Noor E Khuda.... Ajnabi mod hai, Khauf har aur hai, Har nazar pe - TopicsExpress



          

Noor E Khuda.... Ajnabi mod hai, Khauf har aur hai, Har nazar pe dhuan chha gaya Pal bhar mein jaane kya kho gaya Aasman zard hai Aahein bhi sard hai, Tan se saaya juda ho gaya Pal bhar mein jaane kya kho gaya Saans ruk si gayi Jism chhil sa gaya Toote khwabon ke manzar pe Tera jahan chal diya Noor E Khuda Noor E Khuda tu kahan chhupa hai humein yeh bata Noor E Khuda Noor E Khuda yun naa humse nazarein phira. Noor E Khuda .. Nazar-e-karam farma hi de Deen-o-dharam ko jaga hi de Jalti hui tanhaiyaan Roothi hui parchhaiyaan Kaisi udi yeh hawa Chhaya yeh kaisa sama Ruh jam si gai Waqt tham sa gaya Toote khwabon ke manzar pe Tera jahan chal diya Noor E Khuda Noor E Khuda Tu kahan chhupa hai humein yeh bata Noor E Khuda Noor E Khuda Yun naa humse nazarein firaa. Noor E Khuda .. Ujhde se lamhon ko aas teri, Zakhmi dilon ko hai pyaas teri Har dhadkan ko talaash teri, Tera milta nahi hai pata, Khaali aankhein khud se sawaal karein, Aman ki cheekh behaal karein, Behta lahoo fariyaad karein, Tera mit ta chala hai nishaan, ruh jam si gai waqt tham sa gaya Toote khwabon ke manzar pe Tera jahan chal diya Noor E Khuda Noor E Khuda tu kahan chhupa hai humein yeh bata Noor E Khuda Noor E Khuda yun naa humse nazarein firaa. Noor E Khuda .. Noor E Khuda Noor E Khuda aaj kal tu kahan hai yeh bataa
Posted on: Wed, 17 Jul 2013 07:03:35 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015