah me baith gai ladka sakpakakar khada raha. Ladke ki maa dubli patli si.choti si jagaha par baith kar safar karti chali gai. Lagbhag ek do station bad thodi si thasi to us ladki ki thodi si jagah kam hui, kuch door aur jakar fir thoda aur thski to ladki adhe me pahuch gai. Ladki kuch nahi boli lagta hai ki sayad ladki ek do station me utarne wali hai. Wo bhi yehi samjhi usne thoda aur thasakte hi ladki dharma se niche gir padi. Ladki bilbilate huye boli bhalai ka jamana hi nahi. Us aurat ne kaha ki aha beti gir gai aaja beta baith jao. Ladki ko jagaha diya ladki sancoch bas baith gai. Unhone pucha ki beta kaha se aa rahi ho? Ladki ne kaha ki mai collage se aa rahi hun. Kaha jaogi bas ye nabaddip tak jaungi.ohi rahate ho? Han me sar hilaya to us aurat ne kaha hun. Un bujug mahila ne kaha “ beta ek bade bidwan ne kaha anubhaw aur josh ke samanvay se badi uplabdhi mil sakti hai, magar iska prayog samay aur paristhti bichar kar karni cahiye.” Aage aur koi kisise aur kuch nahi kaha nabaddip aa rahi thi to ladki ne uthkar darwaje ki taraf chal diye, nabaddip ate hi who ladki ne uttar gai aur chall di. Train bhi apne rafter se chalne lagi. Tabhi train me chai wale howker aye hamne chai mangi to kulhar me chai diye.chai pie tab tak train bahut hi khali ho gaya thaikka dukka hi log khade the.eisa lagta hai ki ek tho station bad bahut khali ho jayega. Bas yaisa hi hua. Hamari bibah hua 27 n Us samay lagbhag 5.00 baj raha tha local train ki apni rafter bahut thi ek bujurg bykti kinare akar kaha ki bet kaha jaoge? Maine kaha ki katwa to unhone pucha kit um sab to maine kaha ki ham charo bujurg ki cehera me udashi chha gai age barha dusre sit par ye hi sawal mai samajh gaya ki o khre hone me asamarth hai samne wale ne kaha basberya bujurg ka cehara chamak aa gaya oha ek ladka baitha hua tha usne utha bola baith burahu safar karn ka bada sauk hai kamar me dam nahi. Kyu dono time updown karte ho? Beta nalayak ho gaya kya? Bujurg bola mera kam kya tera bap karega sala? Tera bap logo ke pass to samay hi nahi hai, tum log ko bolta hun to pith dikhate ho aur badi badi bat karte ho. Chup chap khade raha. Ai Buddha jagha mai diya mujhe hi …..bujurg bola ‘chup’. Tabtak bas beria a gaya train lagbhag adha ho gaya. Bujurg thora fail kar baitha. agle station par wo bhi utar gaya. Bas do tin station bad katwa jn. Aa gaya ham sab utar gaye. Dusre taraf train khadi thi jaldi se ja kar us train me baith gaya. Kuch der bad train calpadi karib sham 7.30 baje lagbhag train salar station pahuchi jaldi se station se bahar aye. Bus khadi thi parantu gadi ko dekha to bas me carhne ki himmat nahi, kyoki phull jaisa gadi ki charo or admi latak rahe the, mere sath teen mahila usme se do to bujurg ise me safar karna bhi muskil yaha to rukna bhi muskil kyouki salar ek denjer jone aye din dakiti lootpat aam bat hai chinta ki lakir kapal me. Kya karu . lodge bhi nahi hai. Dimag me aya ki koy taxi dekhta hun bas ek ghar jakar taxi lene gaya unlogo ko pan dukan me bithakar karib 1.00 ghanta bad hath jorkar taxi ki byabastha kar aya. .tabhi shanty hui. Taxi ken am par ek ambeseder car mili job hi mili 4 logo ke liye paryapta hai. Woha se turant hi car me sawar hokar rat ki andhere sadko me se hokar daur rahi thi kewal sadko me hamari kar ke siva koi aur gadi nahi dikh rahi thi, kawal ek ghante ki safar bich mere mama ki gawn par rahi thi moushi utarne ki jidd kar rahe the. Maine mana kar diya. Itni rat ko kisi ke ghar me jana bina koi jankari diye