France Me Super Market Me Samaan Uthaane Ke Baad, Ek Niqaabi Bahen - TopicsExpress



          

France Me Super Market Me Samaan Uthaane Ke Baad, Ek Niqaabi Bahen Payment Counter Par Khadi Thi, . . Chand Minute Baad Uski Baari Checkout Counter Par Aayi, . . Check Out Counter Par Ek Ladki Jo Ek Ghair Hijaabi Indian Muslim Bahen Thi, . . Usne Niqaabi Bahen Ki Khareedi Hui Cheez Ko Scanner Se Check Karna Shuru Kar Diya, . Aur . Phir Taqabbar Ke Saath Uski Taraf Dekha, . Aur Kaha Is Mulk Me Hamare Liye Bahut Se Masail Hain, Aur Un Mese Ek Niqaab Hai, . . Ham Is Mulk Me Immigrant Hain Aur Tijaarat Karne ke Liye Aayen Hain, Apna Deen Aur Taareekh (History) Dikhaane Nahin, . . Agar Aapko Apne Deen Par Amal Karne Ki Aur Naqaab Pahanne Ka Itna Hi Shauq Hai Toh Aapko Apne Islami Mulk Me Wapas Jaana Chahiye . . Niqaabi Bahen Ne Samaan Apne Bag Me Rakhna Chhod Diya Aur Apna Naqaab Utha Diya.. . . Check Out Indian Muslim Ladki Ek Dum Se Chaunk Gayi.. . . Niqaabi Ladki Jo Neeli ( Blue ) Aankhon Aur Sunehre Baalon Waali Thi , Usne Check Out Bahen Se Kaha . . Main Ek French Ladki Hoon, Ek Indian Muslm Immigrante Nahin Hoon, Ye Mera Mulk Hai Aur Ye Mera ISLAM Hai, . . Tum Paidaishi Musalmano Ne Apna Deen Becha Aur Ab Bhi Bech Rahe Ho, Aur Hamne Ise Khareeda Aur Ab Bhi Kharid Rahe Hai . . Ye Ek Haqeeqat Hai, Bahut Se Reverted Muslim, Paidaishi Musalmano Se Mazboot Imaan Rakhte Hain, . . Lekin, . . Afsos Hai Aaj Muje Meri Un Paidaisi Muslman Behno Par Jisne Yahood Aur Issaiyo Ke Taur Tariko Ko Apna Deen O Imaan Bana Liya Aur Khudke Deen O Imaan Ki Jise Aaj Qatai Parwah Nahi, Courtesy NAZIA FARHEEN
Posted on: Tue, 11 Mar 2014 10:37:45 +0000

Trending Topics



Police inspector dies while fighting wife A police inspector,
Tja,viele Menschen sehen diese Chemtrails gar nicht,oder wenn
Four Married Men are at a BAR. MAN 1 : Imagine, my pregnant wife
Í tilefni af væntanlegum niðurskurði hjá LÍN (og öðrum
husband going to training, pipe leaking under bathroom sink,
Argentina acaba de solicitar la extradición de cuatro

Recently Viewed Topics




© 2015