Haqeeqi Azdi 14 August, 1947 ko jab Pakistan azad howa, to azadi - TopicsExpress



          

Haqeeqi Azdi 14 August, 1947 ko jab Pakistan azad howa, to azadi hasil krne ka safar kabhi phir rukka nahi, aur ye silsila chalta raha. Patta nahi, ye azadi hamein kab naseeb hogi. General Ayub ne 1958 me hamein Sikandar Mirza se azadi delayee. General Yahya ne Bhutto ki tehreek ke nateejay me 1970 se pehlay hamein General Ayub se Azadi delayee. Phir Bhutto ki unthak koshisho ki waja se hamein fauji amriat se azadi mil gayee. 1971 me hamein Banglio se bhi azadi milli. General Zia ne 1978 me Bhutto se mulk ko azad kia. Benazir ne 1988 me General Zia ki ghulami se nijat delayee. Phir Nawaz Sharif ne bhi azadi delayee aur 1990 ki dahayee me Benazir aur Nawaz Sharif ek dusre se humein azad karatay rahay. Akhirkaar Musharraf ne Nawaz sharif se 1999 me azadi delayee. Zardari ne 2008 me Musharraf se azadi delayee. Phir Nawaz Sharif ne 2013 me Zardari se azadi delayee. Ab Imran Khan koshish kr raha hai ke Nawaz Sharif se azadi delaaiy. Mgr azadi ki khalla pr bhi rahegi aur Allama Tahirul Qadri apni koshishein jari rakhega. Yahan pr jab tak corrupt bureaucracy aur dev-numa establishment ko qabu na kia jaye, to azadi ek sarab he rahegi. Aur ham awam apni tawanai beja aur be-nateeja koshisho me saraf kertay rahengay.
Posted on: Tue, 29 Jul 2014 05:29:01 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015