munasib nahi hoga aur maine kabhi bhi mama bari mahi gaya to unlogo ki achar babahar se bakif nahi hun. Yadi rat ke andhere me yadi unko uttar diya to badnami hogi pata nahi ki sadak se mama ka ghar kitni duri par hai.isliye maine mana kar diya, maine kaha ki subaha mai khud apko unke yaha chord aunga. Driver sarpat gadi ko teji seage barha diya thodi hi der bad driver pucha ki kidha jana hai? Maine kaha ki isi road me pachtupi road taraf le lijiye fir mai rasta bolta rahunga, bolte hi gadi baye taraf ki rd. me mor diya mai samajh gaya ki manjill najdik hai. Mai rasta batane ke lie taiyar ho gaya, fir maine kaha ki jabtak nabolu tabtak main rd. nahi chodna. Main rd. to hai kintu gol gol mod wali gawon ke bich rd. bolte hi maine kaha ki samne baye taraf dhankal usi ke kinare se pakki sadak se andar le lijiye aur dhire chaliye kyoki bahut kdi golai rd. se sata dahine diwal baye talab hai. Usne kaha ki chinta na kare maine us rasta se shaymal dada ka ghar kai bar ja chukka hun. To bas unhi ke ghar to jana hai. Unke maa ko kabhi nahi deke kya? Hna dekha hun piche koun baitha hai? Are maine to thik se nahi dekha. Masima ami salarer apu. Bua ji bole o ei andhakarme kuch bhi dekhta nahi. Itna kahata kahate ham bua ke ghar bahara thik darwaje ke samne pahuch gaye, aur gadi ruk gai. Maine niche utadkar awaj lagaya “dadang………” bas palak jhapakte hi ghar ke sare log daur pade koi khana kha raha tha, koi khana paros raha tha sabhi uth kar bahar aagaye sabka hi ek hath (dahina) mutthi bandh kar upar Ashman dekh rahi hai kalbalahat se sabhi log bate karne lage, ek pal tokisiki ek bhi bat samajhme nahi aaya, dusre hi pal sab koi chup. Thodi hi der bad bade bhaiya bole bhitar calo andar bate karenge, fir apne larke ki taraf mukhatib hokar bole bapon saman andar le chalo. Mai taxi ka bhara de raha tha, tabhi bade bhaiya bole apu kitna le raraha hai? Ushne jabab diya 700 rupaya. Tabhi bhaya bole, kya? Bhaiya ki rutwa bhi bahut hai, to thoda sakpakaya aur bolajo apki marji de dijiye, bhaiya sayam karke bole thik hai terabat nahi katunga usne bola 500 rupaye de dijiye. Maine 500 rupaye ka ek note diya to bhaiya bola kitna liya? Usne kaha 500 rupaye. Tab bhaiya bole apu andar aajao usne kaha ki dada der ho rahi hai ab mujhe ijajat dijiye. Bhaiya bole bahut raat ho gai hai aaj rat yehi raha jao. Kal subaha chale jana. To usne kaha ki dada kal bhor ko ek kastomar lekar bardawan jana hai. Tab bhaiya bole tab kya jaldi aur sawdhani purbak jana. Age mandir prangan se gadi mor ke cale gaye. Ham sab andar pahuckar kusalta ki khabarledekar hathmuh dho kar bath room me nahakar sab khana khakarjaldi se so gaye sote hi kab nindra devata ke agosh me chale gaye pata nahi subaha jab ankh khuli to us samay subaha ke 10 baj rahe the aisa lag raha hai ki dopahar 12-1 baj raha hai. surya bilkul sar ke upar birajman hai dhup ki prakharta mano chanchana raha tha. Sabhi ke taraf dekha to patachala ki moushi kahi nahi dhik rahi thi bhabi se pucha ki moushi kaha hai? Bhabi kaha ki moushi ko tera dada rasora pahucha diya hai.bhabi boli moushi sari rat nahi soi bhor ko uthkar tayar ho gai maine pucha ki ushne kaha ki tujhe jagadene ke liye bol rahi thi.maine socha ki tom thaka hua ho dada jag gaye to unhone bola mai tayar hoka pahucha de raha hun. Bhaia pahucha ke wapas bhi aa gaye the. Us din kahi jane ka program nahi tha kyuki bahut thaka hua tha sabkoi wohi rahakar sabkoi milkar masti kar rahe the dopahar ko khana khakar ek ghanta rest kiye. Usi samay