* Ladko ke liye Nasihat * Ek Naujawan kisi Buzurg ki khidmat me - TopicsExpress



          

* Ladko ke liye Nasihat * Ek Naujawan kisi Buzurg ki khidmat me hazir hua aur kehne laga ki, Hazrat – aap farmate hain k Bad Nigaahi se parhez karo, pr mai naujawan hu bazaar se guzarte hue meri nigah qaboo me nahi rehti., Kya Karu? . Buzurg ne kaha – mai ye raaz smjhaunga magar shart ye hai k pehle mera ek kaam kardo.. Us ne kaha mai tayyar hun. Tuo Bazurg ne farmaya k falan Buzurg bazaar me rehte hain, unko ye doodh (milk) ka piyala(bowl) pohuncha kar aa jao.. Us ne kaha pohcha deta hu.. Tuo Buzurg ne kaha ek aur baat bhi hai k doodh ko girne mat dena.. – unse kaha fikar na karen ek qatra bhi girne nahi dunga – Tuo Buzurg ne kaha acha thik hai agar ek qatra bhi neeche gir gaya to phir ek bande ko saath bhejunga k jaise hi koi qatra neeche gira to ye banda tumhe wahin pr ek thappad marega –unsae kaha manzoor hai.. Tuo buzurg ne doodh ko piyale me laba lab bhara aur ek taqatwar insaan ko bhi us shakhs k saath kr diya – Ab voh shakhs badi ahtiyaat k saath se chalte hue, bachte bachate hue bila aakhir apni manzil pe pohunch gaya aur phir khushi khushi wapas Buzurg k paas aya, aur kehne laga k Hazrat maine voh doodh ka piyala Buzurg tak pohcha diya.. ab aap mujhe nazar ki hifazat ka tariqa bataiye... Buzurg ne famraya k doodh tuo tum ne pohuncha diya, magar ye batao k aaj tum ne bazaar se guzarte hue kitne aurtuon ko dekha? Tuo kehne laga k IDHAR UDHAR DHYAAN HI NAHI THA. Buzurg ne kaha Kyun dhiyaan nahi tha? Nauzvaan ne Arz kiya – Hazrat – Dil me khauf tha k agar piyala chalak gya aur doodh ka ek qatra bhi neeche gir gaya to saath chalne wala mujhe bhare bazaar me joote lagayega aur meri ruswayi hogi.. To Buzurg ne farmaya k, ALLAH WALON KA AUR JO ALLAH KA KHAUF RAKHTE HAI, UNKA BHI YEHI HAAL HOTA HAI –VOH SAMAJHTE HAIN K AGAR GUNAH K ZARIYE YEH DIL KA PIYALA CHALAK GAYA TO QAYAMAT K DIN SARE AAM RUSWAYI HOGI – IS LIYE UNKI NIGAH IDHAR UDHAR NAHI UTHTI..!! Ya ALLAH AZZAWAJAL!! Hume BAD-NIGAHI se bacha.. Aameen. {Muhammad Ashraf}
Posted on: Mon, 05 Aug 2013 12:50:49 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015