MUST READ PLS ! Main raste me hi thi jab maghrib ki azaan hui. - TopicsExpress



          

MUST READ PLS ! Main raste me hi thi jab maghrib ki azaan hui. Aaj Tuition se aate waqt kafi der ho chuki thi. Main jaise hi ghar pahochi maghrib ka waqt lagbhag khatm hi ho chuka tha. Mae jaldi jaldi wuzu banayi aur waise hi geele haath pair le kar jae namaz par neeyat bandh ke khadi ho gayi. Mere chehre se pani tapak raha tha. Main baar baar use aasteen se ponchhti aur namaaz chalu rakhti. Namaaz ke dauran hi mujhe dhyaan aaya ki main ammi ki dawaiyan lane ko Apne bhaiya ko bolna bhool gayi hoon. Aaj Ghar mea or tuition me kaam or padhai mea khana khane ka bhi mauka nahi mila. Main bahut thak chuki thi sajde me jaate hi maine namaaz me poora dhyan laane ki koshish ki. Achanak agle hi pal main ek aise maidan me thi jahan bahut sarey log jama they. Sabke haath me ek ek kitab thi. Mujhe kuchh samajh nahi aa raha tha ki kya ho raha hai tabhi kisi ne aakar mere haath me bhi ek kitab de di jis par mera naam likha hua tha. Maine kholkar dekha to usme mere achchhe aur bure aamal likhe hue they. Mera dil baith gaya tha. Maine sochi ya Allah kya main mar gayi hoon. Maine sabki taraf nazar daudai sab ke sab ek line me apni kitab jama kar rahe they. Main samajh gayi ki main mar chuki hoon aur ab mera bhi in sab ki tarah hisab kitab hona hai. Maine bhi apni kitab jama kar di. Aur intezar karne lagi. Jab sab logon ki kitabein jama ho gayi to waqt aaya faisle ka. Mujhe apne kaano par yakeen nahi hua jab sabse pehla naam mera pukara gaya. Mera dil zor zor se dhadakne laga. Mai sochi na jane aaj mera kya hoga. Kya mera anjaam hoga. Tabhi aawaz aayi jahannum. Mujhe bharosa nahin tha ki mere hissey me jahannum aayegi. Main rone lagi. Mere gaalon se aansoo behne lagey. Tabhi do khatarnak dikhne wale saaye aaye aur mujhe ghasitkar le jane lage. Main chillati rahibachao, mujhe koi bachao. Lekin sab mujhe sehmi hui nazar se dekh rahe they koi bachane ke liye aage nahi aaya. Maine chilla kar kahamaine kabhi kuchh galat nahi kiya, kabhi jhoot nahi bola, kisi ki chugli nahi ki, kisi ki geebat nahi ki, sood nahi khayi. BE PARDAH NHI THI HARAAM RELATION mea b nhi thi Fir mujhe kyon jehannum me fek rahe ho???? :@Koi kuchh nahi bola sirf mujhe kheechte rahe. Ab main jehannum ki aag mehsoos kar sakti thi. Jahannam ka muhana thodi hi door par tha. Aur usme se aisi aawaz aa rahi hi jaise koi janwar rassi todkar mujh par hamla karne ki koshish kar raha ho. Main bahot darr gayi. Aur zor zor se rone lagi. Tabhi mujhe yaad aaya. Namaaz. Main chillane lagi meri namaz. Meri namaz kahan hai Jehannum ka muhana samne hi tha. Duniya me to main zara si garmi bardasht nahi karti thi ya Alaah is garmi ko kaise bardasht karugi. Ab me jehannum ke darwaze pe thi zor zor se ro rahi thi. Apni namaz ko aawaz de rahi thi lekin koi sunne wala nahi tha. Main chillayi lekin koi farq nahi padha. Ek saye ne mujhe dhakka de diya aur me jehannum ki tapti hui aag me girne lagi. Mujhe laga yehi mera hashr hai. Itne me ek haath ne mujhe pakad liya. Maine sir utha kar dekha to muhane par ek buzurg khade they. Safed dadhi aur nurani chehra lekar. Mera haath thame hue muskura rahe they. Neeche dozakh ki aag mujhe jhulsa dene ke liye machal rahi thi lekin un buzurg ka hath lagte hi uski tapan thandak me badal gayi. Maine unse poochi aap kaun hain. Unhone mujhe bahar kheech kar kaha-tumhari namaz. Mujhe bahut gussa aaya aur maine kaha aap itni der se kyon aaye? Mujhe dozakh me dhakka de.diya gaya tha aap thoda aur der se aate to main to jahannumi ho chuki thi. Buzurg ne muskurate hue kaha-tum bhi to mujhe ekdum aakhiri time par padha karti thii naa??. Tabhi meri neend khuli. Koi mujhe zor zor se hila.raha that. Maine dekha ammiji mere paas khadi hain aur bol rahi hain -kya hua namaz namaz kyon chilla rahi ho.? Meri khushi ka thikana nahi raha. Main zinda thi. Maine ammiji ko galey se laga liya aur kaha-aaj ke baad main kabhi namaz me deri nahi karungi. Dosto namaz padho is se pehle ki aap ki namaz padha di jaye. Aur haan time par..! Plz share it with your friends ♡♡Share Plz
Posted on: Sat, 22 Mar 2014 19:00:00 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015