program hua ki khet khalihan taraf ghumne jayenge. Shamko hamdono sathmeek bhatija, do batiji aur ek bhanji itne log ham sab khet dekhne gaye. Jahasichai ki achhi bevasta hai waha dhan ki khet jo ki lagbhag 90% baki 10% me sabji aur chutfutketo me ganna. Bich me ek maidan jaha ganna se gurh banana ki karovar chall raha hai. Jaha dhan ki keti hai hari hari dhan ka poudh hari chadar jaisa dikh rahi hai. Najdik ka dhan ka poudh bahate hawa ke karan tarang ke bhati hame salam kar rahi hai. Kaya khubsurat nazara aisa lag raha hai kudrat ne kya khubsurar chadar ko kitni payar se hath fer raha hai. Waha se hamlog gurh banana ki ki jagah gaye jise local bhasa me saal kahate hai.wo bho kya sundar drsya. Ek jodi bail lagatar ek lain banate brittakar lagatar ghumta hi jar aha tha jinka kandhe se lagi khuta Madhya bindu par data der chakki ko ghuma raha, uske kinare baithe ek kisan us chakki me ganna dal raha hai. Ganne ka ras naliyo se hokar ek bada gaddha me jakar gir raha hai. Ek kisanus gadda se bada daitya numa kardai me jo ki ek bade se bhatta par tap rahi haiusme dalraha hai, us kardahi me ras khoul raha hai. Itna tina ras dal raha hai lekin ras Khulna band nahi ho raha hai. ek kisan lagatar kardahi ka ras badi si jhara se chala raha hai aur ubal se jo fen ho raha hai use dusre kardahi me dal raha hai. Jab hamlog woha dekhne gaye to ham sabko ek-ek gilas ras diya. Fir ek – ek ganna diya ham chale aye. Sham ho cali thi andhera hone se pahale ghar pahucna jaruri nahi to rasta me kuch nahi dikhega gawn ka rasta andhera hota hai. Fir ohi ghar pahuch kar shor gull hangama masti bate purani yadeyehi sab hota raha. Dar asal gawn ka pariwar snyukta pariwar aspas kai pust ke sarikh kai barg ekar me faila hai aur das barah ghar bhi hai aur sab ke sab sanyukta pariwar. Bich me ek shiv ka mandir mandir ke samne ek angan.ohi baith kar sab kuch ho raha hai. Sochne ki bat hai waha aisa lag raha hai ki kiska sunu kisse bolun? Isliye chup rahana hi munasib hai kebal sunte raho aur koi kuch puche to jabab do yehi buddimani bhi hai. Magar maja bahut aaraha tha, mujhse jada mere patni ko aschaya bhi ho raha tha eise kaise chalta hai? Jabki mere patni bhi ek sayoukta pariwar se aie hai. Mujhe pata hai kaibar dekha bhi hai isliye mujhe koi khas aschara nahi hai, par ascharya sabse maja aaraha hai un chote chote bacce jo bate rakhne ke liye idhar se udhar china jhapti karte the. Ankhe daura kar yadi dekha jai kamse kam 200 log to honge hi stree purush bacce lekar. jabki bua ji ke ghar me bua ji sabse bujurg bua ji ke 2 ladke dono ki patniya bade ka 1-1 ladka ladki, ladke ki patni aur ek chota sa 5 sal ka bacca. bua ji ke chote ladke ka 2 ladki. Bua ji ka 4 ladki unme se ek ladki ka mali halat kharab hone ke karan unki ladki wohi rahati hai. Dusre din subaha ham dono apne gawn chatina kandi ke liye jana tha isliye subaha jaldi karke uthkar hath muha dho kar nasta wasta snanadi khatma kar thik 8.00 baje bus pakdne ke liye main rd. me jakar khada hua. Bus as ka intajar jada nahi karna pada kyuki bus ka time ho hi gaya tha kintu bas me itni bhir thiki chadna muskil tha. Fir bhi maine bola jaldi se charh jao, itna sunte hi mera patni to kadam tal karne lagi mai samajh gaya aur has diya. Bus ko age badne ka isara kar diya, bus chali gai. Maine bola ki ab ek ghante bad hi bas hai, hame riksaw se jana padega. Riksaw to ek bhi nahi thi, to hamne taxi ka intajar karne laga sayad koi sewar wali taxi mil jaye. Bas kuch samay paschat hi ek sawari