Hazar nemate parwar digar hain paye purani dilli se chalkar - TopicsExpress



          

Hazar nemate parwar digar hain paye purani dilli se chalkar hamare ghar jo sath baith ke khayen to ye mohabbat hain kisi haseen ki surat se khubsurat hain baghair paye ke paye ki shayari karna ye samjhen aap hai chullu se jheel ka bharna ghazal sunayega kya khak chaye ka shayar jo paye khata hai hota hai paye ka shayar yehi hain paye jo shayar ko chust rakhte hain qasam khuda ki tarrannum durust rakhte hain janabe mir jo dilli se lucknow aaye pakad ke baith gaye wo raheem ke paye zafar ko jake naye sher wo sunate the janab-e-hazrate ghalib bhi paye khate the wo phule phule se kulche wo paye ki khusbo nahar munh kiche aayte hain shehar ke mehru wo bad-e-khatme ibadat dukan par aana namaziyon ka wo paye bhi ba wuzu khana mera khayal hai jannat main leke jate hain namazi paye jo badaz namaz khate hain ye bakre bhai ka shayad kamal tha saghar shabab laut ke aana muhal tha saghar hila ke rakh diya paye ne arsh ka paya jo paye khaye to un par shabab laut aaya janab-e-hazrate yusuf jo leke aaye the zulaikha baji ne us roz paye khaye the tamam mulk ke bakron ka shukriya sau(100) bar ke jinke payon se sar par adab ki hai dastar
Posted on: Sun, 15 Sep 2013 07:57:54 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015