aaya wo hai ‘laden’ local log use laden nam diya wo hai bahu upayogi gadi bastav me uaha mal dhone ki uddesya se banaya gaya ek hevey motorbike ko piche ki our karamati dhang sepatra bichakar banaya gaya. Is sawari ko paschim bangal ke alawa kahi nahi dekha tha. Use dehkar lagta hai ki khet se kam mal ya dukan se gool ya ghar se ek do bodi dhan cresser tak le jane aur le aane ke liye banaya gaya, jarurat padne par kai admi ko ek gawn se dusre gawn tak pahuchane ka kam bhi bakhubi se anjam bhi de raha hai. Ushi ko rok kar pucha kaha ja rahe ho? Ushne kaha ki dohaliya jar aha hun. Hamne bola dohalia tak le chaloge? Usne kaha ki baith jaie. Ham dono kinare pair jhulake baith gaye aur bich me bag rakh diya. Waha sawari ‘laden’ yehi koi 30 – 35 Km ki rafter se sadak par bhat bhat ki shor machete huye sadko me daurne lagi. Hamare liye to ek nai anubhav tha. Mera patni ke cehere par is naye anubhav ka alag hi bhaw tha. Dohaliya chouk tak jakar unko bola bas yehi tak. Usne gadi rok diya hamlog bag lekar utar gaye. Waha se bus taxi ka jada samvawana tha oahi se door se ane wale bas bhi mil jane ki sambhawana bhi bahut hai. Yaisa hi hua bardawan se ane wali bas se kandi busstand tak safar kiya waha utarkar mithi,bacco ke liye kuch khariddari kar riksaw le liya aur gawn chalkar sidha gawn-ghar me jakar utara. Ghar pahuchte hi nai nabeli dulhan uloo eb sankh dhani se swagat hua.ek pital ke tastari par kuch rasgulla lakar bole ise kha lo. Hamne eke k utha te huya kaha ki bacco me bat do, magar gaw ke bacche bada hi satir thoda thoda khilane bhabi, chachi jiska job hi sambandh hota hai toda sa karke jabar dasti khilane lage kyuki jante the ki asirwad swarup kuch na kuch mil hi jayega. Bas wisa hi hua. Jiske liye kuch le gaye the de diya jo dhyan me nahi aya usko 100 rupaye ka note thama diya. Baccho me bhi dekha ki jo log note paya wo jada khus the. Thodi der bad chacha, bade bhaiya log mujhe bula bheja, mai samajh gaya ki kalipuja ka dhan mangta hoga. Mai 2000/- lekar un logo ke pas pahucha. To unhone kaha ki kali puja tak to rahoge? Maine kaha ki pahali bar apne puja dekhne ka saubhagya prapt hua hai ise koun murkh chodega? Ek chacha ne kaha ki to tum bali ke liye bakra ki babastha karo baki sab jugar ho gaya hai. Maine kaha ki thik hai to ek ladke ko mere sath de dijiye jisko sab patahai nki kaha kaha bakra milega? Thik hai pinto ko le jao. Maine turant apne patni ko jankari dekar ghar se motarcikil lekar chachara bhai pinto ko piche baitha kar nikal pada bhai kai jagah le gaya magar kahi bali niyam anusar bakra nahi mila todusre gawn Raipur pahuch gaya dopahar 2.00 baj gaya to maine bhai se pucha ki sadak kinare koi dhaba ho to ushne turant bola aage hai par waha kewal khana milta hai.mai samajh gaya ki usko kewal khana khana hai. Maine bola chalo waha pahucha to maine khana ka order usiko den eke liye bola to uha sankoch bas bola ki dada tum hi de do, maine kaha ki tujhe jo iccha hai manga le mai tera dada hun sakoch ki koi bat nahi. Usne dukandar se order me mattan bhat ka order diya maine turant uthkar dukandar se kaha ki matan bhat rahane do balki matan biryani spacil banake do. Maine bhai ke taraf dekha ki uske chahare par alag khusi thi. Karib ½ ghanta bad biryani aya to ham log khana samapt kar pucha aur kuch to baai bola nahi. Maine fhir 2 coco cola ka order diya. Wo sunke to bhai jaisa ucchal padega. Khana khan eke bad pucha kitna to unhone kaha ki 90/- cash dekar samne dukanse muha par pan dabakar. Raipur jakar bajar se bakra liya lautne me 4.00 baj gaya bakra bandh kar jaise hi bagal wale talab me hath pair dho kar andar jakar bhai chachi se kaha hamlog hottal me khana kha liye hai. Chachi boli ye sab kya hoga? Maine kaha ki rat me khaynge. Lekin chachi ke cahare par ek trpti ki muskan thi. Kyoki bhai ke prati chinta thi itni der tak bhuke pyase ghum raha hai, wo bhram toota. Chachi bhai se kautul bas puche ki kya khaya dhire se? kanhi koi sun na le kintu bhai jor se bola tospast ho gaya. Chachi jab bahar aye to unke chahare me khushi jhalak rahe the. Uske bad dhire dhire sab koi ikatta hone lage, kuch bacce ne jamin me dag khich kar kit kit sabd kar us dag ke andar ek tang se uchal uchal kar khel rahe the. Bade bacce karam nikal kar khelne baith gaye, ghar ke mahilaye chawal, dal, gehu ityadi lekar niwarne baith gaye. Kali puja ki tayari me. Aur taraha taraha ki bate hoti rahe. Aisa hi samay bitta chala gaya. Uske bad gawn ke kuch ristedar bhi us kolahal mesamil ho gaye. Barsik utsav ki batavaran pahale se hi tha usme aur bhi char chand lag gaya. Bas aise hi rat ho gayi khana khaya so gaya. Ham dono ke liye alag karma ka babastha hui jisme ham log sone chale gaye. Agle din jab subah hui ham dono uthkar bahar aye to dekha bahar angan me ek adher mahila jharu laga rahe the baki koi nahi utha tha sokar. Kabhi us mahila ko hamne dekha aur na usne kabhi hame dekhi, aur na hamko us room se nikalte dekha. Apne hi dhu me jharu laga rahi thi, achanak ham dono ko dhire dhire bate karte sun to achanak sakpaka gaye aur jharu hath liye ek tak hamare taraf hi dekhti rahi. Ham to samajh gaye ki wo to barauni hai par ham kaun hai uspar sansay usko bana raha. Jab hamlog room me ghus kar bet ka bana moda baithne kaliye nikal laye tab unko laga ki koi mehaman aya hai us ghar me. Dire se apne our aye ki ham koun hai janne ke liye puche bhi aplog kaun hai? Maine jabab diya ki hamlog ishi ghar ke admi hai is ghar ka malik hai ham. Itna sunna ki wo aurat bhag nikli,karib ek ghanta bad lout kar aye tab hamlog andar the usne kaha ki tumhare yaha to pubajo ka bhoot hai aaj hamse bole ki ham log isi ghar ke malik hai. Sab milkar khilkhila kar has diye. Gawn ke log bade sada hote hai. Usne bade masumiyat se unlogo ke taraf dekh rahe the, aur puche kya biswas nahi ho raha hai? Hala ki sab bakeya ham sab bayan kar chuke the. Aur kaha rahe the ki samjhoge jab koi nuksan………… tab tak mai bahar aya to use samajh ne me der nahi lagi ki use hamne daraya tha. Ye dekho ye admi mujhe bola mai is ghar ka malik hun. Mera chacha bol pare ki thik to bola hai is ghar ka malik to hai. To usne pucha ki aplog? Ham sab is ghar is sampatti ka malik hun. Ye kaisa ho sakta hai ? to chacha bole aare baba in log bade taraf ka ladka hai. Boot log ko lekar bada muski……….l hai. Itna sunte hi un adher umra ki aurat ka ankhe chlchla aai. Acha baith chai ban rahi hai chai to pile. Chacha chacheise bola kipooja to teen char din bad hai to hamlog isi bich mama logo key aha ghum ke ate hai kyou. Itna kahate hi chachi boli kipahale ghum hi aate fir yaha ate.maine kaha ki jaruri tha ki ghar akar kuldevata ka charan matha tekna. Accha jo thik lage. Itna kahana ki hamdonotaiyar hone me jyada deri nahi ki balki tayar hokar chacha ke sath hi gadi me baith kar bus-stand chale gaye our wohi se bus me baith kar sidha baharam pur chale gaye. Baharampur New Genral Hospital ke pichhe hi unka sarkari abas jaha pahuchte hi fir wohi swagat. Fir mama mami do bhai ek bahan milkar masti kiye sahar ghumeaur eise hi din bit gaya. Dusre din subah hath muha dokar chai nasta karke ham dono gamcha sabun sampoo lekar chale ganga kinare. Ganga snan karke bade bhai ko lekar bus station pahuche. Aur wojhi se bus pakadkar chal diye mursidabad mursidabad utadke ek auto contract kiya ki hame jaha jaha historical place hai sab dekhna hai. Auto wale ne sabse pahale nawab palesh le gaye nabab palace ke andar gaye use dekh mantra mugdh ho gaye kitna sundar kalakari, chitrakari, us jamane ka biggan uccha paimana dekhte hi banta tha. Badsah bangal bihar Orissa teen rajya ka jiska aish, aram, daap ka mishal ajj bhi jhalak raha hai. Us darwar me job hi karmachari, mantri parisad, agantuk, saina pradhan, job hi karya karte the us samay ke tarj par jo subidha diya jata tha wo sab aaj bhi jinda gabhi de raha hai. Unke aaram farmane kakaksa unke sreni ke har badsah ka mantra ka sundar chitra kari dekh kar lagta hai ki aj kal me hi bana hai. Woha rakhe chote bare goodasta jo kanch ka bana hai uspar wohi purane chirakari rang rangoli dekh ke lagta hai ki ye abhi hi bana hai. Us bhawan me aam darwar jane ka ek hi dwar hai baki sab nakli hobaho asli ki nakal jo ki kool1000 hai isliye us bhawan ka nam hai hazar duari. Wha ka astragar par rakhi wahi prayukta hone wali astra. Jisme rakhi dhar wala astra dhal- talwar, teer dhanus, bhala barchaaur na jane kya kyaun sabka nam bhi mujhe yad nahi hai. Nawab sirajudawla ka bishal talwar dekh ke unki lambai chwrai takat ka andaja lag sakta hai ki unki byktitwa kaisi thi. Barood wale astra ke liye alag se astragar jisme taraha taraha ke bandook, pistal, katta, top, aur kaaman. Sainagar me upaukta hone wale wardiyo kid her, kawacho kid her, taraha taraha mukut lohe ki helmet, chain hare k saman us samay ka paddati, kaushal, pratibha ka gawahi deta hai use dekh kar garb hota hai ki ithas itihas me sabhyataye kitni pragar thi sab kuch saf nazar ata hai. Thik nawab palesh ke samne imambara jaha ussamay ki jail tha uski bulding, jo lagbhag khali kuch sthano par us samay praukta hone wale kushi tebal jyadatar mote mote salakho walebadi badi darwaja walajali numa dwar jo bilkil khali pada hai. Us salakho ko dekh eisa lagta hai ki us samay ke log kitni takawatwar hua karte the aaj ke mukawale. Ek mirtu dand dene ka sthan jaha fanshi, aur suli dono ki babastha hai. Waha se nikle to ek bagan me jain mandir jiske gumbad se latki kanch ka gola lagta to hai ki waha sadharan kach ka gola par usme pure mursidabad aisihatik sahar dikh rahi hai. Gaid ka kahana hai ki nawab apat kal me waha baith kar mursidabad ke upar nazar rakhte the. Wo ek bhwa mandir tha jisme mahabir jain ka sangmarmar ka karib 10 fit baitha hua murti. Jain mandir? Masjid kyu nahi? Badsaha to musalman the, jara sochne ki chij hai ya nahi? Raj naitik drsti kon se dekhne par pata chalta hai ki ussamay hindu, muslim, sikh, isai, jain, boudh me koi bhedbhaw nahi tha. Dusra jain mandir me chipkar nazar rakhne par dusman nabab ka upasthti ka andesa nahi kar pata. Ye to mai sochta hun baki nabab log hi jante the ya us samay ki nabab ke log hi jante honge. Waha se nikal kar kath gola bagan gaye, waha ki drsya kuch aur kahane me to kathgola baganpar jyadatar makwara, maidan, kuch choti choti diwale, ganga ke thik kinare badi badi shahi aam kaped, tad nariyal ka ped, mote mote purane bargad ka ped chupke ganga ko bhalibhati nazar rakhi ja sakti hai par ganga kinare se ek bhi admi waha nazar nahi aa sakne wali jagah hai. Har makware ke pas ki teen by teen jagah kuch bhinna hai jo ki dhyan se dekhne par hi pata chalta hai,ya kabhi nazar pad gai to alag bat hai. Ek chota sa purana room jo ki band pada hai. Waha se gaye katra masjeed jo ki nawab aur unke biswas patra ya unke ristedar ka namaj ada karne ka sthan. Fir waha se gaye bhagawan gola bagan waha bhi kath gola ki taraha hi hai magar wh ganga ke dusre par par hai. Waha se hanlog steemar par charke chand bagan gaye jo ki bahat door karib 4 KM waha bhi hamne socha ki wahi kath gola ,bhagawan gola ki taraha hoga sayad. Mere patni ne mujhe bole bhi waha jakar yehi to milega. Maine kaha ki chalo dekhte hai. Mera sar fata jar aha hai. Maine kaha ki thik hai nahi jayenge. Mere patni ne kaha ki accha chalo steemar se to chalna hai. Stimar me koi chaia nahi tha, dhup ki prakharta hamare sar fhor rahi thi mere patni ki kya halat hogi? Maine bar bar ganga se pani utha kar mere patni ki sar me, apne sar me , bhai ke sar me thopne laga. Jab accha lagne laga to dhire se ek dusre ke upar me pani dalkar khel khelne lage eisa karte huye ham lagbhag bhig gaye dekh karsare stemar ke log ye kheln lage. Turant hi hamlog chand bagan pahuch gaye. Waha stemar se pahucha to samne khet par us khet me kaun se udbhid se kheti hui pata nahi chal raha tha. Ek gaw ka admi se pucha to usne bataya ki jeera, hai. Woha admi samajh gaya ki turist hai isliye bola ki age dhaniya aur neel ka kheti hai uske bad haldi aadi golmirich aur bhi masala ki kheti bhi hai yehi hai chand bagan ki bisesata. Yaha har taraha ki masala ki kheti hai.age jaoge to dekhoge masala phal aur phul. Jaisa ki us bakti ne kah sahi hai. Ganga kinare se jaise hi aage gaye to dekha ki gawn jaisa lag hi nahi raha hai. Aisa lag raha hai ki kisi udyan me ghum rahe hai jaisa ki park me hota haiwise lambi lambi khet jo ki masala fool phal ki poudh laga hai jo bilkul sundar kalatmak rup me saja hai sundarta, khusbu mano batwaran ko madmast kar rah hai. Jo ki 4-5 KM tak faila hai. Jo ki ek ardha chand jaisa bhumi me faila hai ushi bich kisano ka ghar bhi hai. Badi sundar manmohak drisya hai. Ghumne ke bad waha se laut kar ganga kinare steemar dwara fir se nabab palesh ke pas pahuch gaya. 4.00 baj gaya tab ham hottal me khana khaya fir khariddari kiya. Waha se bus stand aya to bush lagi thi auto bale ko kiraya diya, bush me baith kar fir se baharampur aa gaye. Magar ye katai pata nahi tha ki mere patni ka sar dard kebal matra maigren (adh kapali) jo aam taur ko hua karta hai oh nahi tha ye tha achnak dusre prakar ki jalbau ketra me pahuch gaya to mousam badal fever (bukher) ho gaya hai. Dusre din kisi taraha chatina kandi ana hi tha kauki usi rat hi hamare ghar icchamayai kali puja varshik utshav tha. Us din oha pahuchne par ohasabhi koi utsukta se hamara intejar kar raha tha ki chachi aaye huye mehaman ko nai bahu dikhana chate hai. Din bhar idhar udhar kam karte din bit gaya khane pine ka koi chinta nahi. Us sal puja ka samay karib 11.00 baje ratri ko suru hone wala tha. Puja suru hote se pahale puja ki sthan me sabkuchbabasthit kar raha tha ki kisi prakar ki deri ya badha na ho ushi samay dekha ki karon (madda)nahi laya hai, ab kya hoga, itni rat ko kaise milegi ye sabko jaise sap sungh gaya san marker sab baith gaye. Purkho purani riwaj kya tut jayeg? Sab yehi soch rahe the ki ek 12 sal ki ladki aakar boli ki mad lenge? Hamlog bhi aschara hua ki itni rat ko bacchi sarabechne nikli ye kya bat hui itna sochne me dhyan thora bhatak gaya kit ho botal mad to hai par oha ladki gayab ho gai. Ye kahani yadi koi aur kaha hota to sayad mai sochta ki fek raha hai feku chand parantu aab to log hame hi fekuchand ka khitab na dede. Badi ajeeb bat hai khud par hi yakin nahi aata, kya yaisa bhi hota hai? Pata nahi abto biswas me biswas nahi hota. Rat ko puja 1.30 baje puspanjali diya us samay puja me hamare vansaj aur patniya hi tha baki gawn ka ek bhi pandit ko chhor kar duja koi nahi tha. Rat ko bhog hua kewak ghar ke logo ne hi rat ko khaya. Dusre din subaha bhi bhog diya jata hai mata ko kuch ek ristedar aur rat me jitney log the wohi logo ke alawa koi nahi tha. Rat me puja ke liye ristedar to aye the par puja ke samay koi bhi puja me nahi tha. Bali ka bakra se matan paka jo lagbhag 12 kilo tha dopahar bhojan ke samay jab dekha to aschary pure gawn ke log the bhojan me. Do bat par bari chinta ho rahi thi ki ek itne log bhojan me nimantran… to ye log puja me kyu nahi aye? Dusra 12 kilo matan me itne logo ko mil bhi payega? Magar ho to gaya. Jab chacha se pucha ki ye itne log kyu? To unhone bola ki ye nimantrit nahijamindari ke samay se cali aarahi pratha hai. Gaw ke kisan nimna jati ke log us samay se is barsik utsab me ek din bharpet bhojan karta hai, us samay ye log garib the, bhale aaj inki halat kamjor nahi hai. Aaj inke gharo meunche unche pado par ashin hai log. Aaj hamari sthiti kamjor ho gai hai, sayad inki abhisap lag gai hai. Maine kaha ki ye bat galat hai, inhone apse badla to nahi liya balki ye log sarkar ka policies ka bharpur upayog kiya hai. Inse hamara kisi prakar ka gila nahi hai na hona chahiye jabtak ham ye sab bato par coch banaye rahenge hamara bikas abrudh ho jayega. Balki bame sakaratmak soch ke sath aage barhne ki jarurat hai. Ye sab bate hote hote hamara icchamayi ka gaman ki samay ho gaya. Hamare yaha pratha hai ki bhsarjan se purba mata ji ko pure gawn ka bhraman karate hai. Sadharantha dekha jata hai ki bhraman karate samay majdoor rakh liya jata hai, lekin waha dekha ki mere baiya apne hi sar par sare gawn ka chakkar lagaya. Ek bat hai ki hamara gawn bahut bara gawn hai, dusri bat hai ki bhaiya rajya sarkar ki ek adhikari hai. Bisarjan ke bad hamlog phi se sham ko bua ji ke ghar Bahara gawn chale gaye. Dusre din hamlog ek mama ke yaha Jajan gawn gaye jaha unshe milkar usi gawn me ek bahut purana mandir hai jaha mandir ki jo kam kalakirti bahut sundar hai ushi prangan me ek madya kalin mandir bhi hai, kahate hai ki waha bahut hi jagrat hai. Waha se lout kar khana pina kar fir se lout gaye bua ji ke gawn. Bas uske bad hamare loutne ki tayari kaqrne me pure din bit gaya. Agle dinham log bhor ko bush me salar station gaya waha se ajimgang exp.me hawrah ke liye rawana hua us train me ek paschim bagal lokgit wale dal bhi tha unhone paschim bangal ki lok geet baul, bhatiali ityadi sunte sunte kab din bhar ka safat bit gaya pata hi nahi chala. We bhi Kolkata koi program me ja rahe the to train me riwaj kar rahe the. Rat karieeb 8.00 baje bilaspur ke gadi me safar ke li ye baitha. Uske bad ham dono kke liye dinner mangawa kar dinner kiya aur so gaya kyuki loutne ke samay hamara arakshan bearth thori si antar kar raha tha. subaha jab ankh khuli to ham chapa janksan me tha. Uske bad bilaspur jn. Pahucha waha se age gadi badal kar anuppur ke liye gadi baitha . dopahar ko anuppur akar lunch lekar hamdono chirimiri gari me baith kar chirimiri pahuch gaya.
Posted on: Thu, 17 Oct 2013 15:56:18